KUNDE KI NIYAZ KI HAQEEQAT

KUNDE KI NIYAZ KI HAQEEQAT

 

KUNDE KI NIYA KO SMAAJ NE LIYE ISAAL E SAWAAB, FATIHA, NIYAAZ, AUR KUNDE KI NIYAZ KO DETAIL ME SAMAJTE HAI

 

🎴 JAISA KE AAP SABHI JAANTE HAI MAAHE RAJAB KI 22 KO AHLE AQIDATH HAZRAATH KUNDEY KI NIYAAZ KARTE HAI,

AUR BOHAT SAARE AITRAZAT KARNE WALE AITRAAZ BHI KARTE HAI,

 

πŸ“› IS POST KO DHYAAN SE PADHIYE AAP KE AITRAZAT KE JAWAABAT MILEGE,

IN SHAA ALLAH

 

πŸ“› HAR AHL E AQIDAT MAAH E RAJAB ME MATTI KE BARTAN ME KHEER PURI YA HALWA WAGAIRA PAKAATE HAI AUR USEY IMAM JAFFER RADIALLAHU ANHU KI NIYAZ KA NAAM DETE HAI

JO ESAAL E SAWAB K LIYE HOTA HAI AUR YE QURAAN O HADEES KI ROSHNI ME JAAIZ HAI

 

🎴 YE ESAAL E SAWAB KI EK SHAAKH HAI JO KE JAAIZ AUR MUBAAH HI NAHI BALKE MUSTAHAB AMAL HAI JIS KA INKAAR MAHAZ JIHAALAT HAI KYU KE ESAAL E SAWAB QURAN O SUNNAT AUR AEMMA E KIRAAM KE AQWAL SE HI SAABIT HAI AUR MASHAIK E KARAAM KA IS PAR AMAL BHI RAHA HAI

 

πŸ“›QUESTION :- KYA ESAALE SAWAB JAAIZ HAI ?

🎴ANSWER :- SAHABI E RASOOL HAZRAT SAAD RADIYALLAHU ANHU NE ARZ KI SARKAR MERI MAA KA INTEQAL HO GAYA TO KAUN SA SADQA AFZAL HAI?

 

🌹AAQA NE FARMAYA PAANI KA! UNHO NE KUNWA [WELL] KHUDWAYA AUR KAHA YE SAAD KI MAA KA HAI

πŸ“š (ABU DAWOOD SHAREEF)

πŸ“š (MUSNAD E AHMED)

πŸ“š (BEHIQEE SNAN KUBRA J4 P#185)

 

πŸ“› QUESTION:- KYA HAMARA ESAAL E SAWAB PUHANCHTA HAI?

🎴 ANSWER :- ALLAH JANNAT ME KISI BANDE KE DARJAAT BULAND KAREGA TO WO ARZ KAREGA,

AYE ALLAH YE DARJA KAISE BULAND HUA?

ALLAH FARMAYEGA KE TERE BETE NE TERE LIYE ISTIGFAAR KIYA

πŸ“š (ADAB UL MUFRID P#30)

πŸ“š (IBN E MAJA 268)

πŸ“š (TIBRANI OSAT J5 P#349)

 

πŸ“› QUESTION :- KIN KIN ULAMA E ALHE SUNNAT NE KUNDEY KI NIYAZ KO JAAIZ LIKHA?

🎴 ANSWER :-

  1. SADRU SHARIA MOULANA AMJAD ALI
  2. MUHADDIS E AZAM PAKISTAN MOULANA SARDAR AHMED
  3. HAKEEM UL UMMAT MUFTI AHMED YAAR KHAN NAEEMI (KUNDEY KI FAZEELAT)
  4. MOULANA ABDUL MUSTAFA AAZMI (JANNATI ZEWAR P#389)
  5. MUFTI KHALIL KHAN QADRI

 

πŸ“› QUESTION :- KYA KUNDEY KI NIYAZ FARZ HAI?

🎴 ANSWER :- KUNDEY KARNA FARZ YA WAJIB TO NAHI HAI LEKIN MUSTAHAB AMAL ZARUR HAI KARNE WALA SAWAAB PAAYEGA LEKIN NA KARNE PAR GUNAAH NAHI HOGA

 

πŸ“Œ MAGAR JO ISEY HARAAM, SHIRK YA BIDDAT KEHTE HAI WO EK NEK AMAL SE ROKTE HAI AUR HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR AS’HAAB AUR TAMAM NEK BANDO K KHILAAF BAAT KARTE HAI

 

πŸ“Œ UNHE CHAHYE KE WO TAUBA KARE AUR ALLAH HIDAYAT DE AESE LOGO KO.!

 

πŸ“› QUESTION :- IMAM JAFFER KA WISAL 15 RAJAB KO HUA TO PHIR 22 RAJAB KO KUNDEY KYU..?

🎴 ANSWER :- ESAAL E SAWAB KE LIYE USI DIN HONA YE SHART NAHI HAI BALKE MAHINE, SAAL YA ZINDAGI ME JAB CHAHE KAR SAKTE HAI, AUR AAM MUSHAHIDA HAI K AHLESUNNAT 22 RAJAB KO HI NAHI BALKE POORE SAAL EHTMAAM KARTE HAI

 

πŸ“› QUESTION :- RAJAB KI 22 KO AMEER MUAWYA RADIYALLAHU ANHU KA WISAL HUA, IS LIYE RAAFZI (SHIA) KHUSHI ME SHEERNI PAKATE HAI, TO IS SURAT ME 22 RAJAB KO NIYAZ TAQSEEM KARNA KAISA..?

🎴 ANSWER :- SHARI’AT KA USOOL HAI KE K KISI ACHEY AMAL KO BAD MAZHAB APNA LE TO IS WAJA SE USEY TARK NAHI KIYA JAAYEGA BALKE KOI AISA IMTIYAZ KARNA HOGA JIS SE FARAQ ZAAHIR HO AUR HAME AUR BADE PAIMAANE PE KARNA HOGA.

 

πŸ“Œ JAISE 10 MUHARRAM KA ROZA YAHUDI RAKHTE TO SARKAR NE 9 YA 11 KE ROZE KI TALQIN BI FARMAI

 

πŸ“› QUESTION :- SUNNI AUR SHIA KE KUNDO ME FARQ KYA HAI?

🎴 ANSWER :- DARASAL SHIA KHAAS 22 RAJAB HI KO KUNDEY BANAATE HAI AUR SUNNI TO SAARA MAHINA HI BANAATE HAI AUR SAB SE BADA FARQ NIYAT HAI K SUNNI IMAM JAFFER KO ESAAL E SAWAB KARTE HAI.

 

πŸ“Œ JAB KE SHIA HAZRAT MUAWYA K BUGZ ME AISA KARTE HAI MAAZALLAH

 

πŸ“› AAMAAL KA DAAR O MADAAR NIYYATO PAR HAI

πŸ“š (BUKHARI SHARIF)

 

🎴 JO KUNDEY ESAAL E SAWAB K LIYE KARE US K LIYE JAZAA AUR JO BUGZ ME KARE USEY SAZAA HAI

AGAR KOI SHETANI WASAWIS KA SHIKAAR HOKAR 22 KE KUNDON KO RAFZIYO SE MUSHAABIHAT KAHE AUR USEY NAJAAIZ SAMJHE TO WO KISI AUR DIN HI KARLE

 

πŸ“› QUESTION :- KYA NIYAZ JAAIZ HAI?

🎴 ANSWER :- QURAAN O HADEES ME KAHI NIYAZ KI MUMAANIAT NAHI HAI BALKE QUR’AN KA KHULASA HE:

 

πŸ“› “TO KHAO US ME SE JIS PER ALLAH KA NAAM LIYA GAYA, AGAR TUM USKI AAYATE MANTE HO”

 

🎴 YAANI JIS PER ALLAH KA NAAM ZIKR KIYA GAYA

JAISE NIYAZ PER FATIHA K WAQT QURAAN PADHA

 

πŸ“› QUR’AN KA KHULASA HE: HALAAL CHEEZE NA KHANE WALO KO TAMBEEH!! ‘AUR TUMHE KYA HUA HAI K IS ME SE NA KHAO JIS PAR ALLAH KA NAAM LIYA GAYA HO HALAAN KE WO TUM PAR TAFSEEL SE BAYAN KAR CHUKA HAI JO IS NE TUM PAR HARAAM FARMAYA’

 

🎴 AUR NIYAZ PAR JO FATIHA DETE HAI WO QUR’AAN SE HI HAI

 

πŸ“› QUESTION :- HALAAL KHANE KO HARAM KAHNA KAISA?

 

🎴 QUR’AN E MAJEED KA KHULASA HE

 

πŸ“› AUR ALLAH NE UNHE JO ROZI DI, WO USEY HARAAM THEHRATE HAI ALLAH PAR JHOOT BANDHTE HUE, BESHAK WO GUMRAH HUE

 

🎴 AGAR FATIHA DI AUR KHANA HARAAM HUA TO PHIR TO HAR KHAANA HARAAM HUA KYU KE HAR KHAANA KHAANE SE PEHLE BISMILLAH TO PADHI HI JAATI HAI.

 

πŸ“› QUESTION :- HUM KUNDEY (KHEER POORI) KI NIYAZ KYU KARTE HAI?

 

🎴 HALWA KHANA PYARE AAQA ALAHISSALATUWASSALAM KI SUNNAT PAR AMAL HAI

πŸ“š (BUKHARI SHARIF)

 

πŸ“› “NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM HALWE AUR SHEHAD KO MEHBOOB RAKHTE HAI”

 

🎴 “GHEE KA GUNDHA HUA

PARATHA (PURI) SARKAR KO PASAND HAI…”

πŸ“š (IBNE MAAJA SHARIF)

 

πŸ“› “AAQA NE FARMAYA K MUSALMAN KO MEETHA LUQMA KHILAANE PAR HASHR KI TAKLEEF SE MEHFOOZ RAHOGE…”

πŸ“š (SHARAHUS SUDOOR)

 

🎴MALUM HUA KE MEETHA LUQMA SARKAR KO PASAND HAI TO UMMATI HONE KE NAATE HAME BI PASAND HONA CHAHIYE

 

πŸ“› PAHLE KI JAANE WALI BAATO SE MALUM HUA K KUNDEY JAAIZ HAI BALKE

KAAR E SAWAB AUR KAAR E KHAIR HAI

 

🎴 LEKIN JO IS DIN AMEER MUAWIYA (RADIYALLAHU ANHU) SE DUSHMANI KI WAJAH SE KUNDEY KARE TO WO SUN LE,

 

πŸ“› “JIS NE AMBIYA KO SOOB (GAALI ) BAKA, WO QATAL KIYA JAYEGA AUR JIS NE MERE SAHABA KO SOOB (GAALI ) BAKA USEY KODEY LAGAEN JAYEN”

πŸ“š (JAMIUL SAGHEER J2 P173)

πŸ“š (FATAHUL KABEER J3 P196)

 

🎯 ISI LIYE GUSTAKHE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM O SAHABA SAB WAJIBUL QATAL HAI AUR KODEY K HAQDAAR HAI AUR HAAN JO BUGZ RAKHE WO APNE ANJAAM KA INTEZAR KARE!

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy