10 Sawal aur Jawab – Kunde Ki Niyaz (Must read)
QUESTION 1:Kunde Ki Niyaz Kyu karte hai.
Answer : #15_Rajab Imam Jafar Sadiq Ki Wisal ki date hai Unhe Eisalesawab (Sawab Nazr/Hadiyah) karne ke liye karte hai , Or Kuch Concept nahi hai , Main chiz hai Base/ Buniyad (Asl) is Niyaz ki Asl hai Eisalesawab , bas Jo Kuch Pakaya jata hai Ise Ghareebau ko sabko khilakar iska Sawab #Imam_Jafar_Sadiq RadiAllahuanhu ki bargah me Tohfa nazr(Send) karte hai.
QUESTION 2: #Kunde kyu kahte hai or Kondau me khana kyu rakhte hai.
Answer : Jaise ke aap Jante hai Mittih Ke Bartan me Khana #Sunnat hai , or Medically Bhi proved hai ke Sehat ke liye Acha hai , Toh Huzurﷺ Ki Sunnat Ada karte hue Khane Ko Mittih k Kundau me rakha jata hai , Mittih ke Kundau me Rakhne ki Wajah se Iska naam Kunde Mash’hoor hogaya Indian Sub Continent me.
Note : Niyaz ke Liye Zaruri nahi ki Mittih ke hi bartan me rakha jaye dusre bartan me bhi rakh sakte hai , Jo aisa sonchte hai ke Sirf mittih K Kundau me hi rakhna hai warna nahi hoga ye sab Unki Jahaliyat hai.
QUESTION 3: Kab Karna Chahiye? Kya Karna Zaruri hai.
Answer : Dekhiye Indian Sub Continent me Ye Niyaz mostly 15 Rajab ko ki jati hai ya phir 22 Rajab ko bhi ki Jati hai or Sare #Rajab ke mahine me ki jati hai , apki Sahulat Ke hisab Se Saal me kabhi bhi Karsakte hai Date Fix nahi hai #Ahlesunnat ke yaha , Eisalesawab Kabhi bhi hosakta hai , or Ye Niyaz karna Farz Wajib Sunnat nahi hai balke #Jaiz or acha kaam hai Karo toh Fayeda sawab na Karo toh kuch nahi lekin Shirk #Biddat haram ke fatwe dena khane Ko Niyaz ko Ghair Mazhab Ki Pooja Se Compare karke beadbi karna ye Sakht Gunah hai.
QUESTION 4: #Kunde Karna Quran o Hadith me hai kya.
Answer : Abhi Bataya gaya ki Iski Buniyad hai Fatiha/Eisalesawab, jaise ke 11 Tareeq Ko karne se Gyarwi kahte hai , 12 Ko karne Se Barwi , 6 Ko karne se Chathi , Inteqal k 3 din baad karne Ko Soyem (Ziyarat) 40 din ke baad Karne se Chehlum kahte hai Ek Saal ke baad karne se Barsi kahte hai , Alag alag Dates par karne se Alag alag Shaqsiyatau ke liye karne se Naam change hoga lekin base Buniyad wahi hai #Eisalesawab Jo ke #Quran o #Hadith se sabit hai Jiske proofs hamare page par bohat baar diya jachuka hai.
QUESTION 6: Kunde ki Niyaz Kise kahte hai , Kyu karte hai or Kya Quran o Hadith me Iska Saboot hai? Iska jawab Zarur padhe.
Answer: Kunde Yaani Imam Jafar Sadiq RadiAllahuanhu Ko Sawab Nazr karne ke liye Jo Niyaz #Eisalesawab ki Shakl me ki Jati , Isme Mittih Ke Kundau ka Istemal Hota hai isiliye iska Naam #Kunde Mash’hoor Hogaya.
QUESTION 7: Kunde Eisalesawab Hai toh Iski Kya #Dalil hai ? Kya #Nabi Ne Khane Pine ke Chizau se Eisalesawab kiya hai.
Answer: Ji Haan Ek #Sahabi ki Walda Inteqal kargayi toh Unke Eisalesawab ke liye Nabi ne khudh Hukum diya Sahabi ko ye dekhiye hadees:
Hazrat Sa’d Bin Ubaada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi. Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم !
Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Paani Pilaana.
(To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha.
References : (Sunan Nasai – Kitab Al Wasaya Hadees : 2666)
(Sunan Al Kubra Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Hadees : 22512.
QUESTION 8 : Ab Kuch Log Kahege Ke Khane pine K chiz ko #Ghairullah ke naam ki taraf Mansoob karna #Shirk hai.
Answer: Harghiz Shirk nahi hai ! Uper wali #hadees me hi Dekhiye Nabi ne farmaya Ye Kuwaan (Well) Saad Ki Maa k liye , Nabi ne Khudh Us Kuwen ke paani ko Umme Saad ki taraf mansoob kiya Agar shirk hota Toh Nabi karte ? Bilkul jihalat ki baten hai ye.
QUESTION 9: Tum Log Kunde me kheer /Halwa or Niyaz me Mittha Zyada Kyu banate ho? Kya wo Zaruri hai.
Answer: Ji Zaruri nahi hai , Aap Kuch bhi banasakte hai lekin Ham Har Niyaz me Halwa/ Mitha Isiliye banate hai pahle hadees padhe :
Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Radi Allaho Anha se rivayat hai k Nabi E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.
Refernces : (Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab Al Tibb ,Hadees :5682, 5431.
Isiliye #Kunde me or #Niyaz me #Halwa or Mithi chiz banate hai.
Jaisa ke Aap sab Jante Kunde Imam jafar Sadiq RadiAllahuanhu k Eisalesawab ko Kahte hai.
QUESTION 10: Kunde Eisalesawab Hai toh Iski Kya #Dalil hai ? Kya #Nabi Ne Khane Pine ke Chizau se Eisalesawab kiya hai.
Answer: Ji Haan Ek #Sahabi ki Walda Inteqal kargayi toh Unke Eisalesawab ke liye Nabi ne khudh Hukum diya Sahabi ko ye dekhiye hadees:
Hazrat Sa’d Bin Ubaada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi. Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم !
Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Paani Pilaana.
(To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha.
References : (Sunan Nasai – Kitab Al Wasaya Hadees : 2666)
(Sunan Al Kubra #Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Hadees : 22512.