(SUREH FATIHA & SUREH BAQRAH MUKAMMAL IN PART-1)
🌹ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴﻢ
💐ﺑِﺴْﻢِ ﺍﻟﻠﮧِ ﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِ ﺍﻟﺮَّﺣِﯿۡﻢِ
Surah E Fatiha
✏01)ALLAH ke Naam se shuru jo bahut meharban Rahmat wala….
✒02)Sab khoobiya ALLAH ko jo malik saare jahan walo ka
✏03)Bahut meharban Rahmat wala…
✒04)Roze Jaza ka maalik…
✏05)Ham Tujhi ko Pooje(N) aur Tujhi se Madad Chahe(N)
✒06)Ham ko Seedha Rasta Chala
✏07)Rasta unka jin par tune Ahsaan Kiya,
Na unka jin par Ghazab huwa aur na Bahke huwoo ka…
(Aameen)
Sureh Baqr…
⤵01.
⤵01.
✏ALLAH ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala..
⤵02.
✒Wo buland rutba kitab (Quraan) koi shak ki jaga nahi is me hidayat hai darr walo ko…
⤵03.
✏Wo jo be dekhe Imaan laye(N) Aur Namaz Qayam Rakhe(N) aur Hamari di huyi Rozi me se Hamari Raah me Uthaye(N)…
⤵04.
✒Aur wo keh Imaan laye(N) is par Jo Aye MAHBOOB tumhari taraf utra aur jo tum se pahle Utra Aur Aakhirat par Yaqeen Rakhe(N)..
⤵05.
✏Wahi Log Apne Rab ki taraf se hidayat par hain aur muraad ko pahunchne wale…
⤵06.
✒Beshak wo jin ki Qismat me kufr hai unhe barabar hai chahe TUM unhe darao ya na darao wo Imaan lane ke nahi.
⤵07.
✏ALLAH ne unke Dilo par aur Kano par mohar kar di aur unki aankho par ghata top hai aur unke liye BADA azab.
⤵08.
✒Aur kuch log kahte hain ke ham ALLAH aur pichle din par Imaan laye aur wo eiman wale nahi..
⤵09.
✏Fareb diya chahte hain ALLAH aur Eiman walo ko aur Haqiqat me fareb nahi dete magar apni jano ko Aur Unhe Shawoor nahi .
⤵10.
✒Unke Dilo me Bimari hai,to ALLAH ne unki bimari aur barhayi,Aur unke liye Dardnak azab hai,badla unke jhoot ka.
⤵11.
✏Aur jo unse kaha jaye Zameen me fasad na karo,to kahte hain ham to sanwarne wale hain.
⤵12.
✒Sunta hai wahi fasadi hai magar unhe shawoor nahi…
⤵13.
✏Aur jab unse kaha jaye eiman lao jaise aur log eiman laye hain, to kahen kiya ham Ahmaqo ki tarha eiman le aayen ,sunte hai?
Wahi Ahmaq hain magar jante nahi.
⤵14.
✒Aur jab eiman walo se milen to kahen ham eiman laye aur jab apne shaitano ke pas akele ho(N) to kahen ham tumhare sath hain ,ham to yunhi Hansi karte hain.
⤵15.
✏ALLAH unse istihaza fermata hai (jaisa US ki shaan ke layaq hai) aur unhe dheel deta hai ke apni sar kashi me bhatakte rahe(N).
⤵16.
✒Ye wo log hai jinho ne hidayat ke badle gumrahi kharidi,to unka sauda kuch nafa na laya aur wo saude ki raah jante hi na the.
⤵17.
✏Un ki Kahawat uski tarha hai jis ne Aag raushan ki to jab us se aas paas sab jagmaga utha ALLAH unka noor le gaya aur unhe andhero me chhor diya ke kuch nahi soojhta
⤵18.
✒Bahre Gonge Andhe to wo fir aane wale nahi
⤵19.
✏Ya Jaise Aasmaan se utarta paani keh us me andheriyaN haiN aur garaj aur chamak,Apne kano me ungliyaN thons Rahe haiN Karhak ke sabab maut ke dar se ,Aur ALLAH kafiro ko ghere huye hai.
⤵20.
✒BijliyoN maaloom hoti hai keh un ki NigaheN Uchak le jaye gi ,Jab kuchh chamak huyi us me chalne lage ,aur jab andhera huwa kharhe hogaye Aur ALLAH chahta to unke kaan aur aankheN le jata ,Beshak ALLAH sab kuch kar sakta hai.
⤵21.
✏Aye Logo!
Apne Rab ko Pujo Jis ne Tumhe aur Tum se Aglo ko Paida Kiya yeh ummeed karte huye keh tumhe parhezgari mile.
⤵22.
✒Jis ne tumhare liye Zameen ko Bichhauna aur Aasmaan ko Imarat banaya aur Aasmaan se Paani Utara ,to Us se Phal Nikale tumhare khane ko to ALLAH ke liye Jaan Boojh kar Barabar wale na tahrao.
⤵55)
✏Aur Jab Tum Ne Kaha Aye Moosa Ham Hargiz Tumhara Yaqeen Na Layenge Jab Tak Ailaniya Khuda Ko Dekh Len To Tumhe Kadak Ne Aa Liya Aur Tum Dekh Rahe The….
⤵56)
✒Fir Mare Pichhe Ham Ne Tumhe Zinda Kiya Ke Kahi(N) Tum Ahsan Mano….
⤵57)
✏Aur Hamne Abar Ko Tumhara Saayebaan Kiya Aur Tum Par Manna Aur Salwa Utara Khaao Hamari Di Huyi Suthri Cheezen Aur Unho Ne Kuch Hamara Na Bigarha Haa Apni Hi Jano Ka Bigarh Karte The…
⤵58)
✒Aur Jab Ham Ne Farmaya Us Basti Me Jao Phir Us Me Jaha(N) Chaho Be Rok Tok Khao Aur Darwaze Me Sajda Karte Dakhil Ho, Aur Kaho Hamare Gunah Muaf Ho Ham Tumhari Khatayen Bakhsh Denge Aur Qareeb Hai Ke Neki Walo Ko Aur Zyada De(N).
⤵59)
✏To Zalimo Ne Aur Baat Badal Di Jo Farmayi Gayi Thi Us Ke Siwa,
To Ham Ne Aasmaan Se Un Par Azaab Utaara Badla Unki Be Hukmi Ka…
↘(97)
✒Tum Farma do jo koi Jibraeel Ka dushman ho to us ne to tumhare Dil par اللّٰه ALLAH ke Hukm se ye Qur’an utaara Agli Kitabo ki Tasdeeq Farmata aur Hidayat wa Bashaarat Musalmano ko…
↘(98)
✏Jo koi Dushman ho اللّٰه ALLAH aur us ke Farishto aur us ke Rasoolo aur Jibraeel Aur Meekaeel ka To اللّٰه ALLAH Dushman Hai Kafiro Ka…
↘(99)
✒Aur Beshak Ham ne Tumhari Taraf Raushan AayateN utariN aur unke aur unke munkir na honge magar Fasiq Log.
↘(100)
✏Aur Kya jab kabhi Ahad karte hain un me ek Fareeq ise Phenk deta hai Balki un me Bahtaro ko Eiman nahi.
↘(101)
✒Aur jab un ke paas Tashreef Laya اللّٰه ALLAH ke yaha se Ek Rasool unki Kitabo ki tasdeeq Farmata to Kitab walo se ek Giroh ne اللّٰه ALLAH ki Kitab apne peeth peechhe phenk di Goya wo Kuch Elm Hi Nahi Rakhte….
↘(109)
✏Bahut se Kitabiyo ne Chaha kaash tumhe Eiman ke bad kufr ki taraf Pahair DeN Apne Dilo ki Jalan se Bad is ke keh Haq un par khoob Zahir Hochuka Hai To Tum Chhorho aur Dar Guzar Karo YahaN tak keh اللّٰه ALLAH apna Hukm Laye Beshak اللّٰه ALLAH har cheez par Qadir hai…
↘(110)
✒Aur Namaz Qayam Rakkho aur Zakat do aur Apni Jano ke liye jo Bhalayi Aage Bhejoge Use اللّٰه ALLAH ke Yaha Paoge. Beshak اللّٰه ALLAH Tumhare kaam dekh raha hai.
↘(111)
✏Aur Ahle Kitab bole har giz Jannat me na Jayega Magar wo jo Yahudi ya Nasrani ho ye unki khayal bandiya hain , Tum farmao Lao Apni Daleel Agar Sachche Ho.
↘(112)
✏HaaN kiyo Nahi jis ne apna munh jhukaya اللّٰه ALLAH ke liye wo neko kaar hai to us ka neg (badla) uske Rab ke paas hai aur Unhe na kuch Andesha ho aur na Kuch gham.
🔖(113)
✏Aur Yahudi Bole Nasrani Kuch Nahi Aur Nasrani Bole Yahudi kuch Nahi,
Halaki wo kitaab parhte Hain , isi tarha Jahilo ne Unki si baat kahi to اللّٰه ALLAH Qayamat ke din in me faisla kar dega jis baat me jhagarh Rahe hain….
↘(114)
✒Aur is se Barh kar Zalim kon jo اللّٰه ALLAH ki Masjido ko Roke Unme Naam e Khuda Liye Jane se Aur Unki Wiraani me Koshish Kare, Unko na Pahunchta tha keh Masjido me JayeN magar Darte Huye Unke liye Dunya me Ruswayi hai aur unke liye Aakhirat me Bada Azaab.
↘(115)
✏Aur Poorab Pachhim Sab اللّٰه ALLAH hi ka hai to tum jidhar munh karo udhar WajahAllah (Khuda ki Rahmat Tumhari Taraf Mutwajjeh Hai.) Beshak اللّٰه ALLAH Wusat Wala Elm Wala hai.
↘(116)
✒Aur Bole Khuda ne Apne Liye Aulad Rakhi Paaki hai use Balki usi ki Milk hai jo Kuch Aasmano me hai aur Zameen me hai Sab Uske Huzoor Gardan Dale huye Hain.
↘(117)
✏Naya Paida Karne Wala Aasmano aur Zameen ka , aur Jab kisi bat ka hukm Farmaye to us se Yahi farmata hai keh Hoja wo Fauran Ho jati hai….
↘(118)
✏Aur Jahil Bole اللّٰه ALLAH ham se Kiyo nahi Kalam karta ya Hame koi Nishaani mile , Unse Aglo ne bhi aisi hi Kahi unki si bat in ke un ke Dil ek se hain, beshak Ham ne nishaniya khol Dee(N) Yaqeen Walo ke liye.
↘(119)
✒Beshak Ham ne Tumhe Haq ke sath Bheja KhushKhabri Deta Dar Sunata Aur Tum se Dozakh walo ka sawaal na hoga….
↘(120)
✏Aur HarGiz Tum se Yahood aur Nasara Razi Na Honge Jab tak Tum unke Deen ki pairvi na karo , Tum Farma Do اللّٰه ALLAH hi ki Hidayat ,
Hidayat hai Aur ( aye sunne wale kise bashid (yani koi bhi sunne wala) ) agar to unki Khwahisho ka Pairo huwa baad iske keh Tujhe Elm aa chuka to اللّٰه ALLAH se tera koi Bachane wala nahi hoga aur na MadadGaar.
↘(121)
✒Jinhe Ham ne Kitab di hai wo Jaisi Chahiyee Uski Tilawat karte Hain , wahi us par Eiman Rakhte hain aur Jo munkir hoN to wahi ZiyaNkaar hain.
↘(122)
✏Aye Aulaad e Yaaqoob yaad karo mera Ahsan jo mai ne Tum par kiya. Aur wo jo maine Us zamane ke sab Logo par Tumhe Barhayi di.
↘(123)
✒Aur Daro Us Din se Keh Koi Jaan Dusre ka Badla na Hogi aur na us ko Kuch le kar ChhorheN aur na Kafir ko koi Sifarish Nafaa De aur na Unki madad ho.
↘(127)
✏Aur Jab Uthata tha Ibraheem us Ghar ki NiweN aur Ismaeel ye kahte huye Aye Rab Hamare Ham se Qabool Farma Beshak Tu hi hai sunta janta.
↘(128)
✒Aye Rab Hamare aur kar hame Tere Huzoor Gardan Rakhne wala aur hamari aur hamari Aulad me se ek Ummat teri Farmabardar aur hameN hamari ibadat ke qayede bata aur Ham par apni Rahmat ke sath Ruju Farma, Beshak Tu hi hai Bahut Tauba Qabool karne wala Maharban.
↘(129)
✏Aye Rab Hamare aur bhej in me ek رسول RASOOL unhi me se keh in par teri AayateN Tilawat Farmaye aur unheN Teri Kitab aur Pukhta Elm Seekhaye aur unheN Khoob Suthra Farmaye, Beshak Tu hi Hai Ghalib Hikmat wala.
↘(130)
✒Aur Ibraheem ke Deen se kon Munh Phere siwaye uske jo dil ka Ahmaq hai aur Beshak Zaroor Ham ne dunya me use chun liya aur beshak wo Aakhirat me Hamare Khaas Qurb walo me hai
↘(131)
✏Jab Ke Us se Uske Rab ne Farmaya Gardan Rakh, Arz ki mai ne Gardan Rakhi us ke liye jo Rab Hai saare jahan ka.
↘(132)
✒Aur Usi Deen ki wasiyat ki Ibraheem ne apne beto ko aur Yaaqoob ne keh Aye mere beto Beshak اللّٰه ALLAH ne ye Deen Tumhare liye Chun liya to na Marna Magar Musalman…..
↘(133)
✏Balki Tum Me Ke Khud Maujood The , Jab Yaaqoob ko Maut Aayi Jabki Us Ne Apne Beto Se Farmaya Mere Baad Kis ki Pooja Karoge Bole Ham poojenge Use Jo Khuda Hai Aap ka Aur Aap ke Aaba Ibraheem w Ismaeel w Ishaaque ka Ek Khuda aur Ham Uske Huzoor Gardan Rakhe Hain…
↘(134)
✒Ye Ek Ummat Hai ke Guzar Chuki Unke Liye Hai Jo unho ne Kamaya aur Tumhare liye hai Jo Tum Kamao aur Unke Kamo ki Tum se Pursish Na hogi…
↘(135)
✏Aur Kitabi Bole Yahudi ya Nasrani Hojao Raah Paoge Tum Farmao Balki Ham to Ibraheem ka Deen Lete hain, Jo har Batil se Juda The aur Mushriko Se na The.
↘(136)
✒YooN kaho Ke Ham Eiman Laye اللّٰه ALLAH par aur Us par Jo Hamari Taraf Utra aur Jo Utaaraa Gaya Ibraheem w Ismaeel w Ishaaqu w Yaaqoob aur Unki AULAAD par Aur Jo ata Kiye Gaye MOSA W ESA aur Jo ata kiye Gaye Baaqi Ambiya Apne Rab ke Paas se Ham Un me Kisi par Eiman Me Faraq Nahi Karte Aur Ham اللّٰه ALLAH ke Huzoor Gardan Rakhe Hain
↘①③⑦
✏Phir agr wo bhi yunhi Eiman laye jaisa tum laye jab to wo Hidayat pa gaye aur agar munh phereN to wo niri zid pagaye aur Aye Mahboob Anqareeb اللّٰه ALLAH unki taraf se TumheN kifayat karega aur wahi hai sunta janta.
↘①③⑧
✒Ham ne اللّٰه ALLAH ki Raini (rang) Li aur اللّٰه ALLAH se bahtar kis ki Raini? Aur ham usi ko Poojte Hain…
↘①③⑨
✏Tum Farmao kiya اللّٰه ALLAH ke bare me ham se jhagarhte ho halanki wo hamara bhi malik aur tumhara bhi aur Hamari karni hamare sath aur Tumhari karni Tumhare sath aur Ham nire usi ke Hain.
↘①④∅
✒Balki tum yuN kahte ho keh Ibraheem w Ismaeel w Ishaaque w Yaaqoob aur unke bete Yahudi ya Nasrani the , Tum Farmao kiya Tumhe elm zyda hai ya اللّٰه ALLAH ko, aur us se barh kar Zalim kon jis ke paas اللّٰه ALLAH ki taraf ki Gawahi ho aur wo use Chhupaye aur Khuda Tumhare KotakoN se Be Khabar Nahi.
↘①④①
✏Wo ek Giroh hai keh Guzar Gaya unke Liye un ki kamai aur Tumhare liye tumhari kamai aur un ke kamo ki Tum se Pursish na hogi.
↘①④②
✏Ab kahenge Bewakoof log kis ne phair diya Musalmano ko un ke us qibla se jis par the. Tum Farma do keh Poorab aur Pachhim sab اللّٰه ALLAH hi ka hai jise chahe seedhi Rah chalata hai.
↘①④③
✒Aur baat yunhi hai keh ham ne Tumhe kiya sab ummato me Afzal ,Tum logo par Gawaah ho aur ye رسول RASOOL Tumhare Nigehban W Gawaah aur Aye Mahboob Tum pahle jis Qabila par the ham ne wo isi liye Muqarar kiya tha keh DekheN kon رسول RASOOL ki Pairwi karta hai aur kon Ulte PaoN phir jata hai, aur Beshak ye Bhari thi Magar un par Jinhe اللّٰه ALLAH ne Hidayat ki Aur اللّٰه ALLAH ki shaan nahi keh Tumhara Eiman Akarat kare, Beshak اللّٰه ALLAH Adamiyo par Bahut Maharban Mehar Wala hai …..
↘①④④.
✏Ham Dekh Rahe Hain Baar Baar Tumhara Aasmaan ki Taraf Munh karna To Zaroor ham Tumhe phair Denge us qibla ki Taraf jis me Tumhari Khushi hai Abhi apna munh Phair do Masjid E Haraam ki taraf aur Aye Musalmano tum JahaN KahiN ho apna Munh Usi ki Taraf karo aur wo Jinhe Kitab mili hai Zaroor jante keh ye un ke rab ki taraf se haq hai aur اللّٰه ALLAH un ke KotakoN se be Khabar nahiN……
↘①④⑤
✒Aur agr Tum un KitabiyoN ke Paas har Nishaani le kar aao wo Tumhare Qibla ki Pairwi na karenge aur na tum un ke Qibla ki Pairwi karo aur wo aapas me bhi ek Dusre ke Qibla ke Tabe’ nahi , aur (aye sunne wale kise bashad (koi bhi sunne wala)) Agar tu unki Khwahisho par chala baad iske keh tujhe Elm mil chuka to us waqt to Zaroor Sitamgaar hoga.
↘①④⑥
✏Jinhe ham ne Kitab ata Farmayi wo us NABI ko aisa Pahchante hain jaise Aadmi apne beto ko pahchanta hai aur beshak un me ek Giroh jaan bujh kar haq chhupate hain….
↘①④⑦
✒(Aye sunne wale ) ye Haq hai Tere Rab ki taraf se ( ya Haq wahi hai jo tere Rab ki taraf se ho ) to Khabardar tu shak na karna…..
↘①④⑧
✏Aur har ek ke liye tawajjeh ki ek simt hai keh wo usi ki Taraf munh karta hai to ye Chaho keh nekiyo me auro se aage nikal jayeN tum KahiN ho اللّٰه ALLAH tum sab ko ekhatta le aayega , Beshak اللّٰه ALLAH jo chahe kare….
↘①④⑨
✒Aur JahaN se aao apna munh Masjid e Haraam ki Taraf karo aur wo Zaroor Tumhare Rab ki Taraf se Haq hai aur اللّٰه ALLAH Tumhare kamo se Ghafil NahiN….
↘①⑤∅
✏Aur Aye Mahboob Tum JahaN se aao apna munh Masjid e Haraam ki Taraf karo aur aye Musalmano tum JahaN KahiN ho apna munh usi ki Taraf Karo keh logo ko tum par koi hujjat na rahe , Magar jo un me na insafi kareN to unse na Daro aur mujh se Daro aur ye is liye hai keh mai apni Nemat tum par poori karoN aur kisi Tarha tum Hidayat paoo.
↘①⑤①
✒Jaise keh Ham ne tum me Bheja ek رسول RASOOL tum me se keh tum par hamari AayateN Tilawat farmata hai aur TumheN paak karta aur Kitaab aur Pukhta Elm sikhata hai aur TumheN wo taaleem farmata hai jis ka TumheN elm na tha….
↘①⑤②
✏To Meri Yaad karo , Mai Tumhara Charcha Karonga,
Aur Mera Haq Mano aur MeMeri Nashukri na Karo….
↘①⑤③
✒Aye Eiman Walo Sabr Aur Namaz se Madad Chaho Beshak اللّٰه ALLAH Sabiro ke saath Hai….
↘①⑤④
✏Aur Jo Khuda Ki Raah me Maare JayeN unhe Murda na kaho Balki wo Zinda hain ,
HaN Tumhe Khabar NahiN….
↘①⑤⑤
✒Aur Zaroor Ham Tumhe Aazmayenge Kuch Darr aur Bhook se Aur Kuch Maalo Aur Jano aur Phalo ki Kami se , Aur KhushKhabri suna Un Sabr Walo ko….
↘①⑤⑥
✏Keh Jab Un par koi Musibat Parhe to KaheN Ham اللّٰه ALLAH ke maal Hain aur Ham ko usi ki Taraf Phirna….
↘①⑤⑦
✒Ye wo Log hain jin par unke Rab ki DuroodeN Hain aur Rahmat aur Yahi Log Raah par Hain….
↘①⑤⑧
✏Beshak Safa Aur Marwah اللّٰه ALLAH ke Nishano se Hain, to Jo us Ghar ka Hajj Ya Umrah kare us par kuch Gunah nahiN keh un Dono ke Phere kare aur jo koi bhali bat apni taraf se kare to اللّٰه ALLAH neki ka sila dene wala Khabardar hai…
↘①⑤⑨
✏Beshak wo jo hamari utari huyi Raushan Bato aur Hidayat ko Chhupate hain bad is ke keh Logo ke liye ham ise Kitab me wazeh Farma chuke hain un par اللّٰه ALLAH ki laanat hai aur laanat karne Walo ki laanat.
↘①⑥∅
✒Magar wo jo tauba kareN aur sawanreN aur zahir kareN to mai Unki tauba Qabool farmaonga aur mai hi hu bada tauba Qabool farmane wala Maharban.
↘①⑥①
✏Beshak wo jinho ne kufr kiya aur kafir hi mare un par laanat hai اللّٰه ALLAH aur Farishto aur Aadamiyo Sab ki….
↘①⑥②
✒Hamesha Rahenge us me ,na un par Azaab halka ho aur na unheN Muhallat di Jaye.
↘①⑥③
✏Aur Tumhara Maabood Ek Maabood hai, us ke siwa koi Maabood nahi magar wahi badi Rahmat wala Maharban.
↘①⑥④
✏Beshak Aasmano aur Zameen ki paydaish aur Raat w Din ka Badalte Aana aur Kashti keh darya me Logo ke fayede le kar Chalati hai aur wo jo اللّٰه ALLAH ne Aasman se pani utar kar Murda Zameen ko is se Jila Diya aur Zameen me har qism ke Janwar Phailaye aur HawaooN ki Gardish aur wo Badal Keh Aasman wa Zameen ke Beech me Hukm ka Baandha hai in sab me Aqal MandoN Ke Liye Zaroor NishaniyaN Hai.
↘①⑥⑤
✒Aur Kuch Log اللّٰه ALLAH ke siwa aur Maabood bana lete hain keh unheN اللّٰه ALLAH ki Tarha Mahboob Rakhte hain aur Eiman Walo ko اللّٰه ALLAH ke barabar kisi ki محبَّت Mahabbat nahiN aur kaisi ho agar dekheN Zalim wo Waqt Jab keh Azaab unki aankho ke samne aayega is ly keh sara zor Khuda ko hai aur is Liye keh اللّٰه ALLAH ka Azaab Bahut sakht hai.
↘①⑥⑥
✏Jab Bezaar Honge peshwa apne PairwooN se aur dekhenge Azaab aur Kat jayengi unki Sab DoreN.
↘①⑥⑦:- Mushrikeen, Kafireen, munafiqeen, Zalimeen par qayamat me pachhtawe aur azab ke siwa kuch na hoga Ka bayan.
✏Aur Kahenge Pairaw kaash HameN laut kar jana hota ( dunya me) to ham in se Torh dete jaise inho ne ham se Torh di, yunhi اللّٰه ALLAH unhe dikhayega unke kaam un par hasrateN ho kar aur wo Dozakh se nikalne wale nahiN.
↘①⑥⑧:- Halaal rozi aur Shaitaan ka bayan..
✒Aye LogoN khaao jo Kuch Zameen me Halal pakiza hai aur Shaitaan ke qadam par qadam na rakho beshak wo Tumhara khula dushman hai….
↘①⑥⑨:- Shaitaan kya karwaata hai ka bayan…
✏Wo to TumheN yahi Hukm dega badi aur be hayai ka aur ye keh اللّٰه ALLAH par wo bat jodo jis ki TumheN Khabar nahiN.
↘①⑦∅:- Makkah ke kafiro ke baap dada ka bayan…
✒Aur Jab Unse Kaha Jaye اللّٰه ALLAH ke utaare par chalo to KaheN Balki ham to usi par chalenge jis par apne baap dada ko paya kia agar cheh unke baap dada na Kuch Aqal Rakhte ho na Hidayat….
↘①⑦①:- Faryad Sunna wa madad karna ye اللّٰه ALLAH aur اللّٰه ALLAH ki ata se رسول RASOOL aur اللّٰه ALLAH wale hi karte hain. Ka bayan…
✏Aur Kafiroon ki kahawat us ki si hai jo pukaare aise ko ke Khaali Cheekh wa Pukaar ke siwa kuch na sune bahre goonge andhe to unheN samjh nahiN
↘①⑦②:- Halaal Rozi ka Bayan..
✒Aye Eiman Walo khaao hamari di huyi Suthri ChizeN aur اللّٰه ALLAH ka ahsaan Mano agar tum usi ko Poojte ho.
↘①⑦③
✏Us ne Yahi tum par Haraam kiye hain murdaar aur khoon aur Suwwar ka Gosht aur wo Janwar jo Gair e Khuda ka Naam le kar Zibah kiya gaya ,
To jo naachaar ho na yuN keh Khwahish se khaaye aur na yuN keh zaroorat se aage barhe to us par Gunah nahiBeshak اللّٰه ALLAH bakhsh ne wala Maharban hai.
↘①⑦④
✒Wo jo Chhupate hain اللّٰه ALLAH ki utaari huyi kitaab aur uske badle zaleel qimat le Lete hain , wo apne pet me Aag hi bharte hain, aur اللّٰه ALLAH qayamat ke din un se Baat na karega aur na unheN Suthra kare aur un ke liye Dardnak Azaab hai.
↘①⑦⑤
✏Wo log hain jinho ne Hidayat ke badle gumrahi mol li aur Bakhshish ke badle Azaab, To kis darje unheN Aag ki sahaar hai.
↘①⑦⑥
✒Ye is liye keh اللّٰه ALLAH ne kitaab Haq ke saath utaari aur beshak jo log kitaab me ikhtilaaf Dalne Lage wo Zaroor parle sire ke jhagrhalo hain.
↘①⑦⑧
✏Aye Eiman waloN tum par Farz hai keh jo na Haq mare JayeN unke Khoon ka badla lo , Aazad ke badle Aazad aur Ghulaam ke Badle Ghulaam aur Aurat ke Badle Aurat , to jiske liye uske bhai ki taraf se Kuch Muafi huyi to Bhalayi se Taqaza ho aur Achchi Tarha ada , yeh Tumhare Rab ki Taraf se Tumhara Bojh Halka Karna hai aur Tum par Rahmat, to is ke bad jo Ziyadati kare us ke liye Dardnaak Azaab hai.
↘①⑦⑨
✒Aur khoon ka badla lene me Tumhari Zindagi hai Aye Aqal Mando keh Tum KahiN Bacho.
↘①⑧∅
✏Tum par Farz Huwa keh jab tum me kisi ko Maut aaye agar kuch maal Chhorhe to wasiyat kar Jaye, apne maa baap aur qareeb ke Rishtedaro ke liye muafiq dastoor ye Wajib hai Parhezgaaro par .
↘①⑧①
✒To jo wasiyat ko sun kar badal de us ka Gunah unhe badalne Walo par hai,
Beshak اللّٰه ALLAH sunta janta hai.
↘①⑧②
✏Phir Jise Andesha huwa keh wasiyat karne wale ne kuch be insafi ya Gunah kiya to us ne un me sulah kara di us par kuch Gunah nahi, beshak اللّٰه ALLAH bakhshne wala Maharban hai.
↘①⑧③
✏Aye Eiman Walo !
Tum par Roze Farz kiye Gaye jaise aglo par Farz huye the keh KahiN TumheN Parhezgaari mile.
↘①⑧④
✒Ginti ke din hain , to tum me jo koi bimaar ya safar me ho to itne roze aur Dino me aur Jinhe iski taqat na ho wo Badla den ek miskeen ka khana, phir jo apni Taraf se neki zyda kare to wo us ke liye bahtar hai , aur roza Rakhna Tumhare liye zyada bhala hai agar tum Jano.
↘①⑧⑤
✏Ramzan ka wo mahina jis me Qur’aan Utra , Logo ke liye Hidayat aur rahnumai aur faisle ki Raushan bateN ,to tum me jo koi ye mahina paaye Zaroor is ke Roze rakhe aur jo bimaar ya safar me ho to itne Roze aur dino me , اللّٰه ALLAH tum par aasaani chahta hai aur tum par dushwaari nahiN chahta aur is liye keh tum ginti poori Karo aur اللّٰه ALLAH ki badai bolo is par keh us ne TumheN Hidayat ki aur KahiN tum Haq Guzaar ho.
↘①⑧⑥
✏Aur Aye Mahboob jab tum se mere bande Mujhe puchheN to mai nazdeek huN , Dua Qabool karta huN pukarne wale ki jab Mujhe Pukaare , to UnheN chahiyee mera Hukm mane aur mujh par Eiman LayeN keh KahiN Raah PayeN.
↘①⑧⑦
✒Rozo ki rato me apni aurto ke pas jana Tumhare liye halaal huwa ,wo tumhari libas hain aur tum unke libas, اللّٰه ALLAH ne jana ke tum apni jano ko khayanat me dalte the to us ne Tumhari tauba Qabool ki aur Tumhe Muaf Farmaya to ab un se suhbat karo aur talab karo jo اللّٰه ALLAH ne Tumhare naseeb me likha ho, aur khao aur piyo yaha tak keh Tumhare liye zahir ho jaye safedi ka dora siyahi ke dore se ( puphat kar) phir raat aane tak Roze poore karo , aur aurto ko haath na lagao jab tum Masjido me Aitikaaf se ho , ye اللّٰه ALLAH ki hadeN hain , unke pas na jao , اللّٰه ALLAH yuN hi bayan karta hai logo se apni AayateN keh KahiN unhe Parhezgaari mile.
↘①⑧⑧
✏Aur Aapas me Ek Dusre ka maal na haq na khaao aur na Hakimo ke Paas un ka muqadma is ly Pahunchao ke logo ka kuch maal najaiz taur par khaa lo jaan boojh kar.
↘①⑧⑨
✒Tum se naye Chand ko poochhte hain Tum Farma do wo Waqt ki AlamateN hain logo aur Hajj Ke ly , aur ye kuch Bhalayi nahiN keh Gharo me pichheet Torh kar aao Haa Darwazo se Aao aur اللّٰه ALLAH se Darte Raho is Ummeed par keh Falah Paao.
↘①⑨⊙
✏Aur اللّٰه ALLAH ki Raah me Larho unse jo tum se larhte hain aur Had se na badho , اللّٰه ALLAH pasand nahiN Rakhta Had se badhne WaloN ko.
↘①⑨①
✏Aur Kafiro ko JahaN Paao Maaro aur Unhe Nikal do JahaN se Unho ne TumheN Nikala tha aur unka Fasaad to qatl se bhi Sakht hai, Aur Masjid E Haraam ke pas un se na Larho jab tak wo tum se wahaN na larheN aur agar tum se larheN to unheN Qatl Karo Kafiro ki Yahi saza hai.
↘①⑨②
✒Phir Agar wo Baaz raheN to Beshak اللّٰه ALLAH Bakhshne wala Maharban hai.
↘①⑨③
✏Aur un se Larho yahaN tak keh koi Fitna na Rahe aur ek اللّٰه ALLAH ki Pooja ho Phir Agr wo Baaz AayeN to Ziyadati NahiN Magar Zalimo par.
↘①⑨④
✒Maah E Haraam ke Badle Maah E Haraam aur Adab Ke Badle Adab hai to jo tum par Ziyadati kare us par Ziyadati karo utni hi jitni us ne ki aur اللّٰه ALLAH se Darte Raho aur Jaan rakho keh اللّٰه ALLAH Dar walo ke saath hai.
↘①⑨⑤
✏Aur اللّٰه ALLAH ki Raah me Kharch karo aur apne Hatho Hilakat me na parho aur Bhalayi wale ho jaao Beshak Bhalayi wale اللّٰه ALLAH ke Mahboob Hain.
↘①⑨⑥
✏Aur Hajj aur Umrah اللّٰه ALLAH ke liye poora karo , Phir agar tum roke jaao to Qurbani bhejo jo muyassar Aaye aur Apne Sar Na mundwaao jab tak Qurbani apne thikane na Pahunch Jaye Phir jo tum me bimaar ho ya us ke sar me Kuch takleef hai to Badla de Roze ya Khairaat ya Qurbani phir jab tum itminaan se ho to jo Hajj se Umrah milane ka fayeda uthaye Us par Qurbani hai jaisi muyassar Aaye phir Jise Maqdoor na ho to teen(3) Roze Hajj ke Dino me rakhe aur saat (7) jab apne Ghar palat kar jaao yeh poore Das (10) huye yeh Hukm us ke liye hai Jo Makkah ka rahne wala na ho, Aur اللّٰه ALLAH se Darte Raho aur Jaan Rakho keh اللّٰه ALLAH ka Azaab Sakht hai.
SUREH BAQRAH END….
Aayat 124, 125 & 126 missing please check