APRIL FOOL(Jhooth Bolna Gunahe Kabira Hai)
Jhoot Bolne Wale Par Allah Paak Ki Laanat Hoti Hai.
⬆(Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No:61)
📛Har Saal 1 April Ko April Fool Manaya Jata Hai, Is Ki Ibteda Ke Bare Me Mukhtalif Kahaniya Milti Hai,
“Kahani Koi Bhi Ho Sawal Ye Paida Hota Hai”
① Kya Ham Samajhte Hai Jhoot Bolna Acchi Adat Hai?
② Kya Ham Pasand Karte Hai Ke Koi Ham Se Jhoot Bole?
③ Kya Ham Me Se Koi Pasand Karta Hai Ke Us Ka Mazakh Udaya Jaye?
📛 Yaqinan Ham Jhoot Ko Accha Nahi Samajhte Na Hi Kisi Ka Mazakh Udana Hamare Nazdeek Koi Pasandida Harkat Hai Aur Na Hi Ham Khud Apne Liye Aesa Chahte Hai To Phir April Fool Kaise Mana Sakte Hain Jo Jhoot Bolkar Doosro’n Ko Bewaqoof Banana Aur Unka Mazakh Udane Ka Din Hai.
Reference From Quran Majeed:
💢Allah Paak Irshad Farmata Hai –
“Ae Iman Walo’n Na Mard Mardo’n Se Hanse
Azab Nahi Ke Wo Un Hansne Walo’n Se Behtar Ho Aur Na Aurate’n Aurato’n Se,
Door Nahi Ke Wo Un Hasne Waliyo’n Se Behtar Ho, Aur Apas Me Tana Na Karo Aur Ek Doosre Ke Bure Naam Na Rakho Kiya Hi Bura Naam Hai Musalman Ho Kar Fasiq Kahlana Aur Jo Tauba Na Kare To Wahi Zalim Hain
⬆(Surah:Al-Hujrat, Surah No:49,Aayat No:11)
① Na Mazak Banayye Aur Na Mazaq Ka Nishana baniye.
② Na Jhoot Boliye Aur Na Kisi Ke Jhoot Me Shamil Hoye.
③ Apne Akhlaq-o-Aamal Ki Khoobsurti Ko Duniya Ke Samne Laye Ta Ke Wo Jaan Sake’n Ke Aap Kitne Shandar Deen Ke Numayenda Hain.
Reference From Hadees:
💢 RasoolAllah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya
Jis Ne Kisi Qaum Ki Mushabihat Ikhtiyar Ki Wo Unhi Me Se Hai.
📒(Bukhari Sharif).
📛Kisi Ko Fool Banana Ek Qabeeh (Buri) Harkat Hoti Hai, Jhoot Bole Begair Kisi Ko Bewaqoof Nahi Banaya Ja Sakta Aur Ek Musalman Ko Jhoot Nahi Zeba Deta.
💢 RasoolAllah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya –
Halakat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo’n Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole, Us Ke Liye Halakat Hai, Us Ke Liye Halakat Hai.
📚(Abu Dawood, Tirmizi).
📛Yaad Rahe! Musalman Wo Hai Jo Apne Bhai Ke Liye Wahi Pasand Karta Hai Jo Apne Liye Pasand Karta Hai, Jab Ham Apne Liye Jhoot Aur Mazaq Pasand Nahi Karte To Phir Kisi Doosre Ke Liye Kaise Kar Sakte Hai?
💢RasoolAllah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya:
Banda Kaamil imaan Waala Nahi Ho Sakta Jab Tak Ke Mazak Me Jhoot Bolna Aur Jhagadna Na Chod De Bhale Hi Wo sahi Ho.
📚Musnad Ahmad 8668
📢📢📢📢📢📢📢📢📢📢📢
Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah Hai.
Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah Hai.
Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah Hai.
🛑Allah Paak Ham Sab Ki Hifazat Farmaye Ameen…
Do Follow Our Islamic Page On Instagram: