HAZRATE YUSUF ALEYHISSALAM….
☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Hazrat Ishaq عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite Aur Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام ke Poute hai..
(Mishkaat ul Masabeeh, Jild-2, Safa-417)
(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-166)
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Khwaab dekhna…
☢Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ka Khwaab Bayan karne se Mana karna..
↘Quraan Sareef me he ki
☪Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Bhaiyo ka Hasad
↘Quraan e Kareem me he ki…
☪Yakub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Mohabbat do Beito se Zyada kyu..?
☪Bhaiyo ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Raah se Hatane ki Thaan li….
↘Qur’an Shreef me he ki…
☪Bhaiyo ka Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Ijajat talab karna
↘Quraan Sareef me he ki…
Agar wo Sirf Lahu va La’ab ke liye Kheil ki Ijajat talab karte to Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام unhe Kabhi Ijajat na deite, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام chunki Chote the, is liye unhone kaha Ay Hamare Abbajaan Hamare Chote Bhai ko bhi Hamare Sath Jane ki Ijajat do, ye Hamari Jangi Tabeer deikh kar Khus hoga Aur Jangali Mewe, Fal, Ham use tod kar deinge, ye Khayega kyunki Ham Unto ko Chrane Aur unhe Chara khilane ka kaam bhi karenge unme Jangli Darkhto se Fal bhi Hasil karenge,
HUZOOR NABI E KAREEM صلى الله عليه وآله وسلم ne Farmaya ki kisi Shaksh ke Samne esa kalam na karo jisse ushe Jhut ki Rehnumai mile jeise Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beto ko Malum nahi tha ki Inshano ko Bhediya bhi kha jata he, jab unke Baap ne ye kaha to unhe bhi Jhut bolne ka Mouka mil gaya, Unhone kaha ki ye keishe ho sakta he ki Bhaiyo ki ek Jama’at.. wo Jo Bahot Takatwar ho.. ki Saamne ek Bhai ko Bhediya kha jaye, Agar esa ho jaye to ham kisi kaam ke nahi honge, Hamare hote hue Bhediye ki kya Majal he ki Hamare Bhai ko Kha jaaye..?
☪Bhaiyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Taiyyar karna :-
Kya tum Hamare Sath Bahar Jangal me chaloge..?
Unhone kaha ki tum Baap ko kaho, Aapne Sab Bhaiyo ko Saath liya Aur Baap ke Paas Aagaye, Bhaiyo ne unki Moujudgi me Apne Baap ki Khidmat me Arz ki Yusuf Hamare Sath jana Pasand karta he, Aap use Ijajat de, Aapne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Taraf Tawajjo karte hue Pucha, Tumhara kya Khyaal he…?
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام par Bhaiyo ka Zulm..
“Ay Mere Abbajaan Kaash Aap Yusuf ko deikhte ki Bhai us par kitna Zulm kar rahe he..?
To Aap kitne Ghumzada hote Aur Mere Bhaiyo ke Muj par Mazalim ko Agar Aap deikhte to Yakinan Rote, Ay Mere Abbajaan Ye Kitni Jaldi Aap ke Wade ko Bhul gaye, Kitni Jaldi Aap ki Nasihato ko Bhul gaye”
Aap ko ek Doul me Daal kar Kuwe me Latka diya gaya Jab Aadhe Fasla tak Doul Pahonchi to Upar se Choud diya gaya us khyaal se ki Zour se Girne par Mar jayega, Lekin Yusuf Alayhesalam Paani me Gire Aur ek Taraf Patther tha, uspar Beith gaye.
(Roohul Maani, Jild-7, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-171,172)
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Kuwe Ka Haal…
Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Pucha Bhaiyo ne Kyu dala..? Aapne kaha Mere Baap Mujse Mohabbat karte he, Unhone Muj par Hasad kiya,
Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام Ne kaha Kya Tum Yaha se Nikalna Chahte ho..?
☪Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite Route hue Wapis Loute….
↘Quraan Sareef me he ki
☣”Aur Raat hue Apne Baap ke Paas Rote hue aaye, Bole Ay Hamare Baap Ham Doud karte Nikal gaye Aur Yusuf (Alayhesalam)ko Apne Asbaab(Saamaan) ke Paas chhoda to use Bhediya kha gaya Aur Aap kisi tarah Hamara Yakin na karenge Agarche Ham Sacche ho, Aur uske(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke) Kurte (Kameez) par ek Zhuta khun laga laye, (Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne) kaha (ki nahi) Balqi Tumhare Dilo ne ek Baat Tumhare waste Banali he to Sabr Acha Aur ALLAH hi se Madad Chahta hu Un Bato par jo Tum Bata rahe ho”
📓(Surah Yusuf, Aayat – 16, 17, 18)
☢Unhone(Bhaiyo ne) ek Hiran ko Zabah kiya, uske Khun se Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Kameez ko Rang kar Baap ke Paas laaye Aur Zaahir ye kiya ki Bhediye ke Khane ki Wajah se ye Khun Aaludah ho gaya.
☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Kameez ko lekar Apne Chehra par Dala Aur Rone lage yaha tak ki Kameez ke Khun se Aapka Chehra Khun Aaludah ho gaya, Aap keh rahe the ki Mene Aaj tak Itna Hakeem Bhediya koi nahi dekha jisne Mere Beite ko kha liya ho lekin Kameez ko Na Fada ho,
☢Ye kehte kehte Aapne Fir Rouna Suru kar diya yaha tak ki Aap par Behosi Taari ho gayi, Aapke Beito ne Aap par Paani Chidka, Lekin Aap ko Hosh na aaya Aur Na hi Aap ke Jism me koi Harkat peida hui, wo Aapko Pukaar rahe the lekin Aap koi Jawab nahi de rahe the,
☣Yahuda ne Apna Hath Aapki Naak Aur Mooh par Rakha lekin use Shansh ka Chalna Mehsus nahi ho raha tha Aur Na hi Aap ki koi Nabz Chal rahi thi, Yahuda ne kaha Hame Qayamat ke Din Jaza dene wale MAALIKUL MULK se Azaab hi Hasil hoga, Hamne Apne Bhai ko bhi Zaya kar diya Aur Baap ko Bhi Qatl kar diya, wo Tamam Raat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Behoshi me Guzaar di, Shehri ke Wakt Hosh Aaya.
📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-201)
📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-174)
☪Husne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام
☪Bhaiyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko khote Sikko se Bechna….
☪Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Bhaiyo ko Alwidai-Salam….
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Walida ki Qabr par Rona
☪Gulam ke Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Thappad Maarne par Kehre Khudawandi…
☪Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Bazare Misr me Souda
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Ek Martaba phir Imtehaan me….
☪Hazrat Yusuf Alayhesalam Par Aurat ka Ilzaam….
☪Baadshah ko Khwaab Aana :-
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko dekh kar Aurato ne Apne Hath Kaat liye….
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Qeid-khane ki Dua karna Aur us Dua ka Qabool hona…
☪Qediyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Khwaab ki Ta’abir Puchna….
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Khwaab ki Ta’abir Bayan karna :-
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Baadshah ke Paas Zikr karne ke Muta’alaq kehna…
⬇Quraan Sareef ke he ki..
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Qeid-Khana se Nikal kar Wazeer e Khzaana Aur Wazeer e Aazam….
☢Baadshah ne Mo’azzin ki ek Jama’at Behtareen Sawariya Aur Sazo-Saamaan Aur Nafees Libaaz de kar Qeid-Khana Bheje Taaki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Nihayat Ta’azim va Taqrim ke Sath Iwaan Saahi(Baadshah ke Mahel) me laaye, Un logo ne Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Khidmat Me Hazir hokar Baadshah ka Peigaam Arz kiya Aapne Qabool Farmaya Aur Qeid-Khana se Nikalte waqt Qediyo ke liye Dua Farmayi, Jab Qeid-Khane se Baahar Tasreef laaye to Us ke Darwaze par likha..
Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Taaj-Poshi…
☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Hukumat ke Asraat….
☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Adal va Insaaf ki Buniyado par Apni Hukumat Ko Kayam kiya, Isi liye Aapki Hukumat Din-Ba-Din Mazboot Hoti chali gayi, Tamam Mardo Aur Aurato ke Dilo me Aap ki Mohabbat Peyda hui Aur Aap ne Qahat-Saal ke Aane wale dino ke liye Anaaz ke Zakhire(Bhandaar) Jama karne ki Ta’abir Farmayi Uske Liye Bahot Bade Aur Aalishan Anbaar Khane(Maal Jamaa karne ki Jagah) Ta’amir karaye Aur Bahot Kaseer(Zyada) Zakhaair Jama kiye…
☢Jab Acche Saal Guzar gaye Aur Qahat ka Zamana Aaya to Aapne Baadshah Aur uske Khuddam ke liye Rozana Sirf ek Waqt ka Khana Mukararr Farmaya, Ek Roz Dopher ke Waqt Baadshah ne Hazrat se Bhuk ki Sikaayat ki, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ye Qahat Saali(Qahat ke Saal) ki Ibteda(Suruaat) ka Waqt he, Kyunki Pehle Saal me Logo ke Paas Zakhire (Bhandaar) the, Sab Khatm ho gaye, Baazaar Khali ho gaye, Chunki Qahat ke Saare Zamana me Aapne Khud bhi Kabhi Mutmaeen ho kar Khana Nahi khaya tha, Waqeif haal logo ne Aap ki Khidmat me Arz kiya ki Itne Kaseer Khazaano ke Malik ho kar bhi Aap Bhuke Rehte he…?
☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Is Andesha se ki Mutmaeen ho jaau to Kahi Bhukh ko Na Bhul Jaau….
📳Subhan AL’LAAH , Kya Paakiza Akhlaq he, In Pakiza Akhlaq ki wajah se hee Baadshah bhi ek Waqt ke khane par Bachat kar raha tha, Usne Bhi Aapke Jawab par koi Mazahmmat nahi ki…