MAZARAAT PAR HAAZRI AUR USKI BARKATEIN— AAO QURAAN E PAAK SAMJHE

MAZARAAT PAR HAAZRI AUR USKI BARKATEIN QURAAN E MAJEED SE SAABIT HAI

القران: – بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ سُبْحَٰنَ ٱلَّذِىٓ أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِۦ لَيْلًا مِّنَ ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ إِلَى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ ۚ إِنَّهُۥ

پاکی ہے اسے جو اپنے بندے کو، راتوں رات لے گیا مسجد حرام سے مسجد اقصیٰ تک جس کے گرداگرد ہم نے برکت رکھی کہ ہم اسے اپنی عظیم نشانیاں دکھائیں،

 

Paaki hai usey jo apne bande ko, Raato raat le gaya MASJID E HARAM se MASJID E AQSAA tak. Jis ke ird-gird hum ne barkat rakhi, ke hum us se apni azeem Nishaniya dikhayen.

 

Holy is He Who carried His bondman by night from the sacred Mosque to the Aqsa Mosque (Aqsa) around which We have put blessings that We might show him Our grand signs.

 

[Surah Al-Isra, Ayat No:1]

Mufassireen ne ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَه ki tafseer main likha hai ki, MASJID AL AQSA ke ird-gird barkato’n se MURAD MAZARAT E AMBIYA عليه السلام hain.

 

DEVBANDI MOLVI ASHRAF ALI THANVI ne Apni Tafseer main ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَه ke tehet Masjid E Aqsaa ke ird-gird barkato’n se muraad AMBIYA عليه السلام ke Mazarat bataya hai. Yani un ke mazarat ka ba barkat hona Quran se Sabit hai.

 

HUZUR ﷺ un ke mazarat per bhi gaye, yani ALLAH TA’ALA ﷻ unhe le gaya is se maalum huwa mazarat per jana aur unka ba barkat hona Qur’an se Saabit hai. Uske alawa HADRAT IBN ABI SHEEBA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه waali riwayat jis se muqadma SHAMI JILD 1 main bayan kiya gaya hai. Jis mein ki HUZUR ﷺ SHOHADA ke Mazarat per jaya karte they, usi muqadame SHAMI mein yeh baat bhi maujood hai ki, Hadrat IMAM SHA’FAI ALEHE REHMA ko koi Masla dar pesh hota toh woh hadrat IMAM E AZAM IMAM ABU HANIFA ALEHE REHMA ke Mazaar per hazir hokar ALLAH TA’ALA se du’a farmate they.

 

MAALUM HUWA KI MAZARAT PER HAZRI DENA AUR USKE BARKAT QUR’AN W SUNNAT SE SAABIT HAI.

 

BAD MAZHABO’N KE DALAYEL KE JAWAB 

 

#Aetraaz No 1 :-

Aur un se badh kar gumrah kaun hai jo ALLAH ke siwa Aiso ko puje jo Qayamat tak us ki na sune aur unhe un ki puja ki khabar tak nahi aur jab logo ka Hashar hoga woh unke dushman honge aur un se munkar ho jayenge.

 

(Surah Ahqaf, Ayat No: 5,6)

 

Bad Aqeeda is ayat ko AHL E ALLAH ke chahne walo per chispa karte hain aur kehte hain ke, yeh Aulia ALLAH Qayamat ke din Dushman ban jayenge.

 

Halaanki is ayat main BOOT parsto’n ka zikr hai. Mufassireen farmate hain ki, yeh booto’n ko kaha gaya hai; kiyo ki woh jamad aur be jaan hai. Qayamat ke din boot apne pujariyo se kahenge ki jo inki ibadat karte hain boot qayamat ke din kahenge hum ne inko ibaadat ki dawat nahi di, dar haqeeqat yeh apni khwahish ke pursitar they.

 

( Tafseer Khazain ul Irfaan )

 

#Aetraaz No 2 :- 

Ha Khalis ALLAH hi ki bandagi hai aur woh jinho ne us ke siwa aur wali bana liye kehte hai hum toh unhe sirf itni baat ke liye pujte hain ki yeh hume ALLAH ke Nazdeeq kar de ALLAH un per faisla kardega.

 

(Surah Az-Zumar, Ayat no 3 ka kuch hissa)

 

Is ayat ke mutaliq mufassireen farmate hain ki, ALLAH TA’AlA ﷻ Ke siwa koi Ibaadat ke laayak nahi. MABOOD aur WALI se muraad boot parast hain.

 

ALHAMDULILLAH hum Ahle Sunnat w jam’at ALLAH ﷻ ke waliyo’n ko ALLAH TA’ALA ke nek bande jaan kar sirf aur sirf un se faiz hasil karne ke liye un ki mohabbat main unke mazarat per hazri dete hain. Un ke darbaar main hazir ho kar un ke pooja nahi karte balki unko ALLAH TA’ALA ka nek banda jaan kar jate hain. Yeh kehna ki hum KHUDA jaan kar unke pass jate hain yeh Saraasar ilzam hain aur musalmano ke is AMAL ko boot parsto se milana jahilo ka tareeqa hai.

Do Follow Us On Instagram For More Islamic Posts

https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDc4ODBmNjlmNQ==

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy