SHAB-E-BARAT Kyu Manate Hai

SHAB-E-BARAT Kyu Manate Hai

 

Shab E Qadr Ke Baad Afzal Tareen Raat Shab E Bara’at

 

☀Allama Alauddin Ala Muttaqi Bin Hussamuddin Hindi Al Burhanfuri 975hijri Riwayat Naqal Karte Hai:-

عن عطاء بن يسار قال : إذا كان ليلة النصف من شعبان نسخ الملك من يموت من شعبان إلى شعبان ، و إن الرجل ليظلم و يتجر و ينكح النسوان و قد نسخ اسمه من الاحياء إلى الاموات ما من ليلة بعد ليلة القدر أفضل منها ينزل الله إلى السماء الدنيا فيغفر لكل أحد إلا لمشرك أو مشاحن أو قاطع رحم ( ابن شاهين في الترغيب

↕Tarzuma:-

☀Hazrat Ata’a Bin Yasir(Radiallahuanhu) Se Riwayat Hai Ke Jab Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara’at) Hoti Hai ALLAH TA’ALA Zindagio Ko Ek Saban Se Doosre Saban Tak Mansookh Karta Hai Aur Beshak Ek Insan Zulm Wa Jyadti Karta Hai,Aurton Se Nikah Karta Hai Aur Haqiqatan Us Ka Naam Zindo Se Mansookh Karke Murdo’n Mai Darz Kar Diya Jata Hai Aur Lailat Ul Qadr Ke Baad Is Raat Se Afzal Koi Bhi Raat Nahi Hai ALLAH TALA Is Raat Asman E Dunia Mai Rahmat Nazil Farmata Hai Aur Siwaye Mushrik,Qeena Parwar Aur Qat’aye Rahmi Karne Wale Ke Har Ek Ki Magfirat Farma Deta Hai.

📚[Jame Ul Ahadees Imam Suyuti- Ahadees No. 44314]

📚[Kanz Ul Ummal Allama Hussamuddin Hindi Jild No.14 Safa.177 Hadees No.38291]

🌀Ek Aur Riwayat Is Riwayat Ko Allama Ibn E Rajab Hambali(795hijri) Ne Naqal Kiya Aur Allama Ibn E Rajab Ke Hawale Allama Abdur Rahman Bin Abdul Salam AlSafoori Al Safai(894hijri) Naqal Karte Hai:-

قال عطاء بن يسار ما من ليلة بعد ليلة القدر أفضل من ليلة النصف من شعبان

☀Hazrat Ata’a Bin Yasir(Radiallahuanhu) Riwayat Karte Hai “Lailatul Qadr Ke Baad Saban Ki 15 Wi Raat (Shab E Bara’at) Afzal Hai.

📚[Lataif Ul Mua’arif Safa.264]

📕[Nuzhatul Majlis Jild.1 Safa.162 Makhtoota]

🚫Note-

📌Hazrat Ata’a Bin Yasir (Radiallahuanhu) Ke Walid E Mohtram Hazrat Yasir(Radiallahuanhu) Hai Jo Ummul Momineen Hazrat Maimona
(Radiallahuanhu) Ke Gulam The.

🌀Ye Wo Hi Hafidh Allama Ibn E Rajab Hambali Inki Mashoor Kitab “Jame Ul Uloom Wal Hikam” Hai Or Ye Shagird Hai Ibn E Qayyim Ke Or Ibn E Qayyim Shagird Hai Ibn E Taimiya Ka Or Hafidh Ibn E Rajab Gair Muqallido Ke Nazdeek Bhi Kafi Moatbar Wa Musallam Hai To Ab Ye Inki Baat Rad Bhi Nahi Kar Sakte…..

☀Gair Muqallid Wahabi Is Raat Ke Fazail Mai Ujagar Karne Wali Riwayat Ko Zaeef Wa Mo’uzu Kahte Hai Or Is Raat Ko Masjido Mai Jama Hona,Nafl Padhna Roza Rakhna Ko Biddat Kahte Hai To Ek Baat Bataye Kya Ye Hafidh Ibn E Rajab Se Bade Muhaddith Ho Gaye…

☀Hafidh Ibn E Rajab Ne Apni Is Kitab Mai Is Raat Ke Kai Fazail Bayan Kiye Hai To Kya Ab Ibn E Rajab Bhi Barelwi Ho Gaye..

🌀Dum Hai To Lagao Biddati Hone Ka Fatwa Hafidh Ibn E Rajab Par…

 

Ahle Sunnat Ka Maukif ke vo Kyu Manate hai :

🌀”Ham Ahlesunnat Ke Nazdeek Sabse Afzal Raat Shab E Wiladat Un Nabi ﷺ Hai Yani Jis Shab Hamre Aaqa-O-Maula Tajdare Madina Rahate Qalbo Seena Huzoor ﷺ Is Dunia Mai Tashrif Laye..

☀Hamare Nazdeek Shab E Wiladat Lailatul Qadr Se Bhi Afzal Hai Jaisa Ke Hamare Ulma E Salaf Ne Kaha Shaikh-E-Muhaqiq Shab Abdul Haq Muhaddish-E-Dehlwi Ne *’Ma Sabta Minas Sunnat’* Wa Allama Nabhani Ne Jawahir Ul Bihar Sharif Mai Kaha.

🌀Iski Mukammal Bahes
Allama Qastalani
(Alehirrahma) 923hijri Ne Apni Mainaaz Kitab ‘Al-Mawahib Ladunniya’ Sharif Mai Ki Hai Aap Yanha Chek Kar Sakte Hai.

☀Aur Allama Shami (Alehhirrahma) 1252hijri Ka Bhi Yahi Fatwa Hai….

🌀Allama Shami Ne 15 Wi Shaban Ko Shab E Eid Se Afzal Qarar Diya Hai Humare Pas Sari Qitabo ke Scan Moujud hai Jiske Pas Shaban Ki 15 Wi Shab Biddat Hone ki Mazboot Daleel hai Wo Aaye Aur Bat kare Scan Page ke sath …

🚫Ab Faisla Aapko Karna Hai…

📌Aapko In 100-200 Saal Purane Victorian Jahil Wahabdho Ki Manoge Ya Jaleelul Qadir Tabai Hazrat Ata’a Bin Yasir
(Radiallahuanhu) Or Hafidh Ibn Rajab-795hijri Wa Allama Shafoori-894 hijri Wa Allama Hussamuddin Hindi-975hijri Wa Allama Ibn E Abedeen Shami-1252hijri(Alehrahmatowa Rizwan) In Buzurgo Ki….

🔲Imam Awzai Ka Fatwa Aur Shami Aimma Ka Wajeh Moqif Shaban Ki 15 Wi Shab Ki Ibadat Par…*

⚫Allama Ibn E Rajab Hambali(795hijri) Apni Kitab Lataif Ul Mua’arif Mai Imam Awzai Wa Aimmae Ahle Sham Amal Darz Karte Hai:-

لا يكره أن يصلي الرجل فيها لخاصة نفسه و هذا قول الأوزاعي إمام أهل الشام و فقيههم و عالمهم و هذا هو الأقرب إن شاء الله تعالى

🔵”Ager Shab E Bara’at Mai Aadmi Akela Namaz Padhe Ye Maqrooh Nahi Hai Aur Ye Qaul Imam Awzai Jo Ke Ahle Sham Ke Aalim Aur Un Ke Faqih The Yahi Qaul Jyada Aqrab Hai InsaALLAH.

و اختلف علماء أهل الشام في صفة إحيائها على قولين : أحدهما : أنه يستحب إحياؤها جماعة في المساجد كان خالد بن معدان و لقمان بن عامر و غيرهما يلبسون فيها أحسن ثيابهم و يتبخرون و يكتحلون و يقومون في المسجد ليلتهم تلك و وافقهم إسحاق بن راهوية على ذلك و قال في قيامها في المساجد جماعة : ليس ببدعة نقله عنه حرب الكرماني في مسائله و الثاني : أنه يكره الإجتماع فيها في المساجد للصلاة و القصص و الدعاء و لا يكره أن يصلي الرجل فيها لخاصة نفسه و هذا قول الأوزاعي إمام أهل الشام و فقيههم و عالمهم و هذا هو الأقرب إن شاء الله تعالى

🔴Ahle Sham Ke Ulma Ne Shab E Bara’at Mai Ibadat Karne Ki Kaifiyat Mai Do Qaulo Ki Bina Par Ikhtelaf Kiya Hai Un Mai Se Ulma Ki Ek Jama’at Is Baat Ke Haq Mai Hai Ke Is Raat Mai Masjid Mai Jama Hokar Ibadat Karna Jyada Bahtar Hai.

⚫Imam Khalid Bin Maidan Aur Hazrat Luqman Bin Aamir Aur Un Ke Alawa Bhi Kai Muhaddiseen Shab E Bara’at Mai Khoobsurat Libas Pahne Khusbu Lagate Aur Surma Lagate Or Masjid Mai Qayam(Ibadat) Karte.

🔵In Hi Muwafiqat Ki Hai Imam Ishaq Bin Rahoora
(RahmatullahAleh) Ne Bhi.
Aur Sath Hi Mai Wajeh Kar Diya Ke Shab E Bara’at Mai Ibadat Biddat Nahi Hai,

🔴Aur Yahi Baat Imam Kirmani Shrah Bukhari Ne Bhi Apne Masail Mai Bhi Zikr Ki Hai.*

🔵Jab Ke Doosra Giroh Is Raat Mai Masjid Mai Namaz Wa Aukat Aur Dua Ke Ijtema Ko Munasib Nahi Samjhta Albatta Un Ke Nazdeek Bhi Is Baat Mai Koi Karahat Nahi Ke Insan Shab E Bara’at Mai Tanha Bataur Khas Apne Liye Nawafil Ada Kare Aur Ye Qaul Imam Awzai Ka Hai Jo Ke Ahle Sham Ke Imam Un Ke Faqih Aur Un Ke Aalim The(Albatta Un Ke Darmiyan Shab E Bara’at Mai Ibadat Karne Mai Koi Ikhtelaf Nahi.

📚[LATAIF UL MUA’ARIF SAFA.263]

🌹SubhanALLAH,

🔳Wah Wah In Ibarato Se Kafi Masail Clear Ho Gaye Jo Aaj Hum Sunni Karte Hai Shab E Bara’at Ke Mauqe Par Ye Amr To Imam Kirmani 786Hijri Wa Imam Awzai Jaise Muhaddeseen Bhi Karte The.,

Aur Jo Ise Biddat Kahte Hai Unke Liye Lamhaye Fikria..

🔲Agar Ibarat Par Koi Aitraz Hai To Imam Ibn E Rajab Par Lagao Fatwa Ager Dam Hai To.

🔴Ab Faisla Aapko Karna Hai Aap Kiski Fail Apnate In Jahil Wahabio Ka Ya 7wi Sadi Ke Jaleel Ul Qadr Wa Deegar Muhaddeseen Ka….

🔄TEESRI SADI [ HIJRI ] MEIN AHLE MAKKAH KA SHAB-E-BARAT ME IBADAT KARNA….

✏Teesri Sadi Ke Mashhoor Muarrikh Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishaaq bin Abbas Faakihi Makki (d. 275 Hijri) ne Apni Tareekh ki Kitab *“Akhbaar-e-Makkah”* mai ek BAAB (heading) baandha hai:

✒“Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Aur Unka Mujaheda Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se”

↕Fir likhte hain:

✏“Aur Ahle Makka Zamana-e-Maazi se us din tak jab bhi pandhrawi (15) Raat ati Shabaan ki tamam Mard aur Aurat Masjid (Haram) Jate, Phir Namaz padhte aur Taw’aaf karte aur sari Raat Ibadat karte (zinda rakhte) Subah tak tilawat karte Masjid-e-Haram mein.*

✒Yahan tak k pura Quran Mukammal karte aur Namaz padhte.
Aur Unme se Baaz us Raat 100 Rakat Namaz padhte is tarah ke har Rakaat me Alhamdu Sharif ke baad Surah Ikhlaas 10 Martaba padhte, aur Zam-Zam ka paani lete aur us raat peete aur usse Ghusul karte ……

✏Is ke zarye is raat ki Barkat talash karte, aur is mamle me bohot si Ahadees marwi hain.”

📚[Akhbaar-e-Makkah p.84/3]

🔴To Sabit Hua ki Shab-E-Bara’at me Ibadat Karna Teesri Sadi Ke Muhaddsin Ka Amal Hai Aur Ye aaj kal 100 Saal se Aye hue Aqal ke Paidal Ispar Aitraaz Karte hai…..

☑Shab E Barat Ke Mutallik Hadees,

حديث مرفوع) حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ ، حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ ، أَخْبَرَنَا الْحَجَّاجُ بْنُ أَرْطَاةَ ، عَنْ يَحْيَى بْنِ أَبِي كَثِيرٍ ، عَنْ عُرْوَةَ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ : فَقَدْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْلَةً ، فَخَرَجْتُ فَإِذَا هُوَ بِالْبَقِيعِ ، فَقَالَ : ” أَكُنْتِ تَخَافِينَ أَنْ يَحِيفَ اللَّهُ عَلَيْكِ وَرَسُولُهُ ؟ ” قُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، إِنِّي ظَنَنْتُ أَنَّكَ أَتَيْتَ بَعْضَ نِسَائِكَ ، فَقَالَ : ” إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَنْزِلُ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا ، فَيَغْفِرُ لِأَكْثَرَ مِنْ عَدَدِ شَعْرِ غَنَمِ كَلْبٍ ” . .

🔶”Hazrat E Aaisha Siddeeaqa
(Radiallahuanha) Farmati Hai Ke Ek Din Jab Huzoor Mere Ghar Mai Shab Basri Ki Bari Thi Raat Ka Waqt Hua Mai So Rahi Thi Raat Ko Achanak Meri Aankh Khuli To Maine Huzoor ﷺKo Bistar Par Na Paya Mai Ghabrakar Aap Ko Talash Karne Ke Liye Bahar Gai Talash Karte Karte Jannat Ul Baqee(Mubark Qabristan Jo Ke Aap Ke Ghar Ke Pas Hi Tha) Pahunchi To Huzoor ﷺ Ko Dua Mai Masroof Paya Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Tum Ne Ye Guman Kiya Ke ALLAH TALA Aur Us Ke Rasool ﷺ Tum Se Khayanat Karenge ?

🔷Maine Arz Kiya Ke Ye Baat Nahi Hai Lekin Maine Ye Guman Kiya Ke Aap Apni Kisi Doosri Jauza-E-Muhtarma Ke Pass Tashrif Le Gaye Hai,

🔶Aap ﷺ Ne Farmaya Beshak ALLAH TALA Pandrah(15)Saban Ki Raat Ko Asman E Dunia Par Rahmat Nazil Farmata Hai
Aur Qabila-E-Bani Kalb Ki Bakrio Ke Balo Se Bhi Jyada Logo Ki Bakhshis Farma Deta Hai….

📕[Jame Tirmizi Jild.1 Safa.403-404]

📚[Musnad Imam Ahmad Bin Hambal Jild.6 Safa.238]

📚[Musnnaf Ibn E Abi Saiba Jild.6 Safa.108]

📚[Musnad Abd Bin Humaid Safa No.437]

📚[Shrah Sunna Imam Bagwi Jild.2 Safa.512]

🔶Ye Riwayat Imam Tirmizi Ki Sanad Se Zaeef Hai Lekin Iski 167 Swahid Hai Jisme Kuch Sahih Wa Hasan Isnad Bhi Hai Jisse Ye Riwayat Hasan Darje Par Pahunc Jati Hai.

🔴Note:-

يَنْزِل
🔷Ke Lughwi Ma’ana Utarne Ke Hai,
ALLAH TALA Ke Utarne Ka Ye Matlab Hai Ke Is Raat ALLAH TALA Apni Sifat E Jalal Jo Ke Badkaro Aur Gunahgaro Se Intekam Ka Takaza Karti Hai Us Se Apni Sifat Rahmat Wa Magfirat Ki Taraf Khusoosiat Se Mutawajja Hota Hai,

🔶Hadees Ke Alfaz Ko Is Liye Is Andaz Mai Mahmool Kiya Gaya Hai Ke Utarna Chadna Aur Harkat Wa Sukoon Cunke Jism Maadi Ki Sifat Hai Aur Aqli Wa Naqli Aur Qatai Dalail Se Ye Sabit Hai Ke ALLAH TALA Jism Aur Makan Se Paak Hai Is Liye Agar Is Ka Ye Ma’ana Kiya Jaye Ke Wo Buland Jagah Se Pust Jagah Ki Tarah Muntakil Hota Hai To Ye Muhal Hai Is Liye Is Hadees Ke Wahi Ma’ana Honge Jo Ahle Haq Ne Kiye Hai…

🔷Yani Rahmat Ka Utarna Aur Us Ki Maherbani Aur Bakhshis Ka Apne Bando Par Jyada Hona Aur Un Ki Dua Aur Tauba Ka Manzoor Kar Lena Jaisa Ke Kareem Badshah Ka Tarika Hota Hai Ke Jab Wo Logo Ke Padosh Mai Utarte Hai Un Ke Sath Ahsan Karte Hai Agarche Is Baat Ka Talluq Tamam Raato Ke Sath Bhi Hai Ke ALLAH TALA Ki Rahmat Har Shab Pichli Raat Mai Utarti Hai Lekin Us Raat Ki Khususiat Ye Hai Is Raat Sar E Sham Hi ALLAH TALA Ki Rahmat Ka Nuzool Shuru Ho Jata Hai Aur Fhir Ye Tamam Saal Aam Taur Par Rahmat Ka Nuzool Hota Hai Lekin Is Raat Khas Taur Rahmat BariTala Ka Nuzool Ho Jata Hai Hai Jo Ke Na Sirf Fazir Tak Jari Rahta Hai Balke Min Mai Roza Rakhna Bhi Bais E Barkat Ban Jata Hai Lehaza Is Hadees Paak Ka Yahi Taqaza Bhi Hai Aur Is Ka Matlab Bhi Yahi Wajeh Ho Raha Hai.

📝[Muhammad Ahmad Barkati Sahb]

🔷Is Riwayat Se Shab E Bara’at Ki Fazilat Wajeh Hoti Kyunki Ye Wo Khas Raat Hai Jisme ALLAH RABBUL IZZAT Khususi Taur Par Apni Rahmato Ka Nuzool Farmata Hai Or Gunehgaro Ki Bakhshis Farmata Hai To Kya Hi Accha Ho Ham Is Raat ALLAH TALA Ki Khoob Ibadat Kare Nawafil Padhe To Isme Kya Kharabi Hai……

*💐Shab E Bara’at is liye manate hai kyu ke is din Dua Rad Nahi Hoti Or Imam Safai Ka Fatwa….*

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ ، قَالَ : أَخْبَرَنِي مَنْ ، سَمِعَ ابْنَ الْبَيْلَمَانِيِّ ، يُحَدِّثُ عَنْ أَبِيهِ ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ ، قَالَ : ” خَمْسُ لَيَالٍ لا يُرَدُّ فِيهِنَّ الدُّعَاءُ : لَيْلَةُ الْجُمُعَةِ ، وَأَوَّلُ لَيْلَةٍ مِنْ رَجَبٍ ، وَلَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ ، وَلَيْلَتَا الْعِيد

🌷Hazrat Sayyadna Abdullah Bin Umar
(Radiallahuanhu) Se Riwayat Karte Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Panch(5) Raato Mai Dua Rad Nahi Hoti…

✔Rajab Ki Pahli Raat,

✔15 Saban Ki Raat(Shab E Bara’at),

✔Jume Ki Raat…

✔Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Adha Ki Raato Mai.

*📙[Musannaf Abdur Razzak Jild.4 Safa.317]*

*📘[Shub Ul Iman Imam Baihaqi Jild.3 Safa.342]*

*📚[Fazail E Aukat Imam Baihaqi Safa.83]*

🌹SubhanALLAH,

🌷Is Riwayat Se Pata Chalta Hai Muqaddas Rato Mai Dua Rad Nahi Hoti Or Shab E Bara’at Bhi Un Muqaddas Raato Mai Se Hai is liye Hum Manate hai

*1⃣Hazrat Sayyadna Imam Safai-204hijri(Rahmatullahaleh) Ne Riwayat Kiya Hai Ke:-*

خمس ليال لاترد فيهن الدعاء ليلة الجمعة ، وليلة الأضحى ، وليلة الفطر ، وأول ليلة من رجب ، وليلة النصف من شعبان

🌹”In Panch(5) Raato Mai Ki Jane Wali Koi Dua Rad Nahi Hoti…

✔Shab E Juma’a,

✔Mahe Rajab Ki Pahli Raat,

✔Nisf Saban Ki Raat(Shab E Bara’at),

✔Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Adha Ki Do Raate”.

*📘[Sunan Al Kubra Imam Baihaqi Jild.3 Safa.315]*

*2⃣Hazrat Imam Safai
(Rahmatullahaleh)Ne Irshad Farmaya…*

قال الشافعي ) : وبلغنا أنه كان يقال : إن الدعاء يستجاب في خمس ليال في ليلة الجمعة ، وليلة الأضحى ، وليلة الفطر ، وأول ليلة من رجب ، وليلة النصف من شعبان

🌷Hame Ye Riwayat Pahunchi Hai Panch(5) Raato Mai Dua E Khusoosi Taur Par Qubool Hoti Hai:-

✔”Jume Raat,

✔Eid Ul Adha Ki Raat,

✔Eid Ul Fitr Ki Raat,

✔Mahe Rajab Ki Pahli Raat

✔Nisf Saban(Shab E Bara’at)Ki Raat.

*📕[Kitab Ul Aam Imam Safai Kitab Us Salat E Eidain Jild.1 Safa.264]*

*📘[Shub Ul Iman Imam Baihaqi Jild.3 Safa.341]*

*📘[Sunan Al Kubra Imam Baihaqi Jild.3 Safa.319]*

*📚[Fazail Owkat Imam Baihaqi Safa.83]*

*📗[Al Talkhees Ul Habeer Allama Ibn E Hajar Kitab Ul Eidain Jild.2 Safa.80]*

*📕[Raudatut Talebeen Wa Umda Tul Muttaqeen Imam Novi Jild.1 Safa.172]*

*📘[Marfat Sunan Wal Aasar Jild.3 Safa.67]*

*📚[Faidh Ul Qadeer Shrah Jame Us Sageer Imam Manawi Jild.6 Safa.38]*

*📚[Lataif Ul Mua’arif Imam Ibn E Rajab Safa.264]*

*3⃣Muqaddas Raato Ka Zikr Karke Jinme Shab E Bara’at Bhi Samil Hai) Imam Safai
(Rahmatullahaleh)Ne Farmaya…*

قال الشافعي ) : وأنا أستحب كل ما حكيت في هذه الليالي من غير أن يكون فرضا

🌷In Raato Mai Amal Karne Ke Bare Mai Jo Kuch Bayan Kiya Gaya Hai Mai Ese Bahut Hi Pasand Karta Hu Albatta In Rato Mai Ibadat Karna Farz Samjhta Hu.

*📕[Kitab Ul Aam Imam Safai Kitab Us Salat E Eidain Jild.1 Safa.264]*

*📚[Fazail E Aukat Imam Baihaqi Safa.83]*

🚫LAMHAYE FIKRIA:-

🌹Imam Safai
(Rahmatullahaleh) Ke Fatwo Se Ye Baat Sabit Hota Hai Ke Imam Safai In Raato Ko Pasnd Karte Or In Raato Mai Ibadat Bhi Karte (Yani Ki Shab Bedari Or Nawafil) Or Imam Safai Doosri Sadi Ke Imam Hai To Pata Chala Hai Ye Jo Ham Sunni Aaj Shab E Bara’at Ke Mauqe Par Karte Hai Ye Doosri Sadi Se Hota Aaraha Hai..

🌷Aur Aaj Kal Kuch Jahil Gair Muqallid Ye Kahte Hai Ke Ye Biddat Hai Or Is Raat Ki Fazilat Mai Aane Wali Riwayat Zaeef Or Mouzu Hai MazALLAH To Kya Ye Imam Safai Se Jaisa Usool E Hadees Ka Imam Wa JaleelulQadr Mohaddish Ko Pata Nahi Thi Ke Is Raat Ki Fazilat Mai Aane Wali Ahadees Zaeef O Mauzu Hai MazALLAH Kya Ye Imam Safai Se Bade Mohaddish Ho Gaye…

🌹Aur Ager Riwayat Ko Zaeef Bhi Mana Jaye Waise To Isnad Se Hasan Darje Par Hai To Imam Safai Ke Amal Se Ye Baat Wajeh Hoti Ke Zaeef Hadees Bhi Hadees E Rasool[Ise Tark Nahi Kiya Ja Sakta Hai Or Ha In Par Amal Kiya Ja Sakta Hai] Or Ager Shab E Bara’at Ki Fazilat Mai Aane Wali Riwayat Mouzu Hoti To Imam Safai Hargiz Ye Fatwe Na Dete…..

🔴Kisi Badmazhab Mai Dam Hai To Lagye Fatwa Imam Safai Par.

🌷Shab E Bara’at Ke Raat Ibadaat Karna, Nawafil Padhna,Wa Shab Bedari Ye Ummat Ka Tasalsul Raha Hai……

Is Waqt bhi ye Log Ummat ko divide kar rahe hai ! Shirk Bidat ke naam par ! Saare Musalmanau ko Ibadat se rok rahe hai ! Dua se rok rahe hai ! Yahi wajah hai ke Hume Majburan inka Jawab sakht lehje me dena padh raha hai.

Social media par Ummat ko Gumrah kar rahe ho jo padhe likhe hai nahi hai unhe kahrahe ho ke is raat ki fazilat kisi bhi hadees se sabit nahi ? Halali ho toh hum se baat karo hum batayenge kitni Hadeeso me is raat ki fazilat hai.

Agar Badmazhab Halali hai toh Ek Zaeef Hadees hi dikhade ke Jisme Shab e Barat me Ibadat karne Ko Shirk Bidat Haram kaha gaya ho ! Ye Duniya ki badtareen maqluq hai Jo Namaz padhne Or Roza rakhne or Dua karne ko bhi Shirk Bidat kahti hai.

Alhamdullillah Shab e Barat ke uper 13 bade bade Sahaba se Hadees Maujood hai ! Or Khudh Wahabi Scholar Albani ne Un Hadeeso ko Sahih or Hasan kaha hai ! Ek or Inka School Ibne Taimiya Mujassimah likhta hai Shab e barat Ki raat Ibadat ka Saboot Aslaaf se sabit hai.

Itne Hadeese hai itne Dalail ke pura Shaban Ka Mahina post karsakte hai Shab e Barat ke uper lekin Angrezau ki paidawar Jo Paida hi Musalmanau me ladwane k liye hui hai wo Is Critical waqt me nahi sudhar sakte.

Agar Sache ho toh apni taraf se Ek dalil toh laau ke Shab e Barat me Ibadat karna Bidat hai ! Kaha se batayenge ? Kuch hai hi nai ultha hum batayenge ke Imam Shafai jaise bade bade Imams Jo Shab e barat Me Ibadat ko Mustahab kahte or bade bade Aslaaf is raat ko Ibadat karte the.

Lekin Jo log Hadees jhutlade Fazilat par is raat ki wo Imam ki kaha se manenge ? Lihaza Tamam Musalmanau se Guzarish Shirk Bidat karne walon ki koi baat me harghiz na aaye ! Ye ladwane ke ilawa dusra kaam nahi karte.

Leave A Reply

Your email address will not be published.

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy