Fazayal “Bismillah sharif” – Aao Qurane Paak Samjhe
Bismillah ke fazayal be shumar hai. Yeh Qur’aan e paak ki kunji (key) hai.balki har duniyawi aur deeni jayaz kaam ki bhi kunji (key) hai jo bhi kaam is ke bager kiya jata hau woh uncomlite (naqis) rehta hai.
Dusre yeh ki “TAFSEER E RUH UL BAYAN” sharif ne bismillah ke tehet ek hadish sharif farmayi hai ki jab HUZUR NABI KAREEM SALLALLAH ALEHE WASALAM mairaj tashrif le kar gaye aur jannato ki ser farmayi tu waha per 4 nehre dekhi. Ek paani ki’ Dusri dudh (milk) ki’ Teesri sharab ki’ aur Forth honey (sehed) ki.
JABREIL ALEHE SALAM se AAP ne daryaft (maalom) kiya ki yeh nehre kaha se aarahi hai ?
HADRAT JABREIL AMEEN ne arz kiya mujhe is ki khbar nahi dusre farishte ne arz ki ke in 4 nehro ka chasma main dikhata ho aur ek jagha le gaya, waha per ek darakh (tree) thaa, jis ke niche ek imarat (building) bani huwi thi.aur darwaze per kafal (taala) padha thaa.aur us ke niche se 4 nehre nikal rahi thi.irshad farmaya darwaza kholo.arz kiya is ki key mere pass nahi.balki aap ke pass hai.yani “BISMILLAH”.
HUZUR SARWAR E KAYENAT NABI KAREEM SALLALLAH ALEHE WASALAM ne BISMILLAH ko padh kar jaise hi taale ko hath lagaya darwaza khul gaya, andar tashreef le gaye is building main 4 piller they aur 4 piller per bismillah sharif likhi huwi thi.BISMILLAH ki mem se paani jari thaa. ALLAH ki “H” se dudh (milk) jari thaa.”REHMAN” ki mem se sharab aur “RAHIM” ki mem se sehed(honey) andar se awaz aayi
Aye mere MEHBOOB ALEHE SALAM aap ki ummat main se jo shaks BISMILLAH Padhe woh in 4 ka mustahiq hoga.
(Tafseer naeemi jild 1 page no 41)