🔖Waqia Qurbaani Kya Hai? …..
📋Hiqayat :
🔪Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ek Raat Khwab Dekha Ki Koi Shakhs Gaib Se Aawaz Deta Hai Kehta Hai Ki,
🔪“Aye Ibrahim…!
Tumhe Khuda Ka Huqm Hai Ki Apne Bete Ko Raah-e-Khuda Me Zibaah
Kardo”
🔪Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur
“WAHI” Ki Qism Se Hota Hai Isliye Aap
Apne Mehboob Bete Hazrat Ismail (Alaihay
Salam) Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Qurbaan
Karne Ko Taiyyar Ho
Gaye.
🔪Chunki,
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Abhi
Kam-Umr The, Isliye Aapne Unse Sirf ItnaKaha Ki Beta Rassi Aur Ek Churi Le Kar Mere Sath Chalo.
🔪Chunanche Apne Bete Ko Leker Aap Ek Jungal Me Pahunche…
🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Pucha,
Abbajaan!
Aap Yeh Churi Aur Rassi Le kar
Kyun Chalte Hain? Farmaaya “Aage Chal Kar Ek Qurbani Zabaah
Karenge” Phir Aage Chal kar
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saaf-Saaf Bayaan Farmaa Diya…
🔪Aur Kaha,
“Beta!
Main Allah Ta’ala Ki Raah Me
Tumhe Hi Zabaah Karne Aaya Hun,
Maine Khwaab Me Dekha Hai
Ki Tumhe Zabaah Kar Raha Hoon”.
Beta! Yeh Allah Ta’ala
Ki Marzi Hai, Bata Tumhari Marzi Kya
Hai ?”
🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya,
“Abbajaan!
Jab Allah Ta’ala Ki Marzi Yahi Hai
Toh Phir Meri Marzi Ka Kya Sawaal? Aapko Jis Baat Ka Huqm Hua Hai, Aap Woh Kijiye! Insha- Allah Main Sabr Karke Dikhaounga…”!
🔪Bete Ka Yeh Zurrat Aamez Jawaab Sun Kar Hazrat Ibrahim (AlaihaySalam) Bade Khush
Hue Aur Apne Bete Ko Allah Ta’ala Ki Raah Me Zibaah Karne Par Taiyyar Ho gaye!
🔪Jab Aapne Apne Bete Ko Maathe Ke Bal
Litaaya Aur Gardhan Par Churi Rakhi Aur Use
Chalaya Toh Churi Ne Gardhan-A-Ismail Ko
Bilkul Na Kaata!
🔪Aapne Aur Jorse Churi Chalayi Toh Awaaz Aayi, “Bas Aye Ibraahim!
Tum Huqm-e-Iaahi Ki Taamil Kar Chuke Aur
Iss Sakht Imtihaan Me
Khare Utre…”!
🔪Aapne Mud Kar Dekha Toh Ek Doomba Paas
Hi Khada Tha Aur Aapse Keh Raha Tha Ki Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ki Jagah Mujhe Zabaah Kijiye!
Aur Inhen Hataa Dijiye, Chunanche
Hazrat Ibrahim (Alaihay
Salam) Ne Uss Doombe Ko Zibaah Farma Diya..!
🔪Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Uth Baithe Aur
Iss Imtihaan Me Kaamyaab Ho gaye!
📚(Al-Quran : Para-23,
Kutub-A-Tafasir)
📋QURBANI EK MAALI IBADAT HAI JO GHANI PAR WAJIB HAI KHAAS JANWAR KO KHAAS DIN ME ALLAH KE LIYE SAWAB KI NIYYAT SE ZIBAH KARNA KURBANI HAI JO MUSALMAN MUQEEM, MALIKE NISAB, AAZAD PAR WAJIB HAI…
🔖MAS’ALA No:- 01.
🔪Jis Trag Qurbani Mard Par Wajib hai Usi Trah Aurat par bhi Wajib hai….
🔖MAS’ALA No:- 02
🔪Musafir Par Qurbani Wajib Nahi Lekin Agar Nafil ke Tor par Kare to Kar sakta hai Sawab Paega…
🔖MAS’ALA No:- 03
🔪Malike Nisab Hone se Muraad Itna Maal hona Hai Jitna Maal Hone se Sadqa E Fitr Wajib Hota hai!
Yani Hajate Asliya Ke Alawa 200 Dirham(52.5 TOLA CHANDI) Ya 20 Dinar(7.5 TOLA GOLD) Ka Malik ho….
🔖MAS’ALA No:- 04
🔪Jo Saksh Malike Nisab Ya Hajat Ke Siwa Kisi Esi Cheez ka Malik ho Jiski Qeemat 200 Dirham ho To Wo Ghani Hai Uspar Qurbani Wajib hai…
🔖QURBANI KA WAQT:-
🔪10Vi Zulhijja ki Subha Sadik Se 12 vi Ke Gurub-e-Aftab Tak Yani 3 din Aur 2 Rate Lekin 10vi Sab Me Afzal hai fir 11 vi Fir 12 vi….
🔖MAS’ALA No:- 05
🔪Shehar Me Qurbani Ki Jae To Shart Ye hai Ki Namaz-E-Eid Ke Bad Ho Aur Dehat me Chunki Namaz Eid Nahi Isi Liye Subha Sadik Se ho Sakti hai….
🔖MAS’ALA No:- 06
🔪Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Hi Karni Lazim hai Itni Qeemat Ya Itni Qeemat Ka Janwar Sadqa Karne se Wajib Ada na hoga….
📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 242/243)
🔖MAS’ALA No:- 07.
🔪Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Bad Kurbani Fout ho Gai Ab Nahi Ho Sakti Lihaza Agar koi Janwar Qurbani ke Liye Kharid Rakha hai To Usko Sadka Kare Warna Ek Bakri Ki Qeemat Sadqa Kare….
🔖MAS’ALA No:- 08.
🔪Jab Qurbani ki Sharte Pai Jae (Jinka Aage Bayan Aaya) To Ek Bakri Ya Bhed Ka Jibah Karna Ya Ount, Gaay, Bhens, Ka 7va Hissa Wajib hai, Isse Kum Nahi Ho Sakta Yaha Tak ki Agar Kisi Sharik ka Hissa 7ve Se Kum Hai to Kisi ki Qurbani Sahi Nahi hogi Haan 7 Se Kum Sharik ho Aur Hisse Bhi Kum Wa Besh Ho Lekin Kisi Ka Hissa 7ve se Kum na ho To Zaiz hai….
🔖MAS’ALA No:- 09.
🔪Qurbani Ke Sab Shariko Ki Niyyat Sirf Sawab Pane Honi Chahiye Khali Gosht Hasil Karna Na ho Lihaza Aqeeqa Karne Wala Sharik Ho Sakta ho
(Ki Aqeeqa Bhi Takarrub ki Ek Surat hai)
🔖QURBANI KA TAREEKA :-
🔪Qurbani Ke Janwar Ko Zibah Karne Se Pehle Chara(GHANS) Aur Pani De De Pehle se Churi Tezz Kar le Lekin Janwar ke Samne Na Kare Janwar ko Baye Pehlu Par Is Trah Letaye Ki Qibla Ki Taraf Uska Munh ho Jae Aur Zibah Karne Wala Apna Dahina Per uske Pehlu Par Rakh kar Tez Churi Se Jald Zibah Kar de Aur Zubah se Pehle Dua Padhe…..
🔪Dua Khatm Karte hi Churi Chala De Zibah Me Charo Raghe Kate Ya kum Se Kum 3 Isse Jyada Na Kate Churi Muhre Tak Pahoch Jae Ki Ye Be Wajah ki Taklif hai Janwar Thanda Hone Par Per(Legs) Kate Khaal Utare Aur Agar Mushtarak Janwar Ho Jese Gaay, Ount, Bhens, To Fala Ki Jagah Sab Shariko Ke Naam Le….
📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 243/244)
🔖MAS’ALA No:- 10
🔪Agar Dusre Se Zibah Karvae To Behter hai ki Khud bhi Hazir Rahe Gosht Aur Khaal Agar Janwar Bada hai To Gosht Tol Kar(Wazan Karke)Takseem Kare Atkal Se Na Bate Ki Agar Kisi ko Jyada Pahoch Gaya To Dusre ke Maaf Karne Se bhi Zaiz Na hoga Ki Haq e Shara hai….
🔪Fir Apne Hisse Ke 3 Hisse Karke 1 Hissa Faqeero ko De de Aur 1 Hissa Dost Ahbab Aur Azeezo ko De Aur Ek Hissa Apne Ghar Walo ke liye Rakhe Khud bhi Khaye Bal Baccho ko bhi Khilae Agar Ghar Wale Zyada ho To Kul Ghar Sarf me La Sakta hai Aur Kul Sadqa bhi Kar Sakta hai Agarche Ek Hissa Apne liye Behter hai…
🔖MAS’ALA No:- 11.
🔪Agar Maiyyat Ki Taraf se Qurbani Ki to Uske Gosht Ka bhi Yahi Huqm hai Albatta Agar Maiyyat Ne Kaha tha ki Meri Taraf se Kurbani Kar dena To Is Surat me Kul Gosht Sadqa Kar de….
🔖MAS’ALA No:- 12.
🔪Qurbani Agar Mayyat Ki hai To Uska Gosht Na Khud Kha Sakte hai Na Ghani Ko Khila Sakta hai Balki Usko Sadqa Kar dena Wajib hai…
🔖MAS’ALA No:- 13.
🔪Qurbani Karne Wala Bakri Eid ke Din Sabse Pehle Kurbani Ka Gosht Khae Ye Mustahab hai…
🔖MAS’ALA No:- 14.
🔪Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Na de
(Ki Yaha Ke Kuffar Harbi hai)
📚(Qanoon-E-Shriyat- Page No- 244)
🔖QURBAANI KARNE KI FAZILAT……
🔪Huzur sallallahu alayhi waalihi wasallam farmate hai k…
🔪Qurbaani karnewale ko Qurbani k Jaanwar k har baal k badle me Ek Neki Milti hai…
🔪Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi…
🔪Aey Fatema…
Apni Qurbaani k paas Maujood Raho kyun k us k khoon ka pehla Qatra girega to Tumhare sare gunah maaf kar diye jaayenge…
🔪Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari Eidgaah k Qariib na aaye…….
🔖QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB HAI TO……
🔪Agar kisi par Qurbaani Waajib hai Aur us Waqt us k paas Rupye nahi to udhaar lekar ya koi chiz bech kar k Qurbaani kare…
📘(Fatawa-E-Amjadiya-Jild,3, Safa,315)
🔪Hazrate Ahmed bin Ishaaq Rehmatullah alahi kehte hain k…
Mera aik gharib bhai tha
Gharib tha fir bhi Allah ki Raza k liye Qurbaani karta tha..
🔪Uske marne k bad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai
mene dekha k Mera bhai Ek ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai mene poocha k Allah ki baargah me tera kya maamla raha
to wo bola k…
🔪Ek budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya To mene poocha k ye sab ghode ?
To kehne laga k…
🔪Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai…
To mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k…
JANNAT ki taraf..
Aur meri nazron se gayab ho gaya……
🔪Ye to nafli Qurbaani ka ajar o sawaab hai Waajib ka aur zyada sawaab hoga Aur Ek dusra pehlu ye bhi pata chala ki Jo log waajib hone k bad bhi Qurbaani nahi karte un k liye bhi is mein ibrat O raghbat hai Ke Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain…..
📓(DURRATUN NAASIHIIN)
📔(TIRMIZI)
📒(AL MO JAMUL KABIR)
(AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI..)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
QURBAANI PULSIRAAT KI SAWARI….
✅Hadees:-
🔪Aaqa…
Sallallahu alyhi waalihi wasallam…
Farmate hai k…
🔪Baqra Eid k din Insaan aysi koi neki nahi karta jo Allah ko khoon bahaane se zyada
( Qurbaani karne se ) pyaari ho..
🔪Ye Qurbaani qayaamat me apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k sath aayegi..
🔪Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se
( shokh se ) karo..
🔪 Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi…
Alayhirrahman…
Farmate hai Ke…
🔪Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga..
🔪Mulla Ali Qari Alayhirrahma
Farmate hai ke.Fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala Aasaani se pulsirat se guzrega or us ka har uzwa Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega……
📚(MIRQAATUL MAFAATIH)
NAAKHUN OR BAAL KATWAANA
✅Hadees:-
🔪Aaqa Sallallahu alayhi wasaala Farmate hai k…
🔪Jab Baqra Eid k mahine ka pehla Ashrah aa jaaye ( pehle 10 din ) or…jo koi Qurbaani karna chaahe to apne baal or khaal ko bilkul haath na lagaaye..(Na kaate )
🔪Is hadis ki sharah mein Mufti Ahmed Yaarkhan Naimi Alayhirrehma farmate hai…
🔪Matlb…
Jo maaldaar ( waajib ) or gharib
( nafl ) Qurbaani ka iraada kare wo ZULHIJJAH ka chaand dekhne se Qurbaani karne tak Naakhun..
Baal..
Apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye ta k haajiyon ki thodi naqal ho jaye k haaji ahraam me hajaamt nahi kara sakte…
🔪Aur Dusri baat ye k jis Qadar baal zyada or naakhun hai wo Qurbaani ka fidiya ban jaye
( jahannam se aazaadi ka )
🔪Ye hukm MUSTAHAB hai WAAJIB nahi….
Agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi or aysa karne se Qurbaani me bhi koi khalal nahi aata Qurbaani ho jati hai Na tarashe to behtar hai zaruri nahi…
🔪Aur Aage fir frmate hai…
Jo Qurbaani na kar sake wo bhi in 10 dino me hajaamat na karaye…baqra eid k din namaaze eid ke bad karaaye to InshaAllah Qurbaani ka sawaab payega.
📚(MIR ATUL MANAAJIH…
Jild..2 safa…38 )
🔪Yaad rahe 40 din k andar andar naakhun taraashna..
Baghlon k baal saaf karna..
Naaf ( dhooti ) k niche k baal saaf karna zaruri hai 40 din se zyada der karna gunah hai…..
🔪Sayedi sarkaare AalaHazrat Alyhirrehman Frmate hai..
Ye hukm e mustahab hai ( na taraashna na kaatna ) kare to behtar na kare to koi muzaayqa nahi or na ye naa farmaani hai na isse Qurbaani me koi khaami aayegi…
🔪Haan agar kisine 31 din se na taraashe ho or chaand ho gaya to is ( na taraashna ) mustahab amal k liye gunah nahi karna chahiye…
🔪Ab 31 din k bad nahi taraashega baqra eid tak 41 din ho jayenge or ye gunah hai…
🔪Mustahab kaam k liye gunah nahi karna chaahiye…
Is liye aysi haalaat me taraashna zaruri hai…gunah se bachne k liye…
📚(FATAWA RAZWIYAH-Jild 20
Safa 353-54)
🔖QURBAANI dusre ki or Naabaaligh ki…..
🔪Kuch log saare ghar waalon ki taraf se sirf Eik bakra Qurbaani karte hai jab k ghar k kain log saahibe nisaab hote hai
Aur sab par waajib hoti hai to…
🔪Ese me sab par Alag Alag Qurbaani waajib hai to aik bakra jo sabki taraf se kiya gaya to kisi ka bhi waajib ada na huwa..
🔪Naabaaligh ki taraf se Qurbaani waajib nahi lekin kar dena behtar hai.
🔪Baaligh awlaad ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chaahe to Ijaazat lekar kare…
🔪Agar ijaazat k baghair kar di to unki taraf se waajib ada na hoga.
🔪Ijaazat 2 tarah ki hoti hai… 1)Saraahatan….
Jaise k un mese koi saaf tor par kehde k Meri taraf se Qurbaani kar do…
2)Dalaalatan….
Under stood…
Jaise apni Biwi ya Awlaad ki taraf se Qurbaani karta hi hai…
AUr wo bhi jaante hai..
Aur wo raazi hai….
ye bhi ijaazat hi hai..
🔖Qurbaani k janwar ki umar kitni ho
🔖Jaanwar kaisa hona chaahiye..
🔪Qurbaani k jaanwar ki umar…
✅Uunt..( Camel ) …5 saal…
✅Gaay..Bhens…….2 saal…
✅Bakra………………1 saal…
🔪In jaanwaron ki nasal k NAR MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai..
🔪Bakre me Bakri…Dumba…Dumbi…Bhed…Nar…Maada…sab aa gaye..
🔪Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi…
Zyada ho to jaaiz hai…
bl k afzal hai.
📚(BAHARE SHARIYAT)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📚(FATAWA AHLE SUNNAT)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
✅QURBAANI ka waqt kab se kab tak hota hai…
✅QURBAANI k waqt me sharaait ka hona kya chiiz hai…?
🔪10 Zulhijjah ki subha saadiq
( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab
( maghrib ki azaan tak ) tak hai…
🔖MASALA:-
🔪City ( sheher ) me Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki Namaaz k baad ho or Gaanw (Village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai Aur(Jis gaanw mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k bad Qurbaani karein )
🔪Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt me paayi gayi to Qurbaani waajib hogi…
🔪Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi Alayhirrehman Bahaare shariyat me farmate hai Ki…
🔪Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi Qurbaani kar daale upar bataye huwe waqt me jab chaahe kare…
📚(AALAMGIIRI)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
✅QURBAANI kise kehte hai ?
✅QURBAANI ka jaanwar kaysa ho ?
🔪Qurbaani Ek maal se honewaali ibaadat hai jo Maaldar par waajib hai…
🔪Khaas jaanwar ko khaas din me ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna
isko Qurbaani kehte hai..
🔪Gaay…
Bhens…
Uunt…
Bakra…
( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron me 7 Qurbaani ho sakti hai…
🔪Qurbaani k waqt me Qurbaani karna hi laazim hai Koi dusri chiiz is k badle me nahi ho sakti…
🔪Jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde ye naa kaafi hai…( waajib ada na hoga )
🔪Qurbaani ka jaanwar be aib
( without any defect ) hona zaruri hai Agar thoda aib hai jaise kaan me chiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi…..
📚(BAHARE SHARIYAT)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
🔖QURBAANI k aibdaar (defected )
jaanwaron ki tafsiil
Jinki Qurbaani nahi hoti..!
🔪Aisa paagal jaanwar jo charta na ho.
🔪Itna kamzor k haddiyon me maghaz na raha..
khada bhi na reh pata ho.
🔪Andha ya aysa kaana jis ka kaanaapan zaahir ho…..
🔪Aysa biimaar jo bimaari ki wajah se chaara na khaaye.
🔪Aysa langda jo khud apne pairon se chal kar qurbaan gaah tak na ja sake.
🔪Jis k paidaaishi kaan na hon ya aik kaan na ho….
🔪Wah-shi yani jangli jaanwar jaise nil gaaye.
🔪Jangli bakra ya khunsa jaanwar matlab Aysa k jisme Nar or Maada dono ki Alaamatein hon.
🔪Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak khaata ho.
🔪Ya jiska Ek pair kaat liya gaya ho.
🔪Dum ya chakki 1/3 ( kul mese tisra hissa ) se zyada kate huwe ho
Naak kati hui ho Daant na ho..
gir gaye hon.
🔪Than kate huwe hon ya suukh gaye hon.
In sab ki Qurbaani NA JAAIZ hai…
🔪Agar bakri me aik than sookh gaya ho or gaay bhens me dono than sookh gaye ho to najaaiz hai.
📚(BAHAARE SHARIYAT)
(DURRE MUKHTAAR)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
🔖SING KA MASLA-PET ME BACHCHA
🔪Jis jaanwar k paidaaishi sing na ho uski Qurbaani jaaiz hai….
Aur sing the magar toot gaye
agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi or sirf uupar se toote hai
jad salaamat hai to ho jayegi.
🔪Qurbaani karte waqt jaanwar uchlaa kudaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi…..
🔪Aur uchal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi….
🔪Qurbaani ki Aur us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai…
🔪Aur agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai.
Qurbaani ho gayi.
🔖DUSRE SE QURBANI karwane mein Kin Cheezo Ka Khayal Rakhe???
🔪Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho Aur agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de… lekin khud bhi haazir rahe Ye behtar hai…
🔪Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko Bismillah Kehna WAAJIB hai….
🔪Agar dono mese Ek ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padhli hogi muje padhne ki zarurat nahi In dono surton me jaanwar HALAAL na huwa..
🔖QURBAANI zabah karne me konsi Aur kitni ragein kaatni hai…?
🔪Allama Mufti Amjad Ali Alayhirrahmaan Farmate hai…
🔪Jo ragein zabah me kaati jaati hain wo 4 hai..
✅HULQUM…
Ye wo hai jisme saans aati jaati hai…
✅MURI…
Isse khaana paani utarta hai…
In dono k aas paas do ragein aur hai Jo khoon ki hai…
🔪In ragon ko WA DA JAIN kehte hai zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai…
Matlab agar 3 bhi kat gayi jaanwar halaal ho jayega Aur…
🔪Agar chaaron me se har aik rag zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega…or..agar..
🔪Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi…
🔖QURBAANI ka Chamda/Jhol/
Rassi..
In chizon ka kya kare…?
🔪Chamda/Jhol/Rassi…
In sab ko sadqa kar dein…
Chamde ko apne kaam me bhi le sakta hai….
🔪Jaise Dhol…
Jaa-Namaaz…
Bichona bana sakta hai…
Lekin bech kar uski qiimat apne kaam me lana jaaiz nahi…
🔪Agar bech diya to us qiimat ko sadqa kar dena waajib hai.
🔪Chamda madarse me dena jaaiz hai Aur agar madarse me dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse me de dein to ye bhi jaaiz hai….
🔪Qurbaani ka gosht ya chamda qasaab ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori me nahi de sakte or ujrat ( badle ) me bhi nahi.
(AALAMGIIRI)
📚(BAHARE SHARIYAT)
📚(DURRE MUKHTAAR)
📒(RADDUL MOHTAAR)
📔(QANOONE SHARIYAT)
📓(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
🔖JAANWAR ZABAH karne ka Tariqa….
🔪Sunnat ye chali aa rahi hai k zabah karne waala or jaanwar dono ka rukh qible ki taraf hon…
India me qibla maghrib ( west ) me hai..
🔪Isliye jaanwar ka sar junub ( south ) ki taraf hona chahiye ta k jaanwar ulte pehlu letaa ho or uski peeth 0mashriq ( east ) ki taraf ho ta k uska munh qible ki taraf ho jaye…
🔪Zabah karne waala apna siidha pair jaanwar ki gardan k sidhe hisse yani gardan k qarib pehlu par rakkhe or dua padhe fir Bismillah
AllahuAkbar padh kar zabah kare….
🔪Khud apna ya jaanwar ka munh qible ki taraf na kiya to makruh hai…..
🔖QURBAANI k janwar par Zulm na kare….
🔪Zabah karne k baad jab tak jaanwar Thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza (Body parts ) alag karne ki ujlat Jaldi Na karein.
🔪Aaqa Sallallahu alayhi waalihi wasallam ne jahannam me aik awrat ko is haal me dekha k…
🔪Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai…use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya me us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi…
🔪Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq me aam hai.
🔪Ek baar hamare Aaqa Sallallahualyhiwasallam Ek aadmi k paas se guzre..
🔪Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi Aaqa ne irsaad farmaya…
🔪Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?
kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?
Ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?
🔪Siyeduna Faaruqe Azam Radiyallahu Taala anh ne aik shakhs ko dekha jo bakri ko zabah karne k liye use taang se pakad kar ghasiit raha hai..
🔪Aapne usse kaha Tere liye kharaabi ho Ise mot ki taraf achche andaaz me le ja.
🔪Kisine khwaab me Imam Ghezaali Alayhirreahman ko dekh kar pucha k…
🔪Allah ne aap k saath kya maamla farmaya..??
Jawab diya…
Allah ne muje bakhsh diya or wajah batate huwe farmaya…
Ek baar aik makkhi siyahi ( ink ) piine k liye mere qalam ( pen ) par beth gayi..
Me likhne se ruk gaya yahan tak k wo siyahi pii kar ud gayi…
🔖SUBHANALLAH…
Ek makkhi par taras khaane ki wajah se najaat ho gayi…
⛔NOTE….
🔪To jaanwaron par tashaddud..
sakhti se bachna chahiye…
ye amal hamari aakhirat ki barbaadi ka sabab ban sakta hai.
📒(AZ ZAWAAJIR)
📔(SUNANUL KUBRA-BAYHAQI)
📓(LATAAIFUL MINAN WAL AKHLAAQ)
📚(LISH SHERAANI)
📔(ABLAQ GHODE SUWAAR)
📚(FATAWA RAZWIYA)
🔖QURBAANI hissewali ka gosht kaise taqsim karna hai…?
🔪Agar hissewaali Qurbaani ki to zururi hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein…
Andaaze se taqsim karna jaaiz nahi or agar andaaze se hisse kiye to gunahgaar honge……
🔪Ba-khushi Ek dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi Agar sab Ek hi ghar me rehte hain k mil Baant kar hi khaayenge Sab hissedaar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai……
📚(BAHARE SHARIYAT)
🔖QURBAANI hissewali k hisse alag
karne k 2 HIILE K Tariqe……
🔪PEHLA tariqa zabah k baad us janwar ( Ount..Gaay..Bhens ) ka saara Gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani me sharik ( shamil ) na ho Aur
Ab wo andaaze se sab me taqsiim kar sakta hai……
🔖DUSRA tariqa Isse bhi aasaan hai gosht taqsiim se pehle usme dusri jins jaise KALEJI…MAGHAZ…milaa dein to ab andaaze se taqsim kar sakte hain…….
🔪Agar kayin chiizen daali hai to har aik me se sab ko sab mese tukda tukda dena zaruri nahi……
🔪Gosht k saath sirf aik chiiz bhi dena kaafi hai…
jaise…TILLI…KALEJI…SIRRI…PAAYE..daale hai to gosht k sath kisi ko tilli..kisi ko kaleji…kisi ko paaye…kisi ko sirri to bhi sahi taqsiim ho jaayegi.
📚(DURRE MUKHTAAR)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
🔖QUBAANI k janwar Ya koi bhi HALAAL jaanwar ki wo chizein K..
Kuch HARAAM
Kuch MAMNU…
Kuch MAKRUH hain Unki tafsiil…
🔸Ragon ka khoon..
🔸Pitta..
🔸Phukna..Masaana..
🔸Maadah ya Nar hone ki nishani..
🔸Baide…( Kapure )…
🔸Ghudood…
🔸Haraam maghaz..
🔸Gardan k 2 putthe jo shaano tak khiche hote hai..
🔸Jigar..Kaleji..ka khoon..
🔸Tilli ka khoon..
🔸Gosht ka khoon k zabah hone k bad nikalta hai.
🔸Dil ka khoon..
🔸Pit…wo pila paani jo pitte me hota hai.
🔸Naak ki ratubat…riinth..
🔸Paakhaane ka maqaam..
🔸Ojhdi..hojdi..
🔸Aantein..
🔸Nutfaa…..Mani..
🔸Wo nutfa jo khoon ho gaya..
🔸Wo nutfaa jo gosht ka lothda ho gaya.
🔸Wo nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.
📚(FATAWA RAZWIYA)
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
🔖Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil…..
KHOON…..
🔪Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko Dame Masfuh Kehte hai..
Ye Naapaak hota hai iska khaana haraam hai…..
🔪Zabah k baad jo khoon gosht me reh jaata hai Jaise gardan k kate huwe hisse par…..
Dil k Andar…
Kaleji or tilli me or gosht k andar ki chhoti chhoti ragon me…
🔪Ye sab naapaak to nahi magar is Khoon ka bhi khaanaa mamnu hai…
Isliye Pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein…..
🔪Pakne k bad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain Khaas kar Bheje..
Sirri..
Paaye or Murghi ki Raan or Par k Gosht me baarik kaali Doriyan dekhi jaati hai Khaate waqt inko nikaal dein…
🔪Murghi ka dil bhi poora ( Bina kaate ) na pakaayein…
Lambaai me 4 chiire kar k iska khoon saaf kar lein.
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
HARAAM MAGHAZ
🔪Ye safed dore ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan k andar se guzarta huwa poori riidh ki haddi me aakhir tak jaata hai…
🔪Aksar maahir cuting karne wale ise nikaal lete hai..
Magar ye bhi dekha gaya k be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai or pak bhi jaata hai….
🔪Chaanp…
Gardan or Kamar ka gosht dhote waqt haraam maghaz talaash kar k nikaal diya karein….
🔪Ye chiiz murghi or dusre parindon ki gardan or riidh ki haddi me bhi hoti hai…
Pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye…..
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
PUTTHE
🔪Gardan ki mazbooti k liye uski dono taraf piile rang k 2 lambe lambe putthe kandhon tak khinche huwe hote hai Inka khaana mamnu hai.
🔪Gaay or Bakri k Aasaani se nazar aate hai….
Magar murghi or dusre parindon k nazar nahi aate Khaate waqt dhoond kar ya kisi jaanne wale se puch kar nlkaal dein.
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
KAPURAA…
🔪Kapure ko khusye Fote Ya baidah bhi kehte hai Inka khaana makroohe Tehrimi hai Ye Bel…Bakre…me saaf Nazar aate hai…
🔪Murghe ( nar ) ka pet khol kar Aantein Hatayein to piith k andar Ande ki Tarah 2 biij nazar aate hai..
Ye kapure hai Inko nikaal dein.
🔪Afsos musalmano ki kuch hotelon Me dil kaleji k alawa bakre bel k kapure bhoon kar pesh kiye jaate hain…..
AFSOS.
(ABLAQ GHODE SUWAAR)
OJHDI…Hojdi.
🔪Ojhdi k andar Ghalaazat ( naapaaki ) bhari hoti hai
Iska khaana makroohe tehrimi hai…
Magar bohot se log shokh se khaate hai.
📚(ABLAQ GHODE SUWAAR)
Qurbani ke sirf 3 din
Qurbani ke din:
Qurbani ke 3 din he.10,11 aur 12 zul hijjah.
Post by Moulana Abrar Kashmiri
Daleel-1.
ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ: ﻟﻴﺴﺘﺸﻬﺪﻭﺍ ﻣﻨﺎﻓﻊ ﻟﻬﻢ ﻭﻳﺬﻛﺮﻭﺍ ﺍﺳﻢ
ﺍﻟﻠﻪ ﻓﻲ ﺃﻳﺎﻡ ﻣﻌﻠﻮﻣﺎﺕ) .ﺍﻟﺤﺞ 28 : )
Tarjumah: take apne fawaid ke liye aa
maujood ho aur ayyam e muqarrarah me un
makhsoos chopayon par ALLAH ka naam le. (Al Hajj-28)
Hazrat Abdullah bin Umar rdiyallahu anhu
farmate he:
“ﻓﺎﻟﻤﻌﻠﻮﻣﺎﺕ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻭ ﻳﻮﻣﺎﻥ ﺑﻌﺪﻩ”
Tarjamah: Ayyam e ma’aloomat se murad
yaum e nahar (10 zul hijja) aur uske baad do
din he.
Daleel-2:
“ﻋﻦ ﺳﻠﻤﺔ ﺑﻦ ﺍﻻﻛﻮﻉ ﻗﺎﻝ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ ﻣﻦ ﺿﺤﻰ ﻣﻨﻜﻢ ﻓﻼ ﻳﺼﺒﺤﻦ ﺑﻌﺪ ﺛﺎﻟﺜﺔ ﻭﺑﻘﻲ ﻓﻲ
ﺑﻴﺘﻪ ﻣﻨﻪ ﺷﻲﺀ -“
Tarjumah: Hazrat salmah bin Akwa’a
radiyallahuanha se riwayat he ke nabiye
kareem sallallahu alayhiwasallam ne farmaya,
“jo shakhs qurbani kare to tisre din ke baad
uske ghar me qurbani ke gosht me se kuchh
nahi bachna chahiye. (saheeh bukhari, jild-2,
page-835, baab-maa yu’akalu min luhoomil
uzahi).
Is hadees se maloom huva ke qurbani ke din
3 hi he is liye ke jab chothe din qurbani ka
bacha huva gosht rakhne ki ijazat nahi to
pura janwar qurban karne ki ijazat kaha se
hogi?
Fayda: 3 din ke baad qurbani ka gosht rakhne
ki mumaniat ibtida e Islam me thi, baad me
ijazat di gai ke use 3 din ke baad bhi rakha ja
sakta he.(mustadrak haakim, jild-4, page-259).
Is se koi ye na samje ke “jab 3din ke baad
gosht rakhne ki ijazat mil gai to 3 din ke baad
bhi qurbani ki ja sakti he.” Isliye ke gosht to
sara saal bhi rakha ja sakta he to kya qurbani
ki ijazat sara saal hogi? Hargiz nahi. 3 din ke
baad qurbani ki ijazat na pehle thiaur na ab
he.
Daleel-3:
Hazrat Ali radiyallahu anhu se bhi yahi
manqool he ke qurbani ke din 3 hi he. (moata
Imam Malik, page-497, kitabuz zuhayaa).
Daleel-4:
“ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ : ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻳﻮﻣﺎﻥ
ﺑﻌﺪ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻭﺍﻓﻀﻠﻬﺎ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ”
Tarjumah: Hazrat Abdullah bin Abbas
radiyallahuanhu farmate he ke qurbani ke
din 10 zul hijjah aur uske baad ke do din he,
albattah yaumun nahar(10 zul hijjah) ko
qurbani karna afzal he. (Ahkamul quraan lil
tahawi jild 2 safah 205)
QURBANI KITNE DIN TAK KARNE KA HUQM HAI ????
Daleel-
ﺍﺳﻢ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ: ﻟﻴﺴﺘﺸﻬﺪﻭﺍ ﻣﻨﺎﻓﻊ ﻟﻬﻢ ﻭﻳﺬﻛﺮﻭﺍ ﺍﻟﻠﻪ ﻓﻲ ﺃﻳﺎﻡ ﻣﻌﻠﻮﻣﺎﺕ :
📓(.ﺍﻟﺤﺞ 28)
Tarjuma:
🌠Take apne fayde ke liye
maujood ho aur ayyam e
muqarrarah me un makhsoos chopayon par ALLAH ka
naam le….
📓(Sureh Al Hajj-28)
Hazrat Abdullah bin Umar rdiyallahu
anhu farmate he:
“ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻭ ﻳﻮﻣﺎﻥ ﺑﻌﺪﻩ ﻓﺎﻟﻤﻌﻠﻮﻣﺎﺕ”
Tarjamah:
🌠Ayyam e ma’aloomat se murad
yaum e nahar 10 zul hijja aur uske
baad do din hai…..
Daleel-:
“ﻗﺎﻝ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻋﻦ ﺳﻠﻤﺔ ﺑﻦ ﺍﻻﻛﻮﻉ
ﻭﺳﻠﻢ ﻣﻦ ﺿﺤﻰ ﻣﻨﻜﻢ ﻓﻼ ﻳﺼﺒﺤﻦ ﺑﻌﺪ
ﺛﺎﻟﺜﺔ ﻭﺑﻘﻲ ﻓﻲ
ﺑﻴﺘﻪ ﻣﻨﻪ ﺷﻲﺀ -”
Tarjumah:
🌠Hazrat salma bin Akwa’a
Radiyallahuanhase Riwayat he ke
Nabiye kareem sallallahu alayhiwasallam ne farmaya,
“Jo shakhs Qurbani kare to Tisre din ke baad uske ghar me qurbani ke gosht me se kuchh
nahi bachna chahiye….
📗(saheeh bukhari, jild-2,
page-835, baab-maa yu’akalu min luhoomil uzahi)
🌠Is hadees se maloom huva ke
qurbani ke din 3 hi he is liye ke jab chothe din Qurbani ka
bacha huva gosht rakhne ki ijazat nahi to pura janwar qurban karne ki
ijazat kaha se
hogi?
Fayda:
🌠3 din ke baad qurbani ka
gosht rakhne ki mumaniat ibtida e Islam me thi, baad me
ijazat di gai ke use 3 din ke baad bhi
rakha ja sakta he.
📙(Mustadrak Haakim,
Jild-4, page-259)
🌠Is se koi ye na samje ke “jab 3din ke baad gosht rakhne ki ijazat mil gai to 3 din ke baad bhi qurbani ki ja sakti he. Isliye ke gosht to
sara saal bhi rakha ja sakta he to kya qurbani ki ijazat sara saal hogi?
Hargiz nahi.
🌠3 din ke baad qurbani ki ijazat na
pehle thi aur na ab he.
Daleel-
🌠Hazrat Ali radiyallahu anhu se bhi
yahi manqool he ke qurbani ke din 3 hi he.
📚(Moata Imam Malik, page-497, kitabuz zuhayaa)
Daleel-
“: ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻳﻮﻣﺎﻥ ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ
ﺑﻌﺪ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ ﻭﺍﻓﻀﻠﻬﺎ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﻨﺤﺮ ”
Tarjuma:
🌠Hazrat Abdullah bin
Abbas Radiyallahuanhufarmate he ke
Qurbani ke Din 10 zul hijjah aur uske baad ke do Din he,
Albattah yaumun nahar
10 zul hijjah ko Qurbani karna afzal he.
📗(Ahkamul Quraan lil
Tahawi Jild 2 safah 205)
*QURBANI KA AJR O SAWAB*
“ALLAHﷻ Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Eid Ul Adha Ke Din Ibn Aadam Ka Koi Amal ALLAHﷻ Ke Nazdik Qurbani Se Ziyada Pasandida Nahi
Qayamat Ke Din Qurbani Ka Janwar Apne Singho Baalo Aur Khuro Ke Saath Ayega Aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Pahle Allah Tala Ke Yaha’n Maqbul Hojata Hai Lehaza Tum Khub Acchi Tarah Qurbani Karo”
📚(جامع ترمذى، ص:٤٣٦، مكتبه دار احياء التراث العربى
سنن ابن ماجه، ص:٥٣٥، مطبوعه دار احياء التراث العربى، بىيروت)
*QURBANI KA MAQSAD*
✍🏻Musalmano Par Qurbani Wajib Karne Ka Bunyadi Maqsad Inke Aamaal o Af’aal Ko Janchna Hai-
ALLAHﷻ Qurbani Ke Zarye Apne Bando Ki Niyat Aur Ikhlas Ka Imtehan Lena Chahta Hai-
ALLAHﷻ Ki Zaat Be Niyaz Hai Wo Bando Se Khoon Aur Gost Ka Motaalba Nahi Karta Aur Na Use In Chizo Ki Koi Zarurat Hai-
Wo Zaat-E-Paak Humse Sirf Iklas, Taqwa, Aur Husn-E-Niyat Talab Karta Hai.
ALLAHﷻ Ne Quran Me Saaf Aelan Farma Diya Hai-
🎴لَنۡ یَّنَالَ اللّٰہَ لُحُوۡمُہَا وَ لَا دِمَآؤُہَا وَ لٰکِنۡ یَّنَالُہُ التَّقۡوٰی مِنۡکُمۡ ؕ
Allah Ko Hargiz Qurbani Ke Gost Aur Khoon Nahi Pahunchte Balke Tumhri Parhezgari Allah Tak Pahunchti Hai-
📘(22 : سورة الحج 37)
✍🏻Lehaza Qurbani Khuloos, Husn-E-Niyat Aur ALLAHﷻ Ki Raza Joi Bahut Zaruri Hai Warna Hamari Qurbani Khuda Ki Baar’Gaah Me Maqbool Nahi Hogi-
Naam Aur Sohrat Ki Khatir Qurbani Karne Se Bache Warna Qurbani Hogi Hi Nahi-
Qurbani Me Ek Hissa Hi Le Magar Khuloos Aur Nek Niyat Ke Saath, 4 Ya 5 Hisse Lena Ya Puri Gaye(Cow) Ki Qurbani Karna Aur Maqsad Naam o Sohrat Aur Riya’Kari Ho To Aese Amal Se Hame Sawab Ke Bajaye Azab Milega Aur Qurbani Bhi Nahi Hogi-
Do Follow Us On Instagram For More Islamic Posts:
https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDc4ODBmNjlmNQ==