Ilm E Gaib RASOOL ﷺ Ka Quran E Majeed Se Saboot
القرآن :- وَمَا هُوَ عَلَى ٱلْغَيْبِ بِضَنِينٍ
اور یہ نبی غیب بتانے میں بخیل نہیں،
Aur Yeh NABI (ﷺ) Gaib ki khabre batane main bakhil nahi.
And he is not niggardly as to the disclosing of unseen.
81-At-Takwir : 24
القرآن:- عَٰلِمُ ٱلْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِۦٓ أَحَدًا * إِلَّا مَنِ ٱرْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ فَإِنَّهُۥ يَسْلُكُ مِنۢ بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِۦ رَصَدًا
غیب کا جاننے والا تو اپنے غیب پر کسی کو مسلط نہیں کرتاسوائے اپنے پسندیدہ رسولوں کے کہ ان کے آگے پیچھے پہرا مقرر کر دیتا ہے
Gaib ka janne wala tu apne Gaib per kisi ko Musalat nahi karta siwaye apne pasandeda RASOOLO ke ki un ke Aage piche pehra Muqarar kar deta hai.
The Knower of Unseen reveals not His secret to anyone.Except to His chosen Messengers, and appoints guard before them and behind them.
72-Al-Jinn : 26/27.
In Dono Ayate Kareema se yeh ekdum clear aur wazeh maalom huwa ki HUZUR ﷺ Ko ALLAH ki Ataa se Ilm E Gaib Per Aagahi hasil hai.
Bad Aqeedo ki dalil ka jawab
Baaz log kehte hai ki HUZUR ﷺ ilm E Gaib per aagahi hai tu phir safar main HADRAT AAYESHA RADI ALLAH ANHA ka jab Har Ont ( Camal ) ke paw ke niche thaa kisi ko maloom na tha ? Yahoodi Aurat ka HUZUR ﷺ Ko ghost main zeher ( Poison ) main zeher dalna yeh sab HUZUR ﷺ ko Maalom kiyo na tha ?
HUZUR ﷺ ke ilm main sab tha magar is taraf tawajha na thi aur is se fayda hasil huwa.
Dusri baat yahoodi Aurat ke Ghost main zeher dalne se HUZUR ﷺ Ke zinda rehne ki hikmat se kayi yahoodi musalman hogaye.
Ab Maalom huwa ki HUZUR ﷺ ka tawajju na hona bhi Musalmano keliye Fayda hai.