ASHURA KE DIN KI ITNI FAZEELAT KYU ❓❓❓
🎴10 MUHARRAM KE DIN ARSH, KURSI, AASMAN, ZAMEEN, SOORAJ, CHAND,SITARE, AUR JANNAT PAIDA KIYE GAYE.
🀄AASHURA K ROZ AADAM عليه السلام KO PAIDA KIYA GAYA, ISI DIN UNHE JANNAT ME DAKHIL KIYA GAYA AUR ISI DIN APKI TOUBA BHI QABOOL KI GAYI .
🎴ASHURA K ROZ HAZRATE IBRAHIM عليه السلام PAIDA HUWE ISI DIN UNHE AAG SE NIJAT MILI..
🀄ASHURA K ROZ HAZRATE IDREES عليه السلام KO MAQAME BULAND KI TARAF UTHAYA GAYA..
🎴ASHURA K DIN AYYUB عليه السلام KI TAKLIF RAF ‘A KI GAI.
🀄AASHURA K DIN YUSUF عليه السلام GEHRE KUNWE SE NIKALE GAYE.
🎴AASHURA K DIN YUNUS عليه السلام MACHHLI K PET SE NIKALE GAYE.
🀄ASHURA K DIN YAQOOB عليه السلام KI BINAAI KA ZUAF DOOR HUWA..
🎴AASHURA K DIN SULEMAAN عليه السلام KO MULKE AZIM ATA KIYA GAYA…
🀄AASHURA K DIN NOOH عليه السلام KI KASHTI KUHE JUDI PAR THAHRI..
🎴AASHURA K DIN MOOSA عليه السلام OR AAP KI UMMAT KO NAJAT MILI OR FIRON APNI QOUM SAMET GARAQ HUA…
🀄AASHURA K DIN ISAA عليه السلام PAIDA KIYE GAYE OR ISI DIN UNHE AASMANO KI TARAF UTHAYA GAYA..
🎴AASMAN SE ZAMEEN PAR ISI DIN SABSE PEHLI BARISH NAZIL HUYI..
🀄AUR ISI DIN KA ROZA UMMATO ME MASHOOR THA YAHA TAK KE YE BHI KAHA GAYA HAI KI IS DIN KA ROZA MAHE RAMZAN SE PEHLE FARZ THA FIR MANSOOKH KAR DIYA GAYA AUR HUZUR ﷺ NE HIJRAT SE PEHLE IS DIN KA ROZA RAKHA…
*📚(MUQASHAFATUL QULUB)*
🎴Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???
🀄Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa’la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir’on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya…
🎴Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya…
🀄Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the….
🎴Behayki Ne Sho’abul Imaan Me Riwayat Naql Ki hai Ki Jisne Ashura Ke din Apne Ghar walo Aur Ahal-Wa-Ayal Par Wus’at ki Allah Taa’la Uske Sare Saal Me Wus’at Aur Barkat Ata Farmata hai…
🀄Tabrani Ki Ek Munkar Riwayat Me hai ki Is din me Ek Dirham Sadqa Karna 7 Lakh Dirham Ke Barabar hai Aur Woh Hadees Jisme hai Ki Jisne Is Din Surma Lagaya Woh Is Saal Aankhe Dukhne se Mehfooz Rahega Aur Jisne Is din Gusl Kiya Wo Bimar Nahi Hoga…
🎴Wazeh Ho Ki Is Din Hazrate Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ki Sahadat Ka Din hai Iski Azmat, Raf’at, Allah ke Nazdik Uske Darja Aur Ahle Bait ke Maratib Se Is Din Ka Talluk Hai..
🀄Khaas Tor par Khayal Karo Ke Kahi Rafzi Ki Biddato me Mashgool Na Ho Jao Jesa ki Wo Log Unke Hum Misl Rona,Pitna,Aur Ghum Ka Izhar karna Kyonki Ye Cheeze Momino Ke Akhlak Se Bahar hai.
🎴Agar Ye Cheeze Acchi hoti to Unke Nana’jaan Huzur ﷺ Ka Youme Wisal In Umoor Ka Batrike Aula Mustahik hota Aur Hume Allah Kafi hai Aur Wahi Umda Madadgar hai…
*📚(Mukashifat’ul’Quloob)*
Do Follow Our Page On Instagram For More Islamic Posts:
https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDc4ODBmNjlmNQ==