Muharram Ka Mahina

MUHARRAM KA MAHINA…

🎴Ameer’ul’Momineen Saiyedna Usman Ghani رضی الله عنہ Farmate hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya…

🀄Muharram Ke Mahine ki Izzat-Wa-Takrim Karo, Ye Allah Taa’la ka Mahina hai, Jisse Muharram Ke Mahine ki Taa’zim O Toukir ki Allah Taa’la Use Jannat Me Izzat Wa Takrim Se Nawazega…

🎴Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya “Jisne Zull’Hijjah Je Mahine ke Bad Aakhri Din Aur Muharram Sharif ke Pehle Din Roze Rakhhe, Goya Usne Saal Bhar Roze Rakhe Aur Uske 60 Saal ke Gunaah Baksh Diye Jaenge…

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya “Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ki Pehli, 10vi aur Aakhri Tarikh Ke Roze Rakhe Allah Taa’la Use Jannat Me Ese 30 Sehar Ata Farmayega ke Jiske Har Mehal me 30-30 Kamre Honge Aur Har Mehal Me Mukhtalif Darje Honge, Jinme Ese Baagat Honge Jisme Behre Jari Rahegi Aur Hoor-O-Gilma Khidmat ke Liye Hazir Rahenge…

🎴Aage Irshad Farmaya “Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ke Pehle 10 Din Roze Rakhhe Goya Usne 10,000 Saal Esi Nafil Ibadat Ki Ke Raate Qayam Me Aur Din Roze me Guzara…

🀄Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke “Jo Saksh Apne Wajood Par Dozakh Ki Aag Haram Karna Chahta hai Usko Chahiye Ke Muharram Sharif Ke Roze Rakhhe…

🎴Aage Irshad Farmaya “Muharram ke Mahine Ke Jumma ki Raat me Ibadat Karne Wala Esa hai Jese Use Shabe Bar’at Naseeb Huyi….

 

Do Follow Our Page On Instagram For More Islamic Posts:

https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDc4ODBmNjlmNQ==

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy