Shab-e-Bara’at (15th Shabaan) Me Kiye Jaane Waale Amal.
Yaad Rahe Ye SHAB shuru Hone Se Pehle yahi aaj Magrib me Shabe Barat Shuru Hoga to us se pehle ye 4 points kar le fir 5th Point se Aage Bade
1. Sub se Pehle Naaf ke Baal (Pubic hairs) Nikaal Len.
2. Ghusl Karen, Miswak ka Istemaal Karen, Tel, Surmah aur Khushboo Ka Istemaal Karen.
3. Ache Kapde Pehnen, Mumkin ho toh Safeyd Rang ke aur Imamah Baandhen.
4. Suraj Doobne se pehle 40 Martaba “La Hawla Wala Quwwata Illa Billahil Aliyyil Adheem” ka Wird Karen.
5. Maghrib Baad 6 Rakaat Nafil Ada Karen 2 Salaam ke Saath, Surah Yaseen ki Teen Baar Tilawat Karen Ya Kisi Se Sunen.
6. Qabristaan Jaayen.
7. Sadqa O Khairat Karen.
8. Apne Doston aur Rishtedaaron se Muaafi Talab Karen.
Kyun ke Raat Choti hoti hai, Extra Nawafil ada karna Mushkil hoga, Isliye Yeh Amal Karen : – 100 Martaba “SubhanAllah” (100 Hajj ka Sawaab)
– 100 Martaba “Alhamdulillah” (Allah ki Raah me 100 Ghode Dena)
– 100 Martaba “Laa Ilaaha Illallah” (100 Ghulam Azaad Karne ka Sawaab)
– “Allahu Akbar” (Boht hi Faida Dilaane Wala Banega Wo Insaan)
[Mishkat Shareef, Vol.2, page. 346]
– 100 Martaba “Astaghfirullah”
– 313 Martaba “Durood Shareef”
– Ummat ki Maghrifat ki Duwa Karen.
– Isha aur Fajr ki Namaz Ba-Jamaat Ada Karen.
– Surah Dukhan (Para no. 25) ki Tilawat Karen.
– Salaat-ut-Tasbeeh Ada Karen.
– 2 Rakaat Salaat-ut-Tawba Ada Karen aur Sachche Dil se Apne Gunaahon ki Muaafi Talab Karen Sab ke Liye Duwa Karen.
-[Shaykh Mohammed Hussain Qadiri, U.K]
Note : Pehle Farz Namaz jo aap ke Zimme Baki hai vo Ada Kare fir Nawafil Ki Taraf ruju Kare