Qur’ane paak ki tarteeb aur us ka jama hona – Aao Qurane Paak Samjhe

Qur’an E paak ki tarteeb aur us ka jama hona

Qur’an E paak loh e mehfooz main likha huwa thaa. Qur’an E kareem farmata hai. قًُرآنٌ مَجّيدَ فِى لَوحِ محفُوظٍ phir waha se pehle asmaan per laaya gaya. Phir waha se 23 saal main ahista ahista HUZUR ALEHE SALAM per nazil hota raha. Magar nazil hona aur likhe huwe ki tarteeb ke jaisa nahi thaa. Kiyo ki yeh nazool bando ki zarorat ke mutabik hota thaa. Jis ayat ki zarorat huwi wohi aagayi.misal ke taur per agar awwal sharab ke haram hone ki ayate utar aati tu yaqeenan arab ke naye musalmano ko dushwari waqia hoti kiyo ki waha aam taur per sharab pi jati thi. Isi tarha saare ehkaam ko samjh lo.

Lekin chunki HUZUR ALEHE SALAM ki nigah paak loh e mehfooz per thi. Is liye AAP har ayat ke nazool ke waqt us ki tarteeb se jama karwa dete is tarha jo hadrat kaatib e wahi muqarrar they unhe farma dete ki falah ayat falah sureh main falah ayat ke baad rakho. Aur yeh tarteeb loh e mehfooz ki tarteeb ke muwafiq thi. Aur tareeqa us waqt yeh thaa ki hadrat zed bin sabit w deegar sahaba radi Allah anhu ajmaeen is khidmat ko anjam dene ke liye muqarir they.

Tasfeer Naeemi jild 1 page no 11.

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy