Qurbani Ka Bayan (Part 1)

🌹بسم الله الرحمن الرحيم🌹

الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله

QURBAANI KA BAYAAN

Qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya

ّفَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَر‌ْ

Tum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbaani karo

📖(surah e kausar aayat no.2)

 

 

AHAADEES E KAREEMA

(1) ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin aur oh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zmeen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo

📒(Abu daaud / tirmizi / ibn e maajah)

 

(2) hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi

📒(tibraani)

 

(3) hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara nahin

📒(tibraani)

 

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

✳Hazrat e Abu Hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzur e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis men us’at ho aur qurbani na kare woh hamari eid gaah ke qareeb na aaye
📒(Ibn e Maajah)

✳Hazrat e Zaid Bin Arqam رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ki Sahaba kiram ne arz ki   Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye qurbaaniya kiya hai farmaya ke tumhare baap Ibraahim عليه السلام ki sunnat hai logo ne arz ki Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم hamare liye is men kiya sawab hai , farmaya har baal ke muqabil neki hai , arz ki aur uoon ka kiya hukm hai , farmaya keh uoon ke har baal ke badle men neki hai
📒(Ibn e Maajah)

✳Hazrat Barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ki Nabi e kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai keh namaz padhenge aur phir qurbaani karenge
📒(Bukhari)

✳Hazrat e Barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzur e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ke aaj ke din jo kaam hum ko pahle karna hai woh namaz hai aur is ke ba’d qurbaani karna hai jis ne aisa kiya oh hamari sunnat ko pahuncha.
📒(Imam Ahmad)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

  • MASAAIL E FIQHIYYAH

🍁QURBAANI KI TA’REEF🍁

✳Makhsoos Janwar Ko Makhsoos Din Mein Baniyyat E Taqarrub Zabah Karna Qurbani Hai..
📒(Bahar E Shari’at)

🍁QURBAANI KI QISMEN🍁

Qurbaani Ki Kayi Qismen Hain

♻ Gani Aur Faqeer Dono Par Wajib Hai  Is Ki Soorat Ye Hai Keh Qurbani Ki Mannat Maani Ye Kaha Keh Allah Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Gaaye Ki Qurbaani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Gaaye Ki Qurbani Karna Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

♻ Faqeer Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Faqeer Ne Qurbaani Ke Liye Janwar Khareeda Us Par Us Jaanwar Ki Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Gani Khareedta To Is Khareedne Se Qurbaani Us Par Wajib Na Hoti.
📒(Bahar E Shari’at)

♻ Gani Par Wajib Ho Faqeer Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Qurbaani Ka Wujoob Na Khareedne Se Ho Na Mannat Maanne Se Balkeh Khuda Ne Jo Use Zindah Rakha Hai Us Ke Shukriya Mein Aur Hazrat Ibraahim عليه السلام Ki Sunnat Ki Ihya Mein Jo Qurbaani Wajib Hai Woh Sirf Gani Par Hai..
(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:-  Musafir Pe Qurbaani Wajib Nahin Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Tataww’u (Nafl) Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH :- Aqeer Ne Agar Na Mannat Maani Ho Na Qurbaani Ki Niyyat Se Jaanwar Khareeda Ho To Uska Qurbaani Karna Bhi Tataww’u (nafl) Hai..
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Bakri Ka Maalik Tha Aur Uski Qurbaani Ki Niyyat Kar Li Ya Khareedne Ke Waqt Qurbaani Ki Niyyat Na Thi baa’d mein Niyyat Kar Li To Is Niyyat Se Qurbaani Wajib Nahin Hogi.
📒(Bahar E Shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT🍁

♻ ISLAM Yani Gair Muslim Pe Qurbaani Wajib Nahi.

♻ IQAAMAT Yani Muqeem Hona Musaafir Par Wajib Nahi.

♻ TAWANGARI  Yani Maalik Nisaab Hona Yahan Maaldaari Se Murad Wahi Hai Jis Se Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai Woh Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib  Hoti Hai.

(Nisab Ki Tafseel Nisab Ke Bayan Mein Mulahaza Farmayen)

♻ HURRIYYAT Yani Aazad Hona Jo Aazad Na Ho Us Pe Qurbaani Wajib Nahin Ke Ghulam Ke Paas  Maal Hi Nahi Lihaza Ibadat E Maaliya Us Pe Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari’at)

♻FAAIDAH
Mard Hona Is Ke Liye Shart Nahi Auraton Par Wajib Hoti Hai Jis Tarah Mardon Par Wajib Hoti Hai Is Ke Liye Buloog Shart Hai Ya Nahi Is Mein Ikhtelaf Hai Aur Naabalig par wajib hai to Aaya Khud Uske Maal Se Qurbaani Ki Jaayegi Ya Uska Baap Apne Maal Se Qurbaani Karega.
Zaahirurriwayah Ye Hai Ke Na Khud Naabalig Par Wajib Hai Na Uski Taraf Se Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Musafir Par Agarcheh Wajib Nahi Magar Nafl Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai Sawab Paayega
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbaani Wajib Nahi Aur Muqeem Ho To Wajib Hai Jaise Makkah Ke Rahne Wale Hajj Karen To Chunke Ye Musafir Nahi Ya Jo Log Makkah Mu’azzamah Itne Din Pehle Pahunche Ke Mina Rawana Hone Mein 15 Ya Is Se Ziyadah Din Baaqi Hon Yeh Log Muqeem Hain Un Par Wajib Hogi.

🔹MASLAH:- Sharaait Ka Poore Waqt Mein Paaya Jaana Zaroori Nahi Balke Qurbaani Ke Liye Jo Waqt Muqarrar Hai Uske Kisi Hissa Mein Sharaait Ka Paaya Jaana Wujoob Ke Liye Kaafi Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Ek Shakhs Ibteda E Waqt e Qurbaani Mein Kafir Tha Phir Musalman Ho Gaya Aur Abhi Qurbaani Ka Waqt Baaqi Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai Jab Ke Dosre Sharaait Bhi Paaye Jaayen.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Awwal Waqt Mein Musafir Tha Aur Asna E Waqt Mein Muqeem Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hogi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Faqeer Tha Aur Waqt ke Andar Maaldaar Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

 

🍁NISAAB KA BAYAAN🍁

🔹MASLAH:- Jo Shakhs 200 dirham (Saadhe 52 Taula Yani (612)  Gram Chaandi ) Ya 20 Deenaar (Saadhe 7 Taulah Yani Saadhe 87 Gram Sona)  Ka Maalik Ho Ya Haajat Ke Siwa Kisi Aisi Chiz Ka Maalik Ho Jis Ki Qeemat 200 Dirham (Saadhe 52 taula Chaandi)  Ho Woh Gani Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Haajat E Asliyyah Se Muraad Rehne Ka Makan Aur Khana Daari Ke Saman Jinki Haajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Khadim Aur Pahanne Ke Kapde In Ke Siwa Jo Chiz Ho Woh Haajat Se Zaaid Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Us Shakhs Pe Dain (Qarz Wagairah) Hai Aur Uske Amwal Se Dain Ki Miqdaar Mujra Ki Jaaye To Nisaab Nahi Baaqi Rahti Us Par Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Maal Yahan Maujood Nahi Aur Ayyam E Qurbaani Guzarne Ke baa’d Woh Maal Use Mausool Hoga To Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Maalik E Nisaab Ne Qurbaani Ke Liye Bakri Khareedi Thi Woh Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisaab Se Kam Ho Gaya Ab Qurbaani Ka Din Aaya To Us Par Ya Zaroori Nahi Keh Dusra Jaanwar Khareed Kar Qurbaani Kare Aur Agar Woh Bakri Qurbaani Hi Ke Din Mil Gayi Aur Wo Shakhs Ab Bhi Maalik E Nisaab Nahi Hai To Us Par Us Bakri Ki Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Ek Makan Jaade Ke Liye Aur Ek Garmi Ke Liye Ye Haajat Mein Daakhil Hai In Ke Ilawah Us Ke Paas Teesra Makan Ho Jo Haajat Se Zaaid Hai Agar Ye 200 dirham (Saadhe 52 Taula Chaandi)  Ka Hai To Qurbaani Wajib Hai..

🔹MASLAH:- Haajat Se Zaaid Makan Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Ko Pahunchti Ho To Qurbaani Wajib Hai Agarcheh Woh Makan Kiraya Par Chalata Ho Ya Khali Pada Ho…
📒(Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 389)

🔹MASLAH:- Makan E Sukunat Itna Bada Hai Ke Uska Ek Hissa Us Ke Jaade Garmi Ki Sukunat Ke Liye Kaafi Ho Aur Dusra Hissa Haajat Se Zaaid Ho Aur Uski Qeemat Tanha Ya Usi Qism Ke Maal Me Milkar Nisaab Tak Pahunche Jab Bhi Qurbaani Wajib hai..
📒(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 389)

🔹MASLAH:- Garmi Jaade Ke Bichhone Haajat Me Daakhil  Hain Aur Teesra Bichhona Jo Haajat Se Zaaid Hai uska ietebaar hoga.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Kisi Ke Paas 2 Car Hai Agar Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai Aur Dusri Zaaid Hai To Agar Dusri Ki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye Qurbaani Wajib Hai.

🔹MASLAH:- 2 Motor Cycle Hai Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai To Dusri Wali Motor Cycle Haajat Se Zaaid Hai Aur Dusri Motor Cycle ki Qeemat Nisaab Ko Pahuch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.

🔹MASLAH:-  Bartan Kuch Istemaal Ho Rahe Hain Aur Kuch Rakhe Huye Hai To Rakhe Huye  Bartan Zaaid Hai Uska Bhi Ietebaar Hoga.

🔹MASLAH:- T.V.,   Video Camera Wagairah Haajat E Asliyyah Se Nahin Lihaza Agar Unki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai…

🔹MASLAH:- Fridge , Washing Machine,  Mixer Machine Wagairah Haajat E Asliyyah Me Hai.

🔹MASLAH:- Ghar Me Pahanne Ke Kapde Aur Kaam Kaaj Ke Waqt Pahanne Ke Kapde Aur Juma O Eidain Aur Dusre Mauqo Par Pahen Kar Jaane Ke Kapde Ye Sab Haajat me Daakhil Hai Aur In 3 Ke Siwa Chautha Joda Agar 200 Dirham Ka Hai To Qurbani Wajib Hai..
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Kisi Ke Paas Kuch Zaaid Bartan Hai Magar Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Kapde Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Gaadi Wagairah Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchti Magar Ye Sab Zawaaid Mil Kar Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.

🔹MASLAH:- Kisi Ke Paas Khet Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Tak Pahunchti Ho To Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.
📒(Maakhuz Az Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 393/ Ahkam Shari’at )

🔹MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Mein Iska Ahal Na Tha Wujoob Ke Sharaait Nahi Paaye Jaate The Aur Aakhir Waqt Me Ahal Ho Gaya Yani Wujoob Ke Sharaait Paaye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayi
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharaait Jaate Rahe To Wajib Na Rahi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Ek Shakhs Faqeer Tha Magar Usne Qurbaani Kar Daali Uske Baa’d Abhi Waqt Qurbaani Ka Baaqi Tha Ke Gani (Maalik E Nisaab) Ho Gaya To

Usko Phir Qurbaani Karni Chaahiye Keh Pahle Jo Ki Thi Woh Wajib Na Thi Aur Ab Wajib hai.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Agar Baawajood Maalik Nisaab Hone Ke Usne Qurbaani Na Ki Aur Waqt Khatm Hone Ke Baa’d Faqeer Ho Gaya To Us Par Bakri Ki Qeemat Ka Sadqa Karna Wajib Hai Yani Waqt Guzarne Ke Baa’d Saaqit Nahi Hogi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:- Ek Ghar Me Kayi Afraad Maalik E Nisaab Hai To Jitne Log Maalik E Nisaab Hai Sab Par Qurbaani Wajib Hai Ghar Ke Kisi Ek Fard Ki Qurbaani Hone Se Dusre Ka Wujoob Ada Na Hoga.

🔹MASLAH:- Kayi Afraad Me Maal Mushrtarak Hai To Agar Maal Shuraka Me Taqseem Karne Ke Baa’d Har Fard Ke Hissa Me Itna Maal Aata Ho Ke Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Sab Par Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Har Ek Ka Hissa Nisaab Se Kam Ho To Kisi Par Wajib Nahi.

🔹MASLAH:- Agar Maalik E Nisaab Bagair Qurbaani Kiye Huye Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbaani Saaqit Ho Gayi.
📒(Bahar E Shari’at)

🔹MASLAH:-  Qurbaani Ke Waqt Me Qurbaani Karna Hi Laazim  Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaaim Maqam Nahi Ho Sakti Maslan Bajaaye Qurbaani Usne Bakri Ya Uski Qeemat Sadqa Kar Di Ye Nakaafi Hai.
📒(Bahar E Shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁JO SAAHIB E ISTETA’AT NA HO USKI QURBAANI🍁

HADEES
Hazrat E Abdullah Bin Umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya mujhe yaum e azha ka hukm diya gaya us din ko khuda ne is ummat ke liye eid banaya ek shakhs ne arz ki ya RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ye bataaiyen agar mere paas meenha ke siwa koi Jaanwar na ho to kiya uski Qurbaani kar dun ( menha us janwar ko kahte hain jo dosre ne use is liye diya hai keh kuchh dino uske doodh wagairah se faaidah uthaye aur phir maalik ko wapas kar de ) huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya nahi.

♻Haan tum apne baal aur naakhun tarashwaao aur moye zer e naaf mundo is me tumhari Qurbaani khuda ke nazdeek poori ho jaayegi yani jisko Qurbaani ki taufeeq na ho to use in chizo ke karne se Qurbaani ka sawab haasil ho jaayega.
📒(Abu Daaud, Nasai)

 

🍁BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM🍁

♻HADEES
Ummul Momineen Umm E Salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye.
📒(Muslim / Tirmizi / Nasai)

🔹MASLAH:- Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai ke zilhijjah ka chaand dekhne ke baa’d naakhun baal wagairah na kaate.

🔹MASLAH:- Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab,  khwah bila uzr naakhun na tarashe hon,  khat banwaya na ho ke chaand zilhijjah ho gaya to agarcheh Qurbaani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta ke ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai
Fe’l e mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta
📒(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 358)

🔹MASLAH:- Jise dusre ya teesre din Qurbaani karni hai us ke liye behtar hai keh woh dusre ya teesre din Qurbaani ke baa’d naakhun o baal wagairah kaate.

🔹MASLAH:- Eid ki namaz ke ba’d aur Qurbaani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is men bhi harj nahin

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁QURBAANI KA HUKM🍁

🔹MASLAH:- Qurbaani ka hukm ye hai keh us ke zimmah jo Qurbaani wajib hai kar lene se bariuzzimmah ho gaya
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- achhi niyyat se ki hai riya (dikhawa) wagairah ki mudakhalat nahin to allah ke fazl se ummeed hai keh aakhirat men uska sawab mile

🔹MASLAH:- ek se ziyadah  Qurbaani ki sab Qurbaaniyaan jaayez hain ek wajib baaqi nafl
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- agar ek poori gaaye Qurbaani ki to poori se wajib hi ada hoga ye nahin keh saatwa hissa hi wajib ho baaqi nafl
📒(Bahar e shari’at)

🍁QURBAANI KI MANNAT KA BAYAN🍁

🔹MASLAH:- Qurbaani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbaani karna wajib hai maslan kisi ne kaha mera fulaan kaam ho jaaye to main Qurbaani karunga aur oh kaam ho gaya to Qurbaani wajib hai

🔹MASLAH:- Qurbaani ki mannat maani aur ye mu’ayyan nahin kiya keh gaaye ki Qurbaani karega ya bakri ki to mannat sahih hai bakri ki Qurbaani kar dena kaafi hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- agar bakri ki Qurbaani ki mannat maani to oont ya gaaye  Qurbaani kar dene se bhi mannat poori ho jaayegi
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Mannat ki Qurbaani men se kuchh na khaye balkeh sara gosht wagairah sadqa kar de aur kuchh kha liya to jitna khaya uski qeemat sadqa kar de
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:-  Maalik e nisaab ne Qurbaani ki mannat maani to uske zimmah 2 Qurbaaniyaa wajib ho gayin ek oh jo gani par wajib hoti hai aur ek mannat ki wajah se
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- 2 yaa 2 se ziyaadah Qurbaaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaaniyo ki mannat hai sab wajib hai
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁QURBAANI KA WAQT🍁

♻HADEES
Hazrat E Barraa رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai keh namaz padhen phir is ke baa’d Qurbaani karenge, jis ne aisa kiya us ne hamari sunnat (tareeqa)  ko paa liya aur jis ne pahle zabah kiya woh gosht hai jo us ne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya Qurbaani se use kuchh ta’alluq nahin. Abu Burdah رضى الله تعالى عنه khade huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se keh pados ke log gareeb the unhon ne chaha keh unko gosht mil jaaye ) aur arz ki ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai Faramya  tum use zabah kar lo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat nahi karega.
📒(Bukhari)

🔹MASLAH:- Qurbaani ka waqt daswen zihijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwen ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raaten.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- daswen ke baa’d ki dono raaten ayyaam e nahar mem daakhil hain un men Qurbaani ho sakti hai magar raat mem Qurbaani karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- pahla din yani daswen tareekh sab men afzal hai phir giyarahwen aur pichhla din yani baarahwen sab se kam darjah hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- ayyaam e nahar men Qurbaani karna itni qeemat ke sadqa karne se afzal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- wujoob ki soorat men bagair Qurbaani kiye uhda baraa nahin ho sakta
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- shahar men Qurbaani ki jaaye to shart ye hai keh namaz ho chuke lihaza namaz e eid se pahle shahar men Qurbaani nahin ho sakti
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- dehaat men chunkeh namaz e eid nahin hai yahan tulu e fajr ke baa’d se hi Qurbaani ho sakti hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- dehaat men behtar ye hai keh baa’d e tulu e aaftaab Qurbaani ki jaaye
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- shahar men behtar ye hai keh eid ka khutbah ho chukne ke baa’d Qurbaani ki jaaye
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- namaz ho chuki hai aur abhi khutbah nahin hua hai is soorat men Qurbaani ho jaayegi magar aisa karna makrooh hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- ye jo shahar aur dehaat ka farq batataya gaya hai ye maqam e Qurbaani ke lihaz se hai Qurbaani karne wale ke ietebaar se nahin yani dehaat men Qurbaani ho to oh waqt hai agarcheh Qurbaani karne wala shahar men hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- shahar men ho to namaz ke ba’d ho agarcheh jis ki taraf se Qurbaani hai oh dehaat mem ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- shahar men aadmi agar  ye chaahta hai keh subah hi namaz se pahle Qurbaani ho jaaye to Jaanwar dehaat men bhej de
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- agar shahar men muta’addad jagah eid ki aamaz hoti ho to pahli jagah namaz ho chukne ke ba’d Qurbaani jaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- imam abhi namaz hi men hai aur kisi ne Jaanwar zabah kar liya agarcheh imam qa’da men ho aur baqadr e tashahhud baith chuka ho magar abhi salam na phera ho to Qurbaani nahin hui
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- agar imam ne ek taraf salam pher liya hai dosri taraf baaqi tha keh us ne zabah kar diya Qurbaani ho gayi
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- ayyaam e nahar guzar gaye aur jis par Qurbaani wajib thi us ne nahin ki hai to Qurbaani faut ho gayi ab nahin ho sakti agar usne Qurbaani ka Jaanwar mu’ayyan kar rakha hai maslan mu’ayyan Jaanwar ke Qurbaani ki mannat maan li hai oh shakhs gani ho ya faqeer bahar soorat usi mu’ayyan Jaanwar ko zindah sadqa kare aur agar zabah kar daala to saara gosht sasqa kare us men se kuchh n
a khaye aur agar kuchh kha liya hai to jitna khaya hai uski qeemat sadqa kare aur agar zabah kiye huye Jaanwar ki qeemat zindah Jaanwar se kuchh kam hai jitni kami hai use bhi sadqa kare
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Faqeer ne Qurbaani  ki niyyat se Jaanwar khareeda aur Qurbaani ke din nikal gaye chunkeh us par bhi usi mu’ayyan Jaanwar ki Qurbaani wajib hai lihaza us Jaanwar ko zindah sadqa kar de
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:-

ye zaroori nahin keh daswen hi ko Qurbaani kar daale Us ke liye gunjaaush hai keh poore waqt men jab chahe kare
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

 

🍁QURBAANI KE JAANWAR KA BAYAAN🍁

♻HADEES :- Ummul Momineen Hazrat e Aaisha Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne hukm farmaya keh seengh wala mendha laaya jaaye jo siyahi men chalta ho aur siyahi men baithta ho aur siyahi men nazar karta ho yani uske paaun siyaah hon aur pet siyaah hon aur aankhen siyaah hon oh Qurbaani ke liye haazir kiya gaya Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Aaisha chhuri laao phir farmaya use paththar par tez kar lo phir huzur ne chhuri li aur mendhe ko litaaya aur use zabah kiya phir farmaya

بِسْمِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ  تَقَبَّلْ مِنْ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ وَ مِنْ اُمَّةِ مُحَمَّدٍ

Ilahi to isko Muhammad صلى الله تعالى عليه وسلم ki taraf se aur unki aal ki aur ummat ki taraf se qubool farma
📒(Muslim )

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Mas’ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai
📒(Tibrani)

♻HADEES:- Hazrat Majaashe’ Bin Mas’ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya bhed ka jaza’a ( 6 mahine ka bachcha ) saal bhar wali bakri ke qaaim maqam hai.
📒(Abu daaud o Nasai)

♻HADEES:- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya 4 qism ke Jaanwar  Qurbaani ke liye durust nahin, kaana jiska kaanapan zaahir hai, aur beemaar jiski beemari zaahir ho, langda jiska lang zaahir hai, aur aisa laagar jiski haddiyion men magz na ho
📒(Imam Ahmad)

♻HADEES :- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne kaan kate huye seengh toote huye ki Qurbaani se mana farmaya
📒(Ibn e maajah / Imam Ahmad)

♻HADEES :- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasool e Akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ke ham Jaanwaro ke kaan aur aankhen gaur se dekh len aur uski Qurbaani na kren jiske kaan ka agla hissa kata ho aur na uski jis ke kaan ka pichhla hissa kata ho na uski jiska kaan phata ho ya kaan men sooraakh ho
📒(Tirmizi / Abu daaud / Nasai)

🍁MASAAIL E FIQHIYYAH🍁

🔹MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar  3 qism ke hain

(1) Oont
(2) Gaaye
(3) Bakri

Har qism men uski jitni nau’aen hain sab daakhil hain narr o maadah khassi aur gair e khassi sab ka ek hukm hai yani sab ki Qurbaani ho sakti hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- bhains gaaye me shumaar hai uski bhi Qurbaani ho sakti hai – bhed aur dumbah bakri me daakhil hain unki bhi Qurbaani ho sakti hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- wahshi (jangli) Jaanwar jaise neel gaaye aur hiran inki Qurbaani nahin ho sakti
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Murgi ki Qurbaani jaayez nahin.
📒(Fatawa Razviya  Jild 8  Safah 530)

🍁QURBAANI KE JAANWAR KI UMAR KA BAYAAN🍁

Qurbaani ke janwar ki umar ye honi chaiye

Oont 5 saal ka,  gaaye 2 saal ki,  bakri 1 saal ki , is umar se kam ho to Qurbaani  jaayez nahin ziyadah ho to jaayez balkeh afzal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- dumbah ya bhed ka 6 maah ka bachcha agar itna bada ho keh door se dekhne men saal bhar ka maloom hota ho to uski Qurbaani jaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- bakri ki qeemat aur gosht agar gaaye ke saatwen hissa ke barabar ho to bakri afzal hai aur gaaye ke saatwen hissa men bakri se ziyadah gosht ho to gaaye afzal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- mendha bhed se aur dumbah dumbi se afzal hai jab keh dono ki qeemat ek ho aur dono men gosht barabar ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- bakri bakre se afzal hai magar khassi bak
ra bakri se afzal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Oontni oont se aur gaaye bail se afzal hai jab keh gosht aur qeemat men barabar hon
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN🍁

🔹MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar ko aib se khaali hona chaahiye aur thoda sa aib ho to Qurbaani ho jaayegi magar makrooh hogi aur ziyadah aib ho to hogi hi nahin.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis ke paidaashi seengh na ho to uski Qurbaani jaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH: Agar seengh thi magar toot gaya aur meng (gooda) tak toota hai to jaayez nahin is se kam toota hai to jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis Jaanwar men junoon (paagalpan) hai aur is hadd kya hai ke woh Jaanwar charta bhi nahin hai to uski Qurbaani naajaayaz hai aur is hadd ka nahin hai to jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Khassi yani jiske khusiye nikaal liye gaye ho ya majboob yani jis ke khusiye aur uzu e tanaasul sab kaat liye gaye hon unki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Itna boodha ke bachcha ke qabil na raha ya daaga hua Jaanwar ya jiske doodh na utarta ho in sab ki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- kharishi Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai jabkeh farbah (mota) ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aur itna laagar (dubla) ho keh haddi men magz na raha to Qurbaani jaayez nahin
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bhenge Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Andhe Jaanwar ki Qurbaani jaayez nahin.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Kaana jiska kaanapan zaahir ho uski Qurbaani naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Langda jo Qurbaangaah tak apne paaun se na jaa sake aur itna beemaar jiski baamaari zaahir ho aur jiske kaan ya dum ya chakki kate hon yani oh uzu tihaai se ziyadah kate hon un sab ki Qurbaani  naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar kaan ya dum ya chakki tihaai ya is se kam kati ho to jaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis Jaanwar ke paidaaishi kaan na ho ya 1 kaan na ho uski Qurbaani naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis ke kaan chhote hon uski Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis Jaanwar ki tahaai se ziyaadah nazar jaati rahi uski bhi Qurbaani naajaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis ke daant na ho uski Qurbaani naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

Yani jis ke daant jhad gaye hon.

🔹MASLAH:-  Qurbaani ke Jaanwar ka daanta hona zaroori nahin agar umar poori ho to agarcheh daanta na ho uski Qurbaani jaayez hai

🔹MASLAH:- jis ke than kate hon ya khushk hon uski Qurbaani naajaayez hai bakri men 1 ka khushk hona naajaayez hone ke liye kaafi hai aur gaaye , bhains men 2 khushk hon to naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis ki naak kati ho ya ilaj ke zarye uska doodh khush kar diya ho aur khunsa Jaanwar yani jis men narr o maadah dono ki alamaten hon aur jallalah jo sirf galeez khata ho un sab ki Qurbaani naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bhed ya dumbah ki oon (baal) kaat li gayi ho uski Qurbaani  jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jis Jaanwar ka 1 paaun kaat liya gaya ho uski Qurbaani naajaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jaanwar ko jis waqt khareeda tha us waqt us men aisa aib na tha jiski wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai ba’d men oh aib paida ho gaya to agar oh shakhs maalik kare aur agar maalik e nisaab nahin hai to usi ki Qurbaani kar le ye us waqt hai keh us faqeer ne pahle se apne zimmah Qurbaani wajib na ki ho aur agar us ne mannat maani hai keh bakri ki Qurbaani karunga aur mannat poori karne ke liye bakri khareedi us waqt bakri men aib na tha phir paida ho gaya is soorat men faqeer ke liye bhi yahi hukm hai ke dusre Jaanwar ki Qurbaani kare.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Faqeer ne jis waqt Jaanwar khareeda tha us waqt us men aisa aib tha jis se Qurbaani naajaayez hoti hai aur oh aib Qurbaani ke waqt tak baaqi raha to uski Qurbaani kar sakta hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- gani aibdaar khareede aur aibdaar hi ki Qurbaani kare to naajaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani karte waqt Jaanwar uchhla kooda jiski wajah se aib

paida ho gaya ye aib muzir nahin yani Qurbaani ho jaayegi aur agar uchhalne koodne se aib paida ho gaya aur Woh chhoot kar bhaag gaya aur fauran pakad laaya gaya aur zabah kar diya gaya jab bhi Qurbaani ho jaayegi
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar aibi Jaanwar ko khareeda tha aur baa’d men uska aib jaata raha to gani aur faqeer dono ke liye uski Qurbaani jaayez hai maslan aisa laagar (dubla) Jaanwar khareeda jiski Qurbaani naajaayez hai aur uske yahan woh farbah ho gaya to gani bhi uski Qurbaani kar sakta hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bakara jo khassi nahin hota woh aksar peshaab peene ka aadi hota hai us men aisi sakht badboo paida ho jaati hai keh jis raasta se guzarta hai oh raasta kuchh der ke liye badboodaar ho jaata hai uska bhi wahi hukm hai jo jallalah ka hai keh agar uske gosht se badboo daf’a ho gayi to kha sakte hain warna makrooh o mamnoo’ hai.
📒(Bahar e shari’at)

chunkeh jallalah ki Qurbaani jaayez nahin hai lihaza jo log aise bakre ki Qurbaani karte hain jo peshaab peeta ho un par zaroori hai keh aise bakre ko itne din is tarah baandh kar rakhen keh peshaab na pi sake aur uske jism aur gosht se badboo rafa’ jo jaaye…

🔹MASLAH:- Jaanwaro ko aapas men ladaana naajaayez o haraam hai HADEES shareef men hai RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne chaupaayon ko ladaane se mana farmya
📒(Bahar e shari’at)

✳FAAIDAH :- baa’z log Qurbaani ke ayyaam se pahle hi bakre khreed lete hain aur tafreehan unhen aapas men ladaate hain aisa karna jaayez nahin keh is men un bezabaan Jaanwaro ko eezaa dena hai ,.. aise tamaasho men shirkat bhi jaayez nahin

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

QURBAANI KA TAREEQA

♻HADEES:- Hazrat e Jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareen صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe seengh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat me hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahi ki.
📒(Abu daaud / Ibn e Maajah)

♻HADEES:- Hazrat Anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareem
صلى الله تعالى عليه وسلم
Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha,  kahte hain main ne Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha
📒(Bukhari / Muslim)

🔹MASLAH:- Ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani Abu Burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana’at kar di isi tarah is men khud Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ki khususiyyat hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den yani bhooka piyasa zabah na karen aur ek ke saamne dosre ko zabah na karen aur pahle se chhuri tez kar len aisa na ho keh Jaanwar girane ke baa’d uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayen pahlu par is tarah litaayen keh qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Ise padh kar zabah kar de Qurbaani apni taraf se ho to zabah ke ba’d ye dua padhe

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّىْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰه تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ

Is tarah zabah kare keh chaaro ragen kat jaayen ya kam se kam 3 ragen kat jaayen is se ziyadah na kaaten keh chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye keh ye be wajah ki takleef hai phir jab tak Jaanwar  thanda na ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul na nikal jaaye uske paaun wagairah na kaate na khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to  مِنِّىْ ki jagah مِن Ke baa’d uska name le aur agar woh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye,  oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem na karen
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani karne wala baqra’eed ke din  sab se pahle Qurbaani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz na khaye ye mustahab hai
📒(Bahar e shari’at)

✳FAAIDAH:- Ahadees se saabit hai ke Saiyyid e Aalam صلى الله تعالى عليه وسلم ne is ummat e marhooma ki taraf se Qurbaani ki ye Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai ke is mouqe par bhi ummat ka khiyaal farmaya aur jo log Qurbaani na kar sake unki taraf se khud hi Qurbaani ada farmaai jab Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne ummat ki taraf se khud Qurbaani ki to jo musa

lman saahib e isteta’at ho agar Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke naam ki ek Qurbaani kare to zahe naseeb aur behtar seengh wala mendha hai jis ki siyaahi men safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe ke khud Huzoor Akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne Qurbaani farmaai.
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁DOSRE KI TARAF SE QURBAANI KA BAYAAN🍁

🔹MASLAH:- Qurbaani men niyabat ho sakti hai yani khud karna zaroorai nahin balkeh dosre ko iajzat dede usne kar di ye ho sakta hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baalig ladko ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chahta hai to unse ijazat haasil kare bagair unke kahe agr kardi to unke taraf se wajib ada na hua.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Nabaalig ki taraf se agarche wajib nahi magar kardena bihtar hai.
📒(Bahar e shari’at)

Is soorat men Nabaalig bachcho se ijazat ki zaroorat nahi.

🔹MASLAH:- Apni taraf se aur apne bachcho ki taraf se gaaye ki Qurbaani ki agar oh nabaalig hai to sab Qurbaaniyan jaayez hain aur baalig hai aur sab ladkon ne kah diya hai to sab ki taraf se sahih hai aur agar unhon ne kaha nahi ya ba’z ne nahin kaha to kisi ki Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Kisi shakhs ne wasiyyat ki ke uski taraf se Qurbaani kar di jaaye aur ye nahi bataya ke gaaye ya bakri kis Jaanwar ki Qurbaani ki jaaye aur na qeemat bayan ki ke istne ka Jaanwar khareed kar Qurbaani ki jaaye ye wasiyyat jaayez hai aur bakri Qurbaan kar dene se wasiyyat poori ho gayi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar kisi ko wakeel kiya ke meri taraf se Qurbaani kar dena aur gaaye ya bakri ka ta’ayyun na kiya qeemat bhi bayan nahin ki to ye taukeel sahih nahi.
📒(Bahar e shari’at)

 

🍁QURBAANI MEN SHIRKAT KA BAYAAN🍁

♻HADEES:- Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur uoont 7 ki taraf se hai
📒(Tibrani)

🔹MASLAH:- Jab Qurbaani ke sharaait e mazkoorah paaye jaayen to bakri ka zabah karna ya oont ya gaaye ka saatwa hissa wajib hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Saatwen hissa se kam nahi ho sakta balke oont ya gaaye ke shuraka men agar kisi shareek ka saatwen hissa se kam hai to kisi ki Qurbaani nahin hui yani jiska saatwa hissa ya us se ziyadah ho uski bhi Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gaaye ya oont men saatwen hissa se ziyaadah ki Qurbaani ho sakti hai maslan gaaye ko 6 ya 5 ya 4 shakhso ki taraf se Qurbaani karen ho sakta hai aur ye zaroori nahin ke sab shuraka ke hisse barabar hon balkeh kam o besh bhi ho sakte hain, haan ye zaroor hai ke jiska hissa kam hai woh saatwen hissa se kam na ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- 7 shakhso ne 5 gaayo ki Qurbaani ki ye jaayez hai ke har gaaye men har shakhs ka saatwa hissa hua.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gaaye ke shuraka me se ek kaafir hai ya un men se ek shakhs ka maqsood Qurbaani nahi balkeh gosht haasil karna hai to kisi ki Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani ke sab shuraka ki niyyat taqarrub ho iska ye matlab hai ke kisi ka irada  gosht na ho aur ye zaroori nahi ke woh taqarrub ek hi qism ka ho maslan sab Qurbaani hi karna chaahte hain balke agar mukhtalif qism ke taqarrub hon oh taqarrub sab par wajib ho ya kisi par wajib ho aur kisi par wajib na ho har soorat men Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani aur aqeeqah ki bhi shirkat ho sakti hai ke aqeeqah bhi taqarrub ki ek soorat hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Shuraka men koi devbandi wahabi aur gair muqallid wagairah hai to kisi ki Qurbaani  na hui.

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁ZABAH KA BAYAAN🍁

Allah Azza O Jalla farmata hai

حُرِّمَتْ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَۃُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِیرِ وَمَا أُہِلَّ لِغَیْرِ اللَّہِ بِہِ وَالْمُنْخَنِقَۃُ وَالْمَوْقُوذَۃُ وَالْمُتَرَدِّیَۃُ وَالنَّطِیحَۃُ وَمَا أَكَلَ السَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّیْتُمْ وَمَا ذُبِحَ عَلَى النُّصُبِ وَأَن تَسْتَقْسِمُوا بِالْأَزْلَامِ ۚ ذَٰلِكُمْ فِسْقٌ ۗ

Tum par haraam hai mudaar aur khoon aur suwwar ka gosht aur jis ke zabah me gair e khuda ka naam pukara gaya aur jo gala ghontne se mar jaaye aur dab kar mara hua yani bedhaar ki chiz se maara hua aur jo gir kar mara ho aur jisko kisi Jaanwar ne singj maara ho aur jis ko darindah ne kuchh khaa liya ho magar oh jinhen tum zabah kar lo aur jo kisi thaan par zabah kiya gaya ho aur teero se taqdeer ko maloom karna ye gunaah ka kaam hai.

📖(Surah 5   سُورَۃُ الْمَآىِٕدَة | Ayah 3)

وَلَا تَأْكُلُوا مِمَّا لَمْ یُذْكَرِ اسْمُ اللَّہِ عَلَیْہِ وَإِنَّہُ لَفِسْقٌ ۗ

Aur use na khaao jis pe Allah ka naam nahi liya gaya aur woh beshak hukm udooli hai.

📖(Surah 6   سُورَۃُ الْاَنْعَام | Ayah 121)

*🍁AHAADEES🍁*

♻HADEES :- Hazrat e Abdullah Bin Abbas o Abu Hurairah رضى الله تعالى عنهم  se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne شريطة الشيطن se mumana’at farmaayi ye woh zabeeha hai jiski khaal kaati jaaye aur ragen na kaati jaayen aur chhod diya jaaye yahan tak keh mar jaaye.
📒(Abu daaud)

♻HADEES :- Ummul Momineen Hazrat e Aaishah Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh logo ne arz ki Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم yahan kuchh log abhi naye musalman huye hain woh hamare paas gosht laaye hain hume maloom nahi ke Allah ka naam unhon ne zikr kiya hai ya nahi , farmaya ke bismillah kaho aur khaao yani muslim ke zabeeha men is qism ke ihtemalaat na kiye jaaye.
📒(Bukhari)

♻HADEES :- Shaddad Bin Aus رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh Allah tabarak o ta’ala ne har chiz men khoobi karna likh diya hai, , lihaza qatl karo to us men bhi khoobi ka lihaz rakho (yani be sabab usko eeza mat pahunchaao)
Aur zabah karo to zabah me khoobi karo aur apni chhuri ko tez kar lo aur zabeeha ko takleef na pahunchaao.
📒(Muslim)

 

🍁MASAAIL E FIQHIYYAH🍁

🔹MASLAH:- Gale men chand ragen hain inko kaatne ko “zabah” kahte hain aur us Jaanwar ko jiski oh ragen kaati gayi ” zabeeha” aur “zibah” kahte hain  yahan zaal ko zer hai aur pahli jagah zabar hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baa’z Jaanwar zabah kiye jaate hain ba’z nahin jo shar’an zabah nahin kiye jaa sakte hain un men ye do machhli aur tiddi bagair zabah kiye halaal hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Zibah ki jagah halaq aur lubbah ke maabain (darmiyan)  hai lubbah seene ke baalaai hissa ko kahte hain
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Awam men ye mashhoor hai keh uoont ko 3 jagah zabah kiya jaata hai galat hai aur yun karna makrooh hai keh bila faaidah eeza dena hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jo ragen zabah men kaati jaati hain woh 4 hain.
1) hulqoom ye woh hai jis men saans aati jati hai
2) muri is se khana paani utarta hai
3/4) in dono ke agal bagal aur 2 ragen hain jin men khoon ki rawani hai unko “wadjain” kahte hain.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Poora hulqoom zabah ki jagah hai yani uske a’ala ausat asfal jis jagah men zabah kiya jaaye halaal hoga
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aaj kal chunkeh chamde ka narkh (qeemat) ziyadah hai aur ye wazan ya naap se farokht hota hai is liye qassab iski koshish karte hain keh kisi tarah chamde ki miqdar badh jaaye aur is ke liye ye tarkeeb
karte hain keh bahut uoopar se zabah karte hain aur is soorat men aisa bhi ho sakta hai keh zibah fauqul uqdah ho jaaye aur is men ulama ko ikhtelaf hai keh Jaanwar halaal hoga keh nahin is baab men qaul e faisal ye hai keh zibah fauqul uqdah men agar 3 ragen kat jaayen to Jaanwar halaal hai wrna nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Ulama ka ikhtelaf aur ragon ke katne men ihtemaal dekhte huye ihteyaat zaroori hai keh ye mu’a

amala hillat o hurmat ka hai aur aise maqam par ihteyaat laazim hoti hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Zibah ki 4 ragon men se 3 ka kat
jaana kaafi hai yani is soorat men bhi Jaanwar halaal ho jaayega.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar chaaro men se har ek ka aksar hissa kat jaayega jab bhi halaal ho jaayega
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aadhi aadhi har rag kat gayi aur aadhi baaqi baaqi hai to halaal nahi.
📒(Bahar e shari’at)

 

🍁ZAROORI INTEBAAH🍁

Qurbaani men aksar aisa hota hai keh zabah karne wala Jaanwar ke gale pe chhuri phiraata hai aur sirf chamdi kat ti hai keh qassaab chhuri le kar khud zabah karne lagta hai to is soorat men bhi 3 ragon ka bilkul katna ya chaaro rago ka aksar hissa kat jaana zaroori hai,  agar 3 ragen mukammal na kati ya chaaro ragon ka aksar hissa na kata aur Jaanwar tadap tadap kar mar gaya to oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui, ,is masla se bahut se log gaafil hain.

TAMBEEH
baa’z murgi wagirah ki dukan men dekha gaya keh qassaab waqt e zabah murgi ke gale pe chhuri phiraate hain sirf chamdi hi kati hoti hai sab ragen nahin kati hoti keh kisi darum wagairah men daal dete hain taakeh rooh nikal jaaye,  to agar 3 rag mukammal katne se pahle ya chaaro rago ka aksar hissa katne se pahle aisa kiya aur murgi tadap tadap kar mar gayi to oh murgi Haraam hai.

TAMBEEH
baa’z logo men ye mashhoor hai keh bakra dedh salla yani gale par dedh martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye is ki bhi koi asl nahi yunhi gaaye bail wagiarah ke gale pe dhaai salla yani dhaai martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye iski bhi koi asl nahi balke agar dedh martaba bakri ke gale pe aur dhaai martaba bail ke gale pe chhuri phiraaya aur 3 ragen mukammal nahin kati ya chaaro ragon ka aksar hissa nahin kata aur Jaanwar tadap tadap ke mar gaya oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui balke chaaro ragon ke kaatne ka hukm hai to ye chaaro ragen jitni martaba chhuri phirane se kate kaatna zaroori hai agar 1 hi martaba phirane men chaaro ragen kat jaayen halaal hai ya 10 martaba phirane men kate har haal men charo ragon ka katna zaroori hai.

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁ZABAH SE JAANWAR HALAAL HONE KE LIYE CHAND SHARTEN HAIN🍁

♻ Zabah karne wala aaqil ho majnoon (paagal) ya itna chhota bachcha jo be aql ho unka zabeeha jaayez nahin aur agar chhota bachcha zabah ko samajhta ho aur us par qudrat rakhta ho to uska zabeeha halaal hai
📒(Bahar e shari’at)

♻ Zabah karne wala muslim ho aur murtad ka zabeeha haraam o murdaar hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Raafzi tabarraai wahabai devbandi,   wahabi gair muqallid,  qaadiyaani chakdali neechri in sab ke zabeehe mahaz najis o mudaar haraam e qat’ee hain agarcheh laakh baar naam ilaahi len aur kaise hi muttaqi parhezgaar bante hon keh ye sab murtddeen hain.
📒(Ahkam e shari’at)

♻ Allah Azza o Jalla ke naam ke saath zabah karna Zabah karte waqt Allah تعالى ke namo me se koi naam zikr kare Jaanwar halaal ho jaayega yahi zaroori nahi ke lafz e Allah hi zabaan se kahe.
(📒Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Tanha naam hi zikr kare ya naam ke saath sifat bhi zikr kare dono soorat men Jaanwar halaal ho jaata hai maslan
الله اكبر
الله اعظم
Ya sirf
الله
Ya
رحمن
Wagairah kahe aur isi tarah
سبحن الله
الحمدلله
Padhne se bhi halaal ho jaayega
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Allah Azza o Jalla ka naam arbi ke siwa dosri zaban me liya jab bhi halaal ho jaayega
📒(Bahar e shari’at)

♻ Khud zabah karne wala Allah Azza o Jalla ka naam apni zaban se kahe…
Agar ye khaamoosh raha dosro ne naam liya aur use yaad bhi tha bhoola na tha to Jaanwar haraam hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar naam lena bhool gaya to Jaanwar halaal hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Allah Azza o Jalla ka naam waqt e zabah lene me itni aawaz zaroori hai ke agar zabah karne wala bahra na ho aur shor o gul na ho to oh khud sun sake to agar itni bhi aawaz na hui to Jaanwar haraam ho gaya…

🔹🔹MASLAH:- Baa’z log Jaanwar zabah karte waqt aawaz se bismillahi allahu akbar  nahin kahte aur unse poochha jaaye keh waqt e zabah Bismillah  nahin padhi to kahte hain keh main ne dil mem padh liya is soorat men bhi Jaanwar halaal na hu…

🔹MASLAH:- Behtar ye hai ke zabah karne wala itni aawaz se Bismillah  allahu akbar kahe ke aas paas ke log sune.

🔹MASLAH:- Baa’z log chhuri par  Bismillah  allahu akbar padh kar dam (phook) kar ke dosre ko zabah ke liye de dete hain aur oh dosra zabah karta hai is soorat mem agar is dosre ne waqt e zabah Bismillah  nahin padhi to Jaanwar haraam ho jaayega.

♻ Naam e Ilaahi lene se zabah par naam lena maqsood ho aur agar dosre maqsad ke liye Bismillah  padhi aur saath lage zabah kar diya aur us par Bismillah  padhna maqsood nahin to Jaanwar halaal na hua
Maslan chhink aai aur is par Alhamdulillah kaha aur Jaanwar zabah kar diaya us par naam e ilaahi zikr karna maqsood nahi tha Jaanwar halaal na hua.
📒(Bahar e shari’at)

♻Zabah ke waqt gair e khuda ka name na le.
📒(Bahar e shari’at)

♻ Jis Jaanwar ko zabah kiya jaaye woh waqt e zabah zindah ho agarche uski hayaat ka thoda hi hissa baaqi rah gaya ho. Zabah ke baa’d khoon nikalna ya Jaanwar men harkat paida hona yun zaroori hai ke is se uska zindah hona maloom hota hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bakri zabah ki aur khoon nikla magar us men harkat paida na hui agar oh aisa khoon hai jaise zindah Jaanwar men hota hai halaal hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Zabah har us chiz se kar sakte hain jo ragen kaat de aur khoon baha de ye zaroori nahin keh chhuri hi se zabah kare
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Kund chhuri (jis chhuri men dhaar na ho)  se zabah  karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Mustahab ye hai ke Jaanwar ko litane se pahle chhuri tez kar le aur litane ke ba’d chhuri tez karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Is tarah zabah karna ke chhuri haraam magz tak pahunch jaaye ya sar kat kar juda ho jaaye makrooh hai magar zabeeha khaya jaayega yani karahat us fae’l me hai na ke zabeeha me.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aam logo men ye mashhoor hai keh zabah karne men agar sar juda ho jaaye to us sar ka khana makrooh hai ye kutb e fiqah men nazar se nahin guzra balkeh fuqha ka ye irshad keh zabeeha khaya jaayega us se yahi saabit hota hai keh sar bhi khaya jaayega.
📒(Bahar e shari’at)

*🔹MASLAH:- Baa’z jagah ye mashhoor hai keh zabah karne me agar sar juda ho jaaye to Jaanwar hi haraam ho jaata hai is ki bhi koi asl nahin balkeh oh jaanwar bhi halaal hai.*

🔹MASLAH:- Har woh fae’l jis se Jaanwar ko bila faaidah takleef pahunche makrooh hai maslan Jaanwar me abhi hayaat baaqi ho thanda hone se pahle uski khaal utaarna us ke aa’za kaatna ya zabah se pahle uske sar ko kheenchna ke ragen zaahir ho jaayen ya gardan ko todna.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jaanwar ko gardan ki taraf se zabah karna makrooh hai balkeh uski ba’z sooraton men Jaanwar haraam ho jaayega.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Sunnat ye hai ke zabah ke waqt Jaanwar ka munh qibla ko kiya jaaye aur aisa na karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Zabah men aurat ka wahi hukm hai jo mard ka hai, yani muslima ya kitabiya aurat  ka zabeeha halaal ha aur mushrika o murtaddah ka zabeeha haraam hai.
📒(Bahar e shari’at)

*🔹MASLAH:- Awam me mashoor hai ke aurat zabah nahin kar sakti be asl hai. Aurat Bhi zabah kar sakti hai.*

🔹MASLAH:- Zabah karne men qasdan (jaan boojh kar)  Bismillah  na kahi Jaanwar haraam hai aur agar bhool kar aisa hua is soorat men Jaanwar halaal hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bismillah  ki ha (ه) ko zaahir karna chahiye agar zaahir na ki jaaye jaisa ke baa’z awam iska talaffuz is tarah karte hain ke ha (ه) zaahir nahin hoti aur maqsood Allah ka naam zikr karna hai to Jaanwar halaal hai aur agar ye maqsood na ho aur ha (ه) chorna hi maqsood ho to halaal nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Mustahab ye hai keh zabah ke waqt
بسم الله الله اكبر
kahe yani
بسم الله الله اكبر
ke darmiyan waao (و)  na laaye aur agar
بسم الله والله اكبر
waao (و) ke saath kaha to Jaanwar is soorat men bhi halaal hoga magar ba’z ulama is tarah kahne ko makrooh batate hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bismillah  kisi dosre maqsad se padhi aur Jaanwar zabah kar diya to Jaanwar halaal nahin
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Khud zabah karne wale ko Bismillah  kahna zaroori hai dosre ka kahna iske kahne ke qaaim maqaam nahin yani dosre ke Bismillah  padhne se Jaanwar halaal na hoga jabke zaabih ne qasdan (jaan boojh kar) tark kiya ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- 2 shakhso ne zabah kiya to dono ka padhna zaroori hai 1 ne qasdan (jaan boojh kar)  tark kiya to Jaanwar haraam
Mo’een e zaabih se yahi murad hai keh zabah karne men uska mu’een ho yani dono ne milkar zabah kiya ho dono ne chhuri pheri ho maslan zaabih kamzor hai keh uski tanha quwwat kaam nahin  degi, dosre ne shairkat ki dono ne milkar chhuri chalaai  . Agar dosra shakhs Jaanwar ko faqat pakde huye hai to ye mo’een e zaabih nahin iske padhne na padhne ko kuchh dakhal nahin ye agar padhta hai to iska maqsad ye ho sakta hai keh zaabih ko Bismillah  yaad aa jaaye aur padh le
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bismillah  kahne aur zabah karne ke darmiyan taweel faasla na ho aur majlis badalne na paaye agar majlis badal gayi aur amal kaseer beech men paaya gaya to halaal na hua. 1 luqma khaaya ya zara sa paani piya chhuri tez ki ye amal e qaleel hai Jaanwar is soorat men halaal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bakri zabah ke liye litaai thi Bismillah  kah kar zabah karna chahta tha keh oh uth kar bhaag gayi phir use pakad kar laaya aur litaya to ab phir Bismillah  padhe pahle ka padhna khatm ho gaya
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gaaye ya bakri zabah ki aur uske pet men bachcha nikla agar woh zindah hai zabah kar diya jaaye halaal ho jaayega aur mara hua hai to haraam hai uski maan ka zabah karna uske halaal hone ke liye kaafi nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Billi ne murgi ka sar kaat liya aur woh abhi zindah hai phadak rahi hai zabah nahin ki jaa sakti.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jaanwar ko din men zabah karna behtar hai aur mustahab ye hai keh zabah se pahle chhuri tez kar le.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Kund chhuri ya aisi chizo se zab

ah karne se bache jis se Jaanwar ko eeza ho.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Raat men zabah karna makrooh hai
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁GOSHT KA BAYAAN🍁

🔹MASLAH:-Qurbaani ka gosht khud bhi kha sakta hai aur dosre shakhs gani ya faqeer ko bhi de sakta hai khila sakta hai balke us me se kuchh kha lena Qurbaani karne wale ke liye mustahab hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Behtar ye hai keh gosht ke 3 hisse kare 1 hissa fuqra ke liye aur 1 hissa dost o ahbaab ke liye aur 1 hissa apne ghar walo ke liye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- 1 tihaai se kam sadqa na kare Aur kul ko sadqa kar dena bhi jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Kul ghar me rakh le ye bhi jaayez hai 3 din se zaaid apne ghar walo ke khane ke liye rakh lena bhi jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar us shakhs ke ahl o ayaal bahut hon aur saahib e us’at nahi hai to behtar ye hai ke saara gosht apne baal bachcho ke liye hi rakh chhore.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbani ka gosht kafir ko na de keh yahan kuffar harbi hain
📒(Bahar e shari’at)

✳Yani yahan ke kaafiro ko gosht dena jaayez nahi.
📒(Fatawa razviyyah  jild 8  safah 467)

🔹MASLAH:- Ojhdi, aant, wagairah khane ki chiz nahin use dafan kar den aur agar koi kafir le jaaye ya kafir ko dedi jaaye to harj nahin
📒(Maakhooz az Fatawa Razviyah )

🔹MASLAH:- Qurbaani agar mannat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai aur na agniya ko khila sakta hai balke usko sadqa kar dena wajib hai woh mannat maanne wala faqeer ho ya gani dono ka ek hi hukm hai ke khud nahi kha sakta na gani ko khila sakta hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Maiyyit ki taraf se Qurbaani ki to uske gosht ka bhi wahi hukm hai keh khud khaye dost o ahbaab ko de faqeero ko de ye zaroori nahi ke saara gosht faqeero hi ko de kiyon ke gosht uski milkiyat hai ye sab kuchh kar sakta hai..
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar maiyyit ne kah diya hai ke meri taraf se Qurbaani kar dena to is se na khaye balkeh kul gosht sadqa kar de.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani ke gosht ko apni zaat ke liye bechna jaayez nahi aur agar bech diya to uski qeemat sadqa kar dena wajib hai.

🔹MASLAH:- Qurbaani ka gosht devbandi wahabi gair muqallid wagiarah ko dena jaayez nahi.

🔹MASLAH:- baa’z log kafir qassab se gosht buti karwate hain to isme ye ihteyaat bahut zaroori hai keh kisi waqt bhi gosht musalman ki nazro se gaaib na ho.

🔹MASLAH:- Agar gosht musalman ki nazro se gaaib ho kar kafir ke qabze men ho gaya to us gosht ka khana jaayez nahi.

🔹MASLAH:- Devbandi wahabi wagairah badmazhab jinki badmazhabi hadd e kufr ko pahunch gayi ho us ne Jaanwar zabah kiya to Qurbaani na hui aur gosht bhi haraam ho gaya.

🔹MASLAH:- Shirkat me gaaye ki Qurbaani hui to zaroor hai ke gosht wazan kar ke taqseem kiya jaaye, andazah se taqseem na ho kiyon ke ho sakta hai ke, kisi ko ziyadah ya kam mile aur ye najayez hai,  yahan ye khayal na kiya jaaye ke kam o besh hoga to har ek isko dosre ke liye jaayez kar dega kah dega ke agar kisi ko zaaid pahunch gaya to mu’aaf kiya keh yahan adam e jawaz haqq e shara hai aur unko is ke mu’aaf karne ka haq nahin.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Yahan ye ho sakta hai keh saaton shareek milkar kisi aise shakhs ko jo is Jaanwar men shareek nahin hai kul gosht ka maalik bana kar qabza deden phir woh shakhs un saaton ko apni taraf se gosht jis qadar chahe dede to is soorat me kam ya ziyadah hone me harj nahin,
ek soorat ye bhi hai keh kaleji paaye wagairah bhi gosht men shaamil kar den aur andazah se shuraka men taqseem kar den durr e mukhtaar men hai
ويقسم اللحم وزنا لا جزافا الا اذا ضم معه من الاكارع او الجلد

📒(على هامش ردالمحتار ج 5 ص 223)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁HALAAL JAANWAR KE SAB AJZA HALAAL HAIN MAGAR KUCHH AJZA HARAAL YA MAMNOO YA MAKROOH HAIN🍁

1) Ragon ka khoon

2) Pittah

3) Phunkna

4) Alamat e Maadah

5) Alamat e Narr

6) Baize

7) Gudood

8) Haraam Magz

9) Gardan ke 2 putthe keh shano tak khinche hote hain

10) Jigar ka khoon

11) Tilli ka khoon

12) Gosht ka khoon kh baa’d e zabah gosht men se nikalta hai

13) Dil ka khoon

14) Pitt yani woh zard paani ke pitte me hota hai

15) Naak ki rutoobat ke bhed me aksar hoti hai

16) Paakhana ka maqaam

17) Ojhdi

18) Aanten

19) Nutfa

20) Woh nutfa ke khoon ho gaya

21) Woh ke gosht ka lothda ho gaya

22) Woh ke poora Jaanwar ban gaya aur murdah nikla ya be zabah mar gaya

📒(Fatawa Razviyah  Jild 8  Safah 327)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

 

🍁EXPORT KE GOSHT KA HUKM🍁

✳ Mauqa ki munasabat se zaroori hai ke ham qadr e ijmaal ke saath bayan kar den keh maujoodah zamane me EXPORT,  IMPORT ke gosht me kiya kiya asbaab e hurmat maujood hain taake kam azkam woh log is se parhez kar saken jinhen sirf rizq e halaal hi ki justuju rahti hai aur ijtenaab e haraam ke silsila me woh log masaaib ka muqabla karne me kotahi nahi karte.

🍁EXPORT KIYE GAYE GOSHT ME ASBAAB E HURMAT KI IJMAALI FAHRIST MULAHAZA HO🍁

♻ Export kiye gaye gosht me machini zabeeha sar e fahrist hai aur ham pahle bayan kar chuke hain ke machini zabeeha gair e shar’ee hone ki baais haraam hai.

♻ Gosht ki beshtar miqdaar Europ,  America,  Australia ke mamalik se export hoti hai aur wahan ziyadah tar salatar house wale aur exporter nasaara hain aur is zamane ke nasaara ka zabeeha haraam hai.

♻ Export kiya hua gosht custom me pahunchte hi bhejne wale ke qabza o nazar se gaaib ho jaata hai phir kaargo (maal bardaar jahaz)  me bhi gaaib rahta hai custom o kargo ke mulazimeen mazkoorah  mamalik me mushrekeen o mulhideen o nasaar e zamana hote hain jab ke hukm e shara ye hai ke gosht jab qabza e kafir me pahunch kar nazar e muslim se ek lamha ke liye gaib ho jaaye to haraam hai lihaza agar export kiya hua gosht agarche zabeeha e muslim hi ho aur agarche musalman hi ne bheja ho jab bhi oh haraam ho jaata hai.

♻ Masheeni zabeeha ke salatar houses un Jaanwaro ka gosht bhi  “lahme halaal“ ka lebal laga kar parsal kar dete hain jin ke beech sar par ya seena par chhuri chali aur woh mar gaye aise Jaanwar ki hurmat ijma se saabit hai.

Main ne haramain shareefain me zabeeha ke gosht aur imported gosht ki qeemato ka farq bhi maloom kiya to pata chala keh imported gosht ki qeemat 6/7 riyaal fee kilo gram hai jabkeh maqaami zabeeha 25 se 30 riyaal men 1 kilo gram dasteyaab hota hai isi liye umooman hotalo aur tour ke matbakhon men import kiya hua gosht istemaal hota hai haramain tayyibain ke muhtaat awam is gosht se ijtenaab rakhte hain balkeh bahut saare hujjaj e kiram aur zaaireen ko bhi ham ne un muqaddas ilaaqo me isi sabab se imported gosht se parhez karte huye paaya zihan nasheen kar lijiye ke haraam giza insan me khubs paida karti hai aur haraam giza ki wajah se duaayen maqbool nahin hoti ibadaat o ziyaaraat kiya maqbool hongi is liye hujjaj e kiram o zaaireen par laazim hai ke Allah o Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم ke darbaar me pahunch kar gizaai ihteyaat barten agar chand roz gosht nahin khaayenge to sihhat par koi bura asar murattab nahin ho jaayega.
📒(Masheeni zabeeha ka hukm safah 13/14/15)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁CHAMDE KA BAYAAN🍁

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ka chamda aur uski jhol aur rassi aur uske gale me haar dala hai woh haar in sab chizo ko sadqa kar den.

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ke chamde ko khud bhi apne kaam me laa sakta hai yani usko baaqi rakhte huye apne kisi kaam me laa sakta hai maslan uski jaa e namaz banaye thaili ya mashkiza dastarkhwan dol wagairah banaye ya kitabon ki jildon me lagaaye ye sab kar sakta hai.

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ke chamde ko aisi chizo se badal sakta hai jis ko baaqi rakhte huye us se nafa uthaya jaaye jaise kitab.

 

Aisi chiz se badal nahin sakta jis ko halaak kar ke nafa haasil kiya jaata ho jaise roti gosht sirka rupiya paisa aur agar usne un chizo ko chamde ke ewaz me haasil kiya to un chizo ko sadqa kar de.

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Agar Qurbaani ki khaal ko rupiye ke ewaz me becha magar is liye nahi ke usko apni zaat par ya baal bachcho par saraf kare balke is liye ke use sadqa kar dega to jaayez hai.

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Aaj kal aksar log khaal madarsa e deeniyya me diya karte hain aur baa’z martaba wahaan khaal bhejne me diqqat hoti hai use bech kar rupiye bhej dete hain ya kayi shakhso ko dena hota hai use bech kar daam un fuqara par taqseem kar dete hain ye bai’e jaayez hai is me harj nahi aur hadees me jo bechne ki mumana’at aai hai us se muraad apne liye bechna hai.

📒(Bihar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ka chamda ya gost ya us men ki koi chiz qassab ya zabah karne wale ko uski ujrat men nahi de sakta ke usko ujrat me dena bechne hi ke ma’na me hai

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH:- Qassab ko ujrat me nahin diya balke jaise dosre musalamano ko deta hai usko bhi diya aur ujrat apne paas se dosri chiz dega to jaayez hai.

📒(Bahar e shari’at)

 

 

🔹MASLAH: Baa’z log chamde ko bhi gosht ki tarah paka kar khate hain to is me harj nahin ke chamda ajza e mamnoo’ah me se nahi hai.

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ki khaal masjid o madarsa me is liye dena ke use bech kar masjid o madarsa ke masaarif me kharch kiya jaaye maslan imam o muazzin o mulaazimeen ki tankhwah me ya masjid ki tameer wagairah me to is me harj nahi.

📒(Makhuz az Fatawa Razviyah )

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ki khaal khud bech kar masjid me diya to is me bhi harj nahi.

 

 

📒MASLAH:- Chunkeh Qurbaani ki khaal ka sadqa karna sadqa e naagilah hai to is me tamleek faqeer shart nahi Fatawa razviyah me hai charm e Qurbaani ka tasadduq aslan wajib nahin ek sadqa e naafila hai is me ishtiraat e tamleek kahan se aaya

📒(Fatawa Razviyah Jild 8 Safah 48)

 

 

✳Lihaza Qurbaani ki khaal majid o madarsa wagairah men dene me heela e shar’ee ki zaroorat nahin.

 

 

🔹MASLAH:- wahabi devbandi gair muqallid wagairah ke madaaris me Qurbaani ki khaal dena jaayez nahi.

 

 

🔹MASLAH:- Qurbaani ki khaal apne liye becha to uski qeemat ka sadqa karna wajib hai is soorat me bagair heela shar’ee masjid o madarsa wagiarah me nahi saraf kar sakte.

 

 

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

 

 

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*

خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء

۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

*خطيب و امام*

غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

 

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*

Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

50/ New Qazi Street Mumbai 400003.

*Khatib O Imam*

Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

 

 

🍁YAUM E ARFAH KA ROZA🍁

♻HADEES:- Hazrat e Abu Qatadah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain mujhe Allah تعالى par gumaan hai ke arfah ka roza 1 saal qabl aur 1 saal  baa’d ke gunaah mita deta hai.
📒(Muslim / Abu daaud / Tirmzi)

♻HADEES:- Ummul Momineen Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم arfah ke roza ko 1000 din ke barabar batate.
📒(Baihaqi / Tibrani)

♻HADEES:- Hazrat e Abu Hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne arfah ke din (Arafaat) me rozah rakhne se mana farmaya.
📒(Abu daaud / Nasai)

🔹MASLAH:- Hajj karne wale par jo arafaat men hai use arfah ke din ka rozah makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

 

🍁ARFAH O EIDAIN WAGAIRAH KI RAATO MEN SHAB BEDAARI🍁

♻HADEES:- Hazrat e Abu Umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain jo eidain ki raato  me qiyaam (ibadat)  kare uska dil na marega jis din logo ke dil marenge.
📒(Ibn e maajah)

♻HADEES:- Hazrat e Ma’aaz Bin Jabal رضى الله تعالى عنه se riwayat hai farmate hai jo 5 raaton men shab bedaari kare us ke liye jannat wajib hai zulhijja ki aathwen,  nauwen,  daswen aur eidul fitr ki raat aur sha’ban ki pandrahwe raat yani shab e barat.
📒(Asbahani)

🔹MASLAH:- Eidain aur pandrahwen sha’ban ki raaton aur ramzan ki akheer 10 raato aur zulhijjah ki pahli 10 raaton me shab bedaari mustahab hai aksar hissa me jaagna bhi shab bedaari hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Eidain ki raaton me shab bedaari ye hai keh isha o subah (fajar) dono jamat e oola se hon ke sahih hadees me farmaya jis ne isha ki namaz jamat se padhi us ne aadhi raat ibadat ki aur jis ne namaz e fajar jamat se padhi us ne saari raat ibadat ki un raato men agar jaagega to namaz e eid o Qurbaani wagairah me diqqat hogi lihaza isi par iktefa kare aur agar in kaamo me farq na aaye to jaagna bahut behtar.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- In raato me tanha nafl namaz padhna aur tilawat e Quran e majeed aur hadees padhna aur sunna aur durood shareef padhna shab bedaari hai na keh khaali jaagna.
📒(Bahar e shari’at)

✳Bahut se log in raaton me idhar udhar ghoom kar laa yani aur fuzul baaton me poora waqt guzaar dete hain ise shab bedaari nahi kahte balke shab bedaari ye hai ke agar zindagi me namazen qaza hon to use ada karen ya nafl padhen ya durood o azkaar o wazaaif aur auraad men mashgool rahen, Allah تعالى hamen in raaton ki ta’zeem o takreem ki taufeeq ata farmaye aur in raaton men ziyadah se ziyadah ibadat o riyazat ki taufeeq ata farmaye..
Aameen……

 

🍁ARFAH KE DIN DUA BEHTAR HAI🍁

♻HADEES: Hazrat e Amr Bin Shuaib رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya “behtar dua arfah ki dua hai.”
📒(Tirmizi)

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Amr Bin Aas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh behtar dua arfah ke din ki dua hai, aur behtar wazeefah woh hai jo mera aur ambiya e saabiqeen ka raha hai yani
” لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ   لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْئٍ قَدِيْر ”

*⛔NOTE:- YAUM E ARFAH 9WEN ZULHIJJAH KO KAHTE HAIN*

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

 

🍁AQEEQAH KA BAYAAN🍁

♻HADEES:- Hazrat Salman Bin Aamir Zabi رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke main ne RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ko farmate suna ke ladke ke saath aqeeqah hai uski taraf se khoon bahao (yani Jaanwar zabah karo) aur us se aziyyat ko door karo yani uska sar mundwa do..
📒(Bukhari)

♻HADEES :- Hazrat e Umm e Kurz رضى الله تعالى عنها se riwayat hai ke mai ne RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ko farmate suna ke ladke ki taraf se 2 bakriyaan aur ladki ki taraf se 1 is me harj nahin keh narr ho ya maadah.
📒(Abu daaud / Tirmizi / Nasai)

♻HADEES :- Hazrat e Samurah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ladka apne aqeeqah men girhwi hai 7wen din uski taraf se zabah kiya jaaye aur uska naam rakha jaaye aur sar munda jaaye , girhwi hone ka ye matlab hai ke us se poora nafa haasil na hoga jab tak aqeeqah na kiya jaaye aur baa’z ne kaha bachcha ki salamati aur uski nashu numa aur us me achche ausaaf hona aqeeqah ke saath waabistah hai.
📒(Abu daaud / Tirmizi / Nasai)

♻HADEES:- Hazrat Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hain RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne Hazrat e Hasan رضى الله تعالى عنه ki taraf se aqeeqah me bakri zabah ki aur ye farmaya ke aye Faatima iska sar mundwa do aur baal ke wazan ke barabar chaandi sadqa karo ham ne baalo ka wazan kiya to 1 dirham ya  kuchh kam the.
📒(Tirmizi)

♻HADEES:- Hazrat e Abu Raafe’ رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hai ke jab Hazrat Imam e Hasan Bin Ali رضى الله تعالى عنهما paida huye to main ne dekha Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne unke kaan me wahi azan kahi jo namaz ke liye kahi jaati hai.
📒(Abu daaud)

♻HADEES:- Hazrat e Asma Bint e Abi Bakar Siddiq
رضى الله تعالى عنهما
se riwayat hai kahti hain ke Abdullah Bin Zubair رضى الله تعالى عنهما makkah hi me hijrat se qabl mere pet men the baa’d e hijrat quba me ye paida huye main unko RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ki khidmat me laai aur Huzoor ki god me unko rakh diya phir huzur ne khujoor mangaai aur chaba kar unke munh men daal di aur unke liye dua e barakat ki.
📒(Bukhari / muslim)

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya aulaad ka waalid pe ye haq hai keh achha naam rakhe aur achha adab sikhaye.
📒(Baihaqi)

♻HADEES:- Hazrat e Abuddarda رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya ke qiyamat ke din tum ko tumhare naam aur tumhare baapo ke naam se bulaya jaayega lihaza achhe naam rakho.
📒(Abu daaud)

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Umar رضى الله تعالى عنهما  se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya tumhare naamo me Allah تعالى ke nazdeek ziyadah piyare naam ABDULLAH o ABDUR RAHMAN hai.
📒(Muslim)

♻HADEES:- Ummul Momineen Aaishah Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya achho ke naam pe naam rakho aur apni haajaten achhe chihra walo se talab karo.
📒(Dailami)

♻HADEES:- Hazrat e Abu Umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  farmate hain jiska ladka paida ho aur oh meri muhabbat aur mere naam se barakat haasil karne ke liye uska naam muhammad rakhe oh aur uska ladka dono bahisht me jaayen.
📒(Ibn e Asakir)

♻HADEES:- Hafiz Abu Taahir ne Anas رضى الله تعالى عنه se riwayat ki keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  farmate hai roz e qiyamat 2 shakhs rabbul izzat ke Huzoor khade kiye jaayenge hukm hoga inhen jannat me le jaao arz karenge ilahi ham kis amal par jannat ke qaabil huye ham ne jannat ka koi kaam kiya nahi farmaayega jannat me jaao,  halaf kiya hai keh jiska naam Ahmad ya Muhammad ho dozakh me na jaayega.
📒(Bahar e shari’at)

♻HADEES:- Huzur Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain keh Allah تعالى ne farmaya nujhe apne izzat o jalaal ki qasam jiska naam tumhare naam par hoga use azab na dunga.
📒(Abu Nuaim)

♻HADEES:- RasoolAll

ah صلى الله تعالى عليه وسلم  farmate hai tum me kisi ka kiya nuqsan hai agar uske ghar me 1 Muhammad ya 2 Muhammad ya 3 Muhammad ho.
📒(Ibn e sa’d)

♻HADEE:- Hazrat e Abdullah Ibn e Abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya jis ke 3 bete hon aur oh unmen se kisi ka naam Muhammad na rakhe to zaroor jaahil hai.
📒(Tibrani)

♻HADEES:- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya jab ladke ka naam Muhammad rakho to uski izzat karo aur majlis men uske liye jagah kushadah karo aur use buraai ki taraf nisbat na karo.
📒(Haakim)

♻HADEES :- Hazrat e Abu Raafe’ رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya jab ladke ka naam Muhammad rakho to use na maaro aur na mahroom karo.
📒(Bazzaz)

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Umar رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke Hazrat Umar رضى الله تعالى عنه ki 1 ladki ka naam Aasiya (عاصيه)  tha Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne uska naam Jameelah rakha.
📒(Muslim)

♻HADEES:- Hazrat e Aaisha رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  bure naamo ko badal dete.
📒(Tirmizi)

 

🍁MASAAIL E FIQHIYYAH🍁

🔹MASLAH:- Bachcha paida hone ke shukuriye me jo Jaanwar zabah kiya jaata hai us ko aqeeqah kahte hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jab bachcha paida ho to mustahab ye hai ke us ke kaan me azan o iqamat kahi jaaye azan kahne se إنْ شَــاءَاللّــهُ balaayen door ho jaayengi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Behtar ye hai ke daahine kaan men 4 martabah azan aur baayen kaan men 3 martabah iqamat kahi jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- 7wen din uska naam rakha jaaye aur uska sar munda jaaye aur sar mundne ke waqt aqeeqah kiya jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baalon ko wazan kar ke utni chaandi ya sona sadqa kiya jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Hindustan me amooman bachcha paida hone par chhatti ki jaati hai, baa’z logo me is mauqe par najayez rasmen barti jaati hain maslan aurato ka gana bajana aisi baaton se bachna aur unko chhorna zaroori o laazim hai balkeh musalmaano ko woh karna chahiye jo huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke qaul o fe’l se saabit hai. Aqeeqah se bahut zaaid rusoom men sarf kar dete hain aur aqeeqah nahin karte. Aqeeqah karen to sunnat bhi ada ho jaaye aur mihmano ko khilane ke liye gosht bhi ho jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aaj kal logon me yaum e paidaaish (birthday) manane ka bahut zor hai is mauqa par bhi bahut si najayez rasmen barti jaati hain maslan gana bajana wagairah is khas taqreeb men mom batti jalana,  taaliyan baja baja kar english zbaban men mubarakbaad dena ye sab chizen yahoodiyo o nasraaniyo ki rasmen hain hamen in sab se bachna zaroori hai.

🔹MASLAH:- Yaum e paidaaish (birthday) ke moqa par aisi taqreebaat jo manhiyyaat e shareeyyah se paak hon in me harj nahin maslan moulood shareef ki mahfil buzurgaan e deen ke name eesaal e sawab aur niyaz ki taqseem wagairah balkeh ye chizen baa’is e khair barakat hain aur nek o paakeezah zindagi ke liye nek faal hai.

🔹MASLAH:- Bachcha ka achcha naam rakha jaaye hindustan men bahut logo ke aise naam hai jinke kuchh ma’na nahi ya unke bure ma’na hain aise naamo se aiteraaz karen.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Ambiya e kiram عليه الصلوة و السلام
Ke asmaa e tayiibah aur sahaba o taab’een o buzurgaan e deen ke naam par naam rkhna behtar hai ummeed hai ke unki barkat bachche ke shamil haal ho.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Abdullah o Abdurrahman bahut achhe naam hai magar is zamane men aksar dekha jaata hai keh bajaae Abdurrahman us shakhs ko bahut se log rahman kahte hain aur gair e khuda ko rahman kahna haraam hai isi tarah Abdulkhaliq ko khaliq aur abduma’bud ko ma’bud kahte hain is qism ke naam me aisi najayez tarmeem hargiz na ki jaaye isi tarah bahut kasrat se naam me tasgeer ka riwaj hai yani naam ko is tarah bigaadte hain jis se hiqaarat nikalti hai aur aise namo me tasgeer hargiz na ki jaaye lihaza jahan ye guman ho ke naam me tasgeer ki jaayegi ye naam na rakhen jaayen dosre naam rakhe jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baa’z Asma e Ilahiyyah jinka itlaaq gairullah par jaayez hai unke saath naam rakhna jaayez hai jaise Ali, Kabeer, Rasheed, Badee’
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aisa naam rakhna jiska zikr na quran majeed me aaya ho na hadeeson me ho na musalmano mem aisa naam musta’mal ho is me ulama ko ikhtelaf hai,  behtar ye hai ke na rakhe.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Mara hua bachcha paida ho to uska naam rakhne ki haajat nahi bagair naam rakhe dafn kar den
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bachcha paida ho kar mar gaya to dafn se pahle uska naam rakha jaaye ladka ho to ladko ka sa aur ladki ho ladkiyo ka sa naam rakha jaaye aur maloom na ho saka keh ladka hai ya ladki to aisa name rakha jaaye jo mard o aurat dono ke liye ho sakta ho
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jo name bure ho unko badal kar achcha naam rakhna chahiye hadees me hai qiyamat ke din tum apne aur apne baapon ke naam se pukare jaaoge lihaza apne naame achhe rakho.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  Huzoor Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne bure naamo ko badal diya 1 shakhs ka naam “asram”  tha usko badal kar “zar’ah” rakha aur “aasiya” ( عاصيه) name ko badal kar jameela rakha yasaar, rabaah, aflah, barakat naam rakhne se bhi mana farmaya
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Abdul Mustafa,  Abdunnabi,  abdurrasool,  naam rakhna jaayez hai ke is nisbat ki sharaafat maqsood hai aur uboodiyyat ke haqeeqi ma’na yahan maqsood nahi hain.  Rahi abd ki izafat gairullah ki taraf ye quran o hadees se saabit hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:-Aise naam jin men tazkiyyah e nafs aur khudsataai nikalti hai unko bhi Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne badal daala “birrah“ ka name zainab rakha aur farmaya apne nafs ka tazkiyyah na karo
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Shamsuddin, zainuddin, muhiyyuddin,  fakhruddin,  naseeruddin,  sirajuddin,  nizamuddin,  qutbuddin, wagaiha asma jinke andar khud sataai aur badi zabardast ta’reef paai jati hai nahin rakhne chahiye   .  Raha ye keh buzurgaan e deen o aimma e saabiqeen ko in naam se yaad kiya jaata hai to ye jaanna chaahiye keh un hazraat ke naam ye na the balkeh ye unke alqaab hain keh jab oh hazraat maraatib e aaliya o manaasib e jaleelah par faaiz huye to musalmano ne unko is tarah kaha
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gulam ahmad,  gulam rasool, gulam faarooq, gulam ali,  gulam hasan, gulam husain, wagiraha asma jin men ambiya o sahaba o auliya ke namo ki taraf gulam ko izafat kar ke name rakha jaaye ye jaayez hai,  is ke adam e jawaz ki koi wajah nahin,  ba’z  wahabiyya ka in namo ko naajaayez balkeh shirk batana unki bad baatini ki daleel hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  Muhammad bakhsh,  ahmad bakhsh,  nabi bakhsh, peer bakhsh,  ali bakhsh,  husain bakhsh  aur isi qism ke dosre name jin men kisi nabi ya wali ke name ke saath bakhsh ka lafz mila kar rakha gaya ho jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gafooruddin,  gafoorullah, name rakhna naajaayez kiyon keh gafoor ka ma’na hai mitane wala,  Allah تعالى gafoor hai keh oh bando ke  gunaah  mita deta hai lihaza gagooruddin ke ma’na huye deen ke mitane wala
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Taaha,  yaaseen,  naam bhi na rakhe jaayen ke ye muqatta’aat e quraniya se hai jinke ma’na maloom nahin zaahir ye hai keh ye asmaa e nabi صلى الله تعالى عليه وسلم se hain aur ba’z ulama ise asma e ilahiyyah se kaha. Baharhaal jab ma’na maloom nahin to ho sakta hai ke is ke aise ma’na hon jo Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ya Allah تعالى ke saath khas hon  .  Aur in naamo ke saath Muhammad mila kar muhammad
taaha, muhammad yaaseen kahna bhi muman’at ko daf’a na karega
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Muhammad nabi, ahmad nabi,  muhammad rasool,  ahmad rasool,  nabiyuzzaman name rakhna bhi naajaayez hai balkeh ba’z name nabiyyullah  bhi suna gaya hai  . Gair e nabi ko nabi kahna hargiz hargiz jaayez nahin ho sakta
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  Muhammad bada piyara naam hai is naam ki badi ta’reef hadeeso me aai hai agar tasgeer ka andesha na ho to ye naam rakha jaaye aur ek soorat ye hai keh

aqeeqah ka ye naam ho aur pukarne ke liye koi dosra name tajweez kar liya jaaye aur hindustaan
men aisa bahut hota hai keh ek shakhs ke kai name hote hain is soorat men name ki barakat bhi hogi aur tasgeer se bhi bach jaayenge
📒(Bahar e shari’at)

TAMBEEH
Aaj kal musalmano men aise naam raaij ho gaye hain jinka koi matlab nahin yunhi fussaq o fujjar ke naam par apne bachcho ka name rakhte hain aise naamo se bhi bachna chahiye aur aisa name rakhna chahiye jo bama’na aur bihtar ho

🔹MASLAH:-  Aqeeqah ke liye 7waan din bihtar hai aur 7wen din na karen to jab chahen kar sakte hain sunnat ada ho jaayegi
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  Ba’z ne kaha Hai keh 7wen din ya 14wen din ya 21wen din yani 7 din ka lihaz rakha jaaye ye bihtar hai aur yaad na rahe to ye kare keh jis din bachcha paida hua us din ko yaad rakhen us se 1 din pahle wala din jab aaye to oh 7waan din hoga  .  Maslan juma ko paida hua to jumeraat 7waan din aur saneechar ko paida hua to juma 7waan din hoga  Pahli soorat me jis jumeraat ko aur dosri soorat me jis juma ko aqeeqah karega us men 7wen din ka hisaab zaroor aayega
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Ladke ke aqeeqah me 2 bakre aur ladki men 1 bakri zabah ki jaaye ladke men narr Jaanwar aur ladki men maadah munasib hai aur ladke ke aqeeqah men bakriyaan aur ladki men bakra kiya jab bhi harj nahin
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aqeeqah me gaaye zabah ki jaaye to ladke ke liye 2 aur ladki ke liye 1 hissa kaafi hai yani 7 hisso men 2 hisse ya 1 hissa
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  gaaye ki Qurbaani hui us men aqeeqah ki shirkat ho sakti hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  bachcha ka sar mundne ke ba’d sar par za’fraan pees kar laga dena behtar hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  aqeeqah ka Jaanwar unhi sharaait ke saath hona chahiye jaisa Qurbaani ke liye hota hai us ka gosht fuqara aur azeez o qareeb o dost o ahbaab ko kachcha taqseem kar diya jaaye ya  paka kar diya jaaye ya unko bataur ziyaafat o dawat khila jaaye ye sab sooraten jaayez hain
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  bihtar ye hai keh uski haddi na todi jaaye balkeh haddiyo par se gosht utaar liya jaaye ye bachcha ki salamati ki nek faal hai aur haddi tod kar gosht banaya jaaye is men bhi harj nahin
(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  gosht ko jis tarah chahen paka sakte hain magar meetha pakaya jaaye to bachcha ke akhlaaq achhe hone ki faal hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  ba’z ka ye qaul hai keh siri paaye hajaam ko aur 1 raan daai ko den baaqi gosht ke 3 hisse karen,  1 hissa fuqara ka 1 ahbaab ka aur 1 hissa ghar wale khaayen
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  kul gosht ghar ke liye rakh liya to is men bhi harj nahin.

🔹MASLAH:::  awam men ye bahut mashhoor hai keh aqeeqah ka gosht bachche ke maan baap,  dadi, dada, nani, nana na khayen , ye mahaz galat hai iska koi suboot nahin
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  ladke ke aqeeqah men 2 bakriyo ki jagah 1 hi bakri kisi ne  ki to ye bhi jaayez hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  ba’z log shadi wagairah ke moqa par gaaye ya bakriyaan gosht ke liye zabah karte hain to us men aqeeqah ki niyyat bhi kar lete hain is men harj nahin aur jin logo ki taraf se aqeeqah kiya unki taraf se aqeeqah ki sunnat ada ho jaayegi .

🔹MASLAH: Baa’z ka wahi hukm hai jo Qurbaani ki khaal ka hai apne sarf mem laaye ya masakeen ko de ya kisi aur nek kaam masjid ya madarsa men sarf kare.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:::  Aqeeqah men Jaanwar zabah karte waqt ek dua padhi jaati hai use padh sakte hain aur yaad na ho to bagair padhe bhi zabah karne aqeeqah ho jaayega.
📒(Bahar e shari’at)

🍁DUAA E AQEEQAH🍁

LADKE KI DUA

“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ ابْنِىْ فُلَاں”
( fulaan ki jagah bete ka name le agar dosre ka ladka ho to ibni fulaan ki jagah ladke aur us ke baap ka name le)
دَمُهَا بِدَمِهِ وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهِ وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهِ وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِهِ وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهِ وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهِ  اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّابْنِى فلاں ‌
(Is jagah bhi fulaan ki bajaaye bete ka name le aur agar dosre ka aqeeqah kare

to “لِ” ke ba’d uska aur uske baap ka name le)

مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهُ كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء  إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر
Kah kar zabah kar de

LADKI KI DUA

“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ بْنِتِىْ فُلَانه”
( fulaanah ki jagah apni beti ka name le agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to binti fulaanah ki jagah ladki aur us ke baap ka name le)
دَمُهَا بِدَمِهَا وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهَا وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهَا وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِها وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهَا وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهَا  اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّبِنِْتى فلانه ‌
( is jagah bhi fulanah ki bajaaye beti ka name le aur agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to “لِ” ke ba’d ladki aur us ke baap ka name le)

مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهَا كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء  إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر
Kah kar zabah kar de

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁EIDAIN KI NAMAZ KA BAYAAN🍁

Allah Azza o Jalla Farmta hai

وَلِتُكْمِلُوا۟ ٱلْعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُوا۟ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمْ
Rozo ki ginti poori karo aur Allah ki badaai bolo ke us ne tumhen hidayat farmaai.
📒(2-Al-Baqara : 185)

Aur farmata hai
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَٱنْحَرْ
Apne rab ke liye namaz padh aur Qurbaani kar

📒(108-Al-Kawthar : 2)

🍁AHADEES🍁

♻HADEES:- Hazarat Abu Umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم  farmate hai ke jo eidain ki raaton me qiyam (ibadat ) kare uska dil na marega jis din logo ke din marenge
📒(Ibn e Maajah)

♻HADEES:- Hazrat Buridah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم eidul fitr ke din kuchh kha kar namaz ke liye tashreef le jaate aur eidul azha ko na khate jab tak namaz na padh lete…

♻HADEES: Hazrat e Abu Hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh eid ko ek raaste se tashreef le jaate aur dosre se wapas hote.
📒(Tirmizi/Daarimi)

♻HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh Huzoor Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne eid ki namaz 2 rakat padhi na us ke qabl namaz padhi aur na us ke baa’d.
📒(Bukhari / Muslim)

♻HADEES:- Hazrat Jaabir Bin Samurah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hai main ne Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ke saath eid ki namaz padhi ek do martabah nahi (balke baarha) na azaan hui na iqamat.
📒(Muslim)

🍁MASAAIL E FIQHIYYAH🍁

Eidain ki namaz wajib hai magar sab par nahi balke unhi par jin par juma wajib hai aur iski ada ki wahi sharten hain jo juma ke liye hain sirf itna farq hai keh juma men khutba shart hai aur eidain men sunnat agar juma men khutba na padha to juma na hua aur is men na padha to namaz ho gayi magar bura kiya dosra farq ye hai keh juma ka khutba qabl e namza hai aur eidain ka ba’d e namaz agar pahle padh liya to bura kiya magar namaz ho gayi lautaai nahin jaayegi aur khutba ka bhi i’aadah nahin aur eidain men na azan hai na iqamat sirf 2 baar itna kahne ki ijazat hai
اَلصَّلٰوةُ جَامِعَة
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Bila wajah eidain ki namaz chhodna gumrahi o bid’at hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Gaaun me eid ki namaz padhna makrooh tahreemi hai.
📒(Bahar e shari’at)

🍁ROZ E EID KE MUSTAHABBAAT🍁

EID Ke din ye umoor mustahab hain.

1) Hajamat Banwana

2) Naakhun Tarashwana

3) Gusl Karna

4) Miswak Karna

5) Achhe kapde pahanna,  naya ho to naya warna dhula hua.

6) Angoothi Pahanna

7) Khushboo Lagana

8) Subah ki namaz masjid muhallah men padhna.

9) Eid gaah jald jaana

10) Namaz se pahle sadqa e fitr ada karna

11) Eid gaah ko paidal jaana

12) Dusre raaste se wapas aana

13) Eidul fitr ki namaz ko jaane se peshtar (pahle) chand khujooren kha lena 3, 5, 7, ya kam o besh magar taaq ho,  khujooren na ho to koi mithi chiz khaayen,  namaz se pahle kuchh na khaya to gunahgaar na hua magar isha tak na khaya to itaab kiya jaayega.

14) Khushi Zaahir karna

15) Kasrat se adqa dena

16) Eidgaah ko itminaan o waqaar aur neechi nigaah kiye jaana

17) Aapas me mubarak baad dena mustahab hai Aur raaste me buland aawaaz se takbeer na kahe.

📒(Bahar e shari’at)

🍁EIDAIN KI NAMAZ KA WAQT🍁

🔹MASLAH:-Namaz ka waqt baqadr e ek nezah aaftaab buland hone se zahw e kubra yani nisfunnihaar shar’ee tak hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Eidul fitr me der karna aur eidul azha me jald padh lena mustahab hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Salam pherne ke pahle zawal ho gaya to namaz jaati rahi.
📒(Bahar e shari’at)

🍁EIDAIN KI NAMAZ KA TAREEQA🍁

Namaz e eaid ka tareeqa ye hai keh 2 rakat wajib eidu fitr ya eidulazha ki niyyat kar ke kaano tak haath uthaaye aur Allahu Akbar kahta hua haath baandh le phir sana padhe phir kaano tak haath uthaye aur Allahu Akbar kahta hua haath chhod de phir haath uthaye aur Allahu Akbar keh kar haath chhod de aur phir haat uthaye aur Allahu Akbar kah kar haath baandh le yani pahli takbeer men haath baandhe iske  baa’d 2 takbeero me haath latkaaye aur 4thi takbeer me baandh le phir imam اعوذ aur بسم الله aahista padh kar jahar ke saath alhamd o soorat padhe phir ruku kare aur dosri rakat mem pahle alhamd o soorat padhe phir 3 baar kaano tak haath le jaa kar Allahu Akbar kahe aur haath na baandhe aur 4thi baar bagair haath uthaye Allah Akbar kahta hua ruku men jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Eidain me zaaid takbeeren 6 hui 3 pahli qirat se pahle aur takbeer tahreema ke ba’d aur 3 dosri men qirat ke baa’d aur takbeer e ruku se pahle aur in me se har takbeer me haath uthaaye jaayenge aur har 2 takbeero ke darmiyan 3 tasbeeh ki qadr sakta karen.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Ye 6 takbeeren wajib hain yunhi dosri rakat ki takbeer e ruku bhi wajib hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam 6 takbeero se ziyadah kahe to muqtadi bhi imam ki pairwi kare magar 13 se ziyadah me imam ki pairwi nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Pahli rakat me imam ke takbeer kahne ke baa’d muqtadi shamil hua to usi waqt 3 takbeeren kah le agarche imam ne qirat shuru kar di ho aur 3 hi kahe agarche imam ne 3 se ziyadah kahi ho.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar us ne (muqtadi ne) takbeeren na kahi ke imam ruku me chala gaya to khade khade na kahe balke imam ke saath ruku me jaaye aur ruku men takbeer kah le.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam ko ruku me paaya aur gaalib gumaan hai ke takbeeren kah kar imam ko ruku men paa lega to khade khade takbeeren kahe phir ruku me jaaye warna Allahu Akbar kah kar ruku men jaaye aur ruku men takbeeren kahe phir agar usne ruku men takbeeren poori na ki thi ke imam ne sar utha liya to baaqi saaqit ho gayi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam ke ruku se uthne ke baa’d shamil hua to ab takbeeren na kahe balke jab apni padhe us waqt kahe.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Ruku men jahan takbeer kahna bataya gaya us mem haath na uthaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Agar dosri rakat me shamil hua to pahli rakat ki takbeeren ab na kahe balke jab apni faut shudah padhne khada ho us waqt kahe aur dosri rakat ki takbeeren agar imam ke saath paa jaaye to fabiha warna is men bhi wahi tafseel hai jo pahli rakat ke baare me mazkoor hui.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam takbeer kahna bhool gaya aur ruku men chala gaya to qiyam ki taraf na laute na ruku mem takbeer kahe.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Pahli rakat me imam takbeeren bhool gaya aur qirat shuru kar di to qirat ke baa’d kah le ya ruku men, aur qirat ka i’aadah na kare.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam takbeeraat e zawaaid me haath na uthaye to muqtadi uski pairwi na kare balkeh haath uthaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Namaz ke baa’d imam 2 khutbe padhe aur khutba e juma me jo chizen sunnat hain is me bhi sunnat hain aur jo wahan makrooh hai yaha bhi makrooh hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam ne namaz padh li aur koi shakhs baaqi rah gaya khwah woh shamil hi na hua tha ya shamil to hua magar uski namaz faasid ho gayi to agar dosri jagah mil jaaye padh le warna nahi padh sakta haan behtar ye hai ke ye shakhs 4 rakat chaasth ki namaz padhe.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH: Eidulazha tamam ahkaam me eidulfitr ki tarah hai sirf baa’z baaton mem faraq hai is me mustahab ye hai ke namaz se pahle kuchh na khaye agarcheh Qurbaani na kare aur kha liya to karahat nahi aur raaste me buland aawaaz se takbeer kahta jaaye.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jo chizen namaz me haraam hai maslan khana peena salam o jawab e salam wagairah ye sab khutba ki haalat mem bhi haraam hain.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jab khutba padhe to tamam haazireen par sunna aur chup rahna farz
hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Jo log imam se door ho ke khutba ki aawaaz un tak nahi pahunchti unhen bhi chup rahna wajib hai agar kisi ko buri baat karte dekhen to haath ya sar ke ishare se mana kar sakte hain zaban se naa jaayez hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Huzur e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ka naame paak khateeb ne liya to haazireen dil me durood shareef padhen zaban se padhne ki us waqt ijazat nahi.
📒(Bahar e sh

ari’at)

🔹MASLAH:- Yunhi sahba e kiram ke zikr par us waqt رضى الله تعالى عنهم  zaban se kahne ki ijazat nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baa’d namaz eid musafaha o mu’aanqah karna jaise umooman musalmano me raaij hai behtar hai, ke is me izhaar e musarrat hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Baa’z log mu’aanqa e eid se mana karte hain iski koi asl nahi balke ahadees kareema se mu’aanqah saabit hai tafseel ke liye Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza fazil e barelvi رضى الله تعالى عنه ka risala mubaraka
” وشاح الجيد فى تحليل معانقة العيد ”
Ka mutala karen.

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁TAKBEER TASHREEQ KE MASAAIL🍁

📒MASLAH:- 9wen zilhijjah ki fajar se 13wen ki asar tak har namaz e panjgaana ke ba’d jo jamat e mustahabbah ke saath ada ki gayi 1 baar takbeer baland aawaaz se kahna wajib hai aur 3 baar afzal
ise takbeer e tashreeq kahte hain oh ye hain
اَللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَاللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ وَلِلّٰهِ الْحَمْدُ
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Takbeer e tashreeq salam pherne ke baa’d fauran wajib hai yani jab tak koi aisa fe’l na kiya ho ke us namaz par bina na kar sake agar masjid se baahar ho gaya ya qasdan (jaan boojh kar)  wazu tod diya ya kalam kiya agarcheh sahwan to takbeer saaqit ho gayi aur bila qasd wazu toot gaya to kah le.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Takbeer tashreeq us par wajib hai jo shahar men muqeem ho ye jis ne uski iqteda ki.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Nafl o sunnat o witr ke Baa’d takbeer wajib nahi juma ke ba’d wajib hai aur namaz e eid ke baa’d bhi kah le.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho) par takbeer wajib hai magar jab khud salam phere us waqt kahe aur imam ke saath kah li to namaz faasid na hui aur namaz khatm karne ke baa’d takbeer ka i’aadah bhi nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aur dino men namaz qaza ho gayi thi ayyam e tashreeq men uski qaza padhi to takbeer wajib nahin yunhi in dino ki namazen aur dino men padhi jab bhi wajib nahi.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Munfarid (tanha bagair jamat se  namaz padhne wala) par takbeer wajib nahi magar munfarid bhi kah le ke saahibain ke nazdeek us par bhi wajib hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Imam ne takbeer na kaha jab bhi muqtadiyo par wajib hai.
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Aurato par takbeer tashreeq wajib nahi.
📒(Bahar e shari’at)

Isi tarah musafir par bhi wajib nahi.

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳
*خطيب و امام*
غريب نواز مسجد، ماهم شريف.

📝 *Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi*
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
50/ New Qazi Street Mumbai 400003.
*Khatib O Imam*
Gharib Nawaz Masjid, Mahim Sharif.

 

🍁QURBAANI KA TAREEQA🍁

♻HADEES :- Hazrat e Jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke Nabi Kareen صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe singh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ

وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat men hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahin ki
📒(Abu daaud / Ibn e Maajah)

♻HADEES :- Hazrat Anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareem
صلى الله تعالى عليه وسلم
Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha,  kahte hain main ne huzur ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha.
📒(Bukhari / Muslim)

🔹MASLAH:- Ye shubah ke ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani abu burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana’at kar di isi tarah is men khud huzur ki khususiyyat hai
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den yani bhooka piyasa zabah na karen aur ek ke saamne dosre ko zabah na karen aur pahle se chhuri tez kar len aisa na ho keh Jaanwar girane ke ba’d uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayen pahlu par is tarah litaayen keh qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Ise padh kar zabah kar de Qurbaani apni taraf se ho to zabah ke ba’d ye dua padhe

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّىْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰه تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ

Is tarah zabah kare keh chaaro ragen kat jaayen ya kam se kam 3 ragen kat jaayen is se ziyadah na kaaten keh chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye keh ye be wajah ki takleef hai phir jab tak Jaanwar  thanda na ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul na nkkal jaaye uske paaun wagairah na kaate na khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to  مِنِّىْ ki jagah مِن Ke ba’d uska name le aur agar  oh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye,  oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem na karen
📒(Bahar e shari’at)

🔹MASLAH:- Qurbaani karne wala baqra’eed ke din  sab se pahle Qurbaani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz na khaye ye mustahab hai
📒(Bahar e shari’at)

✳FAAIDAH:- Ahadees se saabit hai keh saiyyid e aalam صلى الله تعالى عليه وسلم ne is ummat e marhooma ki taraf se Qurbaani ki ye huzur ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai keh is moqa par bhi ummat ka khiyaal farmaya aur jo log Qurbaani na kar sake unki taraf se khud hi Qurbaani ada farmaai jab huzur ne ummat ki taraf se khud Qurbaani ki to jo musalman saahib e isteta’at ho agar huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke name ki ek Qurbaani kare to zahe naseeb aur bihtar sing wala mendha hai jis ki siyaahi men safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe k
e khud huzur akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne Qurbaani farmaai
📒(Bahar e shari’at)

📚 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

📝 *مفتى دلشاد احمد القـــادری رضوي*
خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء
۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳

Do Follow Us On Instagram For More Islamic Posts:

https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDc4ODBmNjlmNQ==

 

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy