GULZAR-E-SHOHDA….
JILD-01…
🍯SAIYEDNA ALI-E-MURTUZA رضي الله تعالي عنه KA KAMALE ILM….
🍓Tazriratuk Waaizin Me hai ke Allah Ke Habib ﷺ Ka Ye Irahad Hai Ke Me Ilm ka Sehar hu Aur Ali Uske Darwaze hau, Kharjiyo ne Suna to Unke Dil me Hasad Pauda hua Aur 11 Bade-Bade Kharjiyo ne Aapas me Mashwara kiya ki Hum log Bari-Bari Jakar Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Se Ek hi Sawal Kare Fir dekhe Ke wo Kya Jawab Dete hai….
🍍Agar Unhone Humare Sawalo ka Alag-Alag Jawab Diye to Hun Maan Lenge Huzur ﷺ Ke Irshad ke Mutabik Yaqeenan Ali-E-Murtuza Ilm Ke Darwaze hai, Chunache Is Mansube ke Tehat Un 11 Aadmi Ek Ek Karke Aaye Aur Ek Hi Sawal Kiya “ILM AFZAL HAI YA MAAL” Aur Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ne Sabko Alag Alag Jawab Inayat Farmae ..
🍓Uske Bad Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ne Farmaya Agar Ye log Mujse Yahi Sawal Karte Rahe to Inshaa Allah Zindagibhar Insab Ko Alag Alag Daleel Deta Rahunga, Apki Ilmi Jalalat Ko Dekhkar un 11 Aadmiyo nd Sacchi Touba Ki Aur Islam Me Dakhil Ho gae…
🍍Hazrat Saiyedna Ibne Abbas رضي الله تعالي عنه Farmate hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya “ALI KI MUHABBAT GUNAHO KO IS TRAH KHATM KAR DETI HAI JIA TRAH AAG LAKDI KO” Hazrat Abdullah Bin Mas’ud رضي الله تعالي عنه Se Riwayat hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya “ALI-E-MURTUZA KE CHEHRE KO DEKHNA BHI IBADAT AUR UNKA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI”
سبحان الله
سبحان الله