Auzubillah Minashaitan Nirajeem Kya Hai – Aao Qurane Paak Samjhe
اَعُوذُ بِااللهِ مِنَ الشّيطٰنِ الرّجِيٌمِ Ke mutaliq chand bateen
1) Tilawat se pehle is ko kiyo padhte hai ?
RAB TAA’LA ka hukum hai. JAB TUM QURAA’N ko padho tu nikale huwe shaitan se panah lo. Maalom huwa QURAA’N padhte waqt AUZU BILLAH padhna hukum e ILAHI hai.
2) Is ki tafseer kiya hai ?
HUZUR E ANWAR SALLALLAH ALEHE WASALAM w SAHABA E KARAM RADI ALLAH ANHU aur saari ummat hamesha is per amal karti rahi. Maloom huwa yeh padhna sunnat hai.
3) Is ke fayde kiya hai ?
Jis tarha namaz se pehle wazu zarori hai. Kiyo ki woh jismani paleedi door karta hai. Aur insaan ko qabile namaz banata hai. Usi tarha TILAWAT se pehle AUZU BILLAH padhna cahiye. Ki yeh androni paleedi ko door karta hai. Aur zaban ko QUR’AAN paak ki tilawat ke qabil banata hai
Jo shaks badsha ke darwaze per hazir ho. Woh bager ijazat andar nahi aasakta. Yuhi jo bargha e ILAHI main hazir ho woh bager AUZ BILLAH padhe kuch arz na kare. AUZ BILLAH padhna RAB TAA’LA se tilwat ki ijazat lena hai. Hazri BARGHA ke waqt darbari libaas jism per hota hai.yeh AUZU BILLAH bargha e ILAHI ke waqt dil w zaban ka libas hai.
TAFSEER NAAEMI. JILD 1 page no 28.
(اَعُوذُ بِااللهِ مِنَ الشّيطٰنِ الرّجِيٌمِ ) Auzu billah padhne main kuch nukte (points) hai.
- Auzu billah padhna goya khalak (duniya) se KHALIQ (duniya banane wala) ki taraf ruju (milana) hai.
Aur yeh tasawoof ki pehli seedhi hai. - Auzu billah padhne main apni majboori aur be basi aur RAB TAA’LA ki qudrat ka iqrar hai. Aur yeh NAFS ko pehchanne ke liye pehli manzil hai.
- Shaitan insaan ka dushman hai. Aur RAB TAA’LA Insaan ka MAULA hai. MAULA ke pass hazri dene main dushman rasta qata (cut) karta hai. Tu insaan pukar ki arz karta hai. Ki aye MAULA tu hi mujhe shaitan se bacha le. Aur apni bargha main hazir farma le. Aur insaan tasawoof ki manzil us waqt par kar sakta hai. Jab yaha se talab ho.
- Quraa’n E kareem farmata hai. Ki Quraa’n ko na chuwe (touch) magar paak log. Tu quraa’n paak ki jild ko paak hath chuye aur Quraa’n paak ki ibarat ko paak zaban chuwe. Aur quraa’n e paak ke mazaameen ko paak dil chuwe. Auzu billah zaban w dil ki taharat hai.AUZU aab e rehmat ( paani ki rehmat ) ka dariya hai koi bhi akar us main guta (dubki) lagaye. Paak ho jayenga.Tafseer Naeemi jild 1 page no 30/31.
Tasfeer AUZU BILLAH (ALIMANA TAFSEER)
Alimana tafseer is ki yeh hogi Ki, duniya w deeni afaateen be inteha hai. Aur hamari taaqat aur qudrat un ko door nahi kar sakti. Kiyo ki hum kamzoor hai. Aur jab kamzor shaks kisi badi museebat main phans jaye tu us ko zarori hata hai ki woh kisi quwat wala ( powar wala ) ki panah le. Aur us ki amaan main aaye. Aur jitni badi afat ho utni hi badi qawa zaat ( badi zaat ) ke sath panah lena zarori hota hai. Maamoli dushmano ko door karne ke liye thaane daar ya police kafi hota hai.badi museebat door karne ke liye captian ya deputi commistionar governer aur baaz condition main BADSHA ki panah lena bhi zarori ho jata hai. Chunki SHAITAAN nahayat qawa dushman hai. Aur us ka makar w fareeb ( dhooke baazi ) ger matnahi (UN LIMITED) hi hai. Itne bade dushman aur itni museebato se bachne ke liye US ZAAT se panah lena bohat zarori hai. Jo قادر مطلق aur حي وقيوم hai. Is liye insaan se kehelwaya gaya hai. Aye bande.yeh keh ki TU MERI PANAH MAIN AA aur keh اَعُوذُ بِااللهِ مِنَ الشّيطٰنِ الرّجِيٌمِ Phir pur lutf baat yeh hai ki yaha yeh na kaha gaya ki shaitaan ke kis dhoke se panah mangta ho. Jis main ishara hai. Us ke saare waswasoo aur khbasatoo se panah mangta ho.bure AQAAYAD se ALLAH ki panah bure aimaal se ALLAH ki panah achae kaam se baaz rehne ( rokne) se ALLAH ki panah. Androoni aur berooni rukawato se ALLAH ki panah. Algarz jo cheez ALLAH se roke usi se ALLAH ki panah.
Tafseer naeemi. Jild 1 page 29.
Tasfeer sufiyana
Jo bhi cheez ho aur hum ko zikr ILAHI se roke woh shaitan hai. Cahe woh jin ho ya insaan ho koi choha ya mozi janwar ( jaise sanp ya bicho katne wala ). Cahe hamara nafs ho ya jismani ya koi aur duniyawi kaam. Is liye QURAA’N E KAREEM farmata hai. شَيٰطِينَ الاِنس وَالجِنِّ aur ek jagha farmata hai مِنَ الجِنّةِ والنّاسِ ek dafa hadrat UMAR RADI ALLAH ANHU ki khidmat main ek khaccar ( خچر ) hazir kiya gaya. Jab aap sawar huwe tu woh uchalne khudne laga. Us ko bohat maara magar woh isi tarha khudta uchalta raha. Hadrat UMAR FAROUQE RADI ALLAH ANHU us per se yeh keh kar utar aaye yeh shaitaan hai.