Gair Allah se Madad Mangna aur
Quran Ki Aayat ( buto se mutaliq nazil hone wali ayat) Ka Jawab
Pehle Ahle Sunnat wa Al Jama’at Ke Aqaid ko Samjhege fir Badd Aqida Logo Ke Sawalo Ke Jawab
Aqeeda Ahle Sunnat Wa Al Jama’at.
ALLAH TAAL’A ke naik bande ALLAH TAAL’A ki ata se madad farmate hai.
ALLAH TAAL’A ke naik bando ko ALLAH TAAL’A ke zaat ka mazhar jaan kar un se madas talab karna jayez hai.
القران :-وَ اِنۡ تَظٰہَرَا عَلَیۡہِ فَاِنَّ اللہَ ہُوَ مَوْلٰىہُ وَ جِبْرِیۡلُ وَ صٰلِحُ الْمُؤْمِنِیۡنَ ۚ وَ الْمَلٰٓئِکَۃُ بَعْدَ ذٰلِکَ ظَہِیۡرٌ ﴿۴﴾
بیشک اللّٰہ ان کا مددگار ہے اور جبریل اور نیک ایمان والے اور اس کے بعد فرشتے مدد پر ہیں
Be Shak ALLAH unka madadgar hau aur JIBRAIRL aur naik iman wale aur uske baad farishte madad per hai.
Undoubtedly, Allah is his helper, and Gibrael, and the righteous believers and after that the angels are his helpers.
( AL-TAHRIM – 66:4 )
القران :-اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوا
تمہارے دوست نہیں مگر اللّٰہ اور اس کا رسول اور ایمان والے.
Tumhare Dost nahi Magar ALLAH aur us ke RASOOL aur IMAN wale.
Only Allah is your friend and His Messenger and the believers.
( AL-MAIDA – 5:55 )
القران :- ★ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اسْتَعِیۡنُوۡا بِالصَّبْرِ وَالصَّلٰوۃِ ؕ
اے ایمان والو صبر اور نماز سے مدد چاہو
Aye IMAN WALO sabr aur Namaz Se Madad caho.
O Believers! Seek help with patience and prayer.
( AL-BAQARA – 2:153 )
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُوۡنُوۡۤا اَنۡصَارَ اللہِ کَمَا قَالَ عِیۡسَی ابْنُ مَرْیَمَ لِلْحَوَارِیّٖنَ مَنْ اَنۡصَارِیۡۤ اِلَی اللہِ
اے ایمان والو دین ِخدا کے مددگار ہو جیسے عیسٰی بن مریم نے حواریوں سے کہا تھا کون ہے جو اللّٰہ کی طرف ہو کر میری مدد کریں
Aye IMAAN WALO deen E Khuda ke madadgaar ho jaise EISAA BIN MARIYAM ne Hawariyo se kaha thaa kaun hai jo ALLAH ki tarad ho kar meri madad kare.
‘O believers! Be helpers of the religion of Allah as Issa son of Maryam had said to his disciples, ‘who are those who may help me being towards Allah?
( AL-SAFF – 61:14 )
ALLAH TAAL’A ke naik bande ALLAH TAAL’A ki ata se madad farmate hai inko madad ke liye pukarna QURAN se Sabit hai QURAN MAJEED ne unhe Momino ka madadgar farmaya.
SubhanAllah ab Badd Aqida Logo Ke Dalil Ka Jawab
Bad Aqeedo ki dalil ka jawab.
Yeh ayat “HUM TERI HI IBADAT KARTE HAI AUR TUJHI SE MADAD CAHTE HAI” se kiya Murad hai ?
HADRAT SHAH ABDUL AZIZ MOHADDIS DEHLAVI ALEHE REHMA apni TAFSEER “Fateh Al Aziz” main is ayat ka jawab yun dete hai ki, ALLAH TAAL’A ke naik bando ko ALLAH TAAL’A ki zaat ka mazhar jaan kar madad mangna dar haqeeqat ALLAH hi se madad mangna hai.
Is ayat ka matlab yeh bhi hai ki, “AYE ALLAH hum teri ibadat ke liye tujh se hi madad cahte hain.”
IMAM BUKHARI ki kitab “ALADAB AL MUFRAD” main bhi hai ki SAHABA E KIRAM ne baad az wisal HUZUR ﷺ se madad talab ki.
Mulahiza farmaye.
“الادب المفرد باب ٤٣٨ ما يقول الرجل اذا خدرت رجله”
Bad Aqeedo ki Dalil ka jawab :-
Al Quran Tarjuma :- ALLAH ke Siwa jin ko pujte hai wo kuch bhi nahi banate aur woh khud banaye huwe MURDE hain, zinda nahi aur unhe khabar nahi log kab uthaye jayenge.
(Sureh Nahal, ayat no 21.)
Al Quran Tarjuma :- BeShak woh jin ko tum ALLAH ke siwa pujte ho tumhari tarha bande hain, to unhe pukaro phir woh tumhe jawab denge, agar tum sache ho. Kiya in ke pao hai jin se chale ? Ya unke hath hai jin se girift kare ? Ya in ki ankhe hai jin se wo dekhe ? Ya unke kaan hai jin se sune ?
(Sureh Al Aaraf, Ayat no 194/195.)
Is ayate ki tafseer main mufassareen farmate hai ki, yeh ayate BOOTO’N ke bare main nazil huwi BOOT ajiz hai, aise ko pujna aur maabood banana badi gumrahi hai. Aur ALLAH TAAL’A ke mamlook w Makhlook kisi tarha pujne ke qabil nahi, aur is per bhi agar tum maabood kehte ho ?
Yeh Boot kuch bhi nahi, toh phir apne se kam tar ko puj kar kiyo zalil hote ho.
Shan E Nazul :- SARKAR E AZAM ﷺ ne jab BOOT parasti ki muzammat ki aur BOOTO’N Ki Ajazi aur be akhtiyari ka bayan farmaya toh mushrikin ne dhamkaya aur kaha ki, BOOTO’N ko bura kehne wale tabaha ho jate hai, barbad ho jate hai, yeh BOOT unhe barbad kar dete hai. Is per yeh ayat nazil huwi ki, BOOTO’N main kuch kudrat samjhte ho toh pukaro aur meri nuqsan e rasayi main in se madad lo aur tum jo makar w fareb kar sakte ho woh mere muqabla main karo aur is main der na karo mujhe tumhare maabodo ki kuch bhi parwah nahi aur tum mera kuch bhi nahi bigadh sakte.
(Tafseer Khazain ul Irfan)
Tarjuma Al Quran:- Aur bohat bada Daw khele aur bole, hargiz na chodhna apne khudao ko aur hargiz na chodhna wadd aur Suwa aur yagoos aur ya’ooq aur Nasr ko.
(Sureh Nooh, Ayat no 23.)
Is Ayat Ki Tafseer main mufasarin farmate hai ki, yeh un BOOTO’N ke naam hai jinhe woh pujte they. BOOT toh unke bohat they magar yeh 5 unke nazdeeq badi Azmat wale they. Wudd toh mard ki surat per tha aur suwa aurat ki surat per aur yagoos shair ki shakal aur ya’ooq ghode ki nasr Kargis ki . Yeh BOOT qaum noh se muntaqil ho kar arab main pohanche aur mushrikin ke qabaiel se Ek EK ne Ek Ek ko apne liye khas karliya yeh BOOT bohat se logo ke liye Gumrahi ka sabab bane.
(TAFSEER E KHAZAIN UL IRFAN)
Woh Ayat jo BOOTO’N per nazil huwi hai, BAD AQEEDA MASLAK E AHLE SUNNAT WA JAMAT Per chispa karte hain.
Halanki hum Auliya ALLAH ki IBADAT Nahi karte hai ALLAH ka Mazhar jaan kar un se mohabbat w aqeedat rakh kar un se madad talab karte hai. Woh ALLAH TAAL’A ki Ataa se madad farmate hai.
Murda Andha Behra is Kism ke Alfaz ALLAH TAALA Quran e Majeed main apne Waliyo ke bare main nahi farma sakta kiyo ki, apne Dosto ke liye aise alfaz nahi kahe jate.
Yeh ALFAZ BOOTO’N hi ke liye hai woh pather hai Andhe Behre aur Murda Hain.