SHAB-E-Qadr Kyu Manate Hai ?
🍃Shab-E-Qadr Jo Lafz ‘QADR’ hai Iska Maani Taqdeer o Hukam Ka Hai Is Raat Main Tamam Makhlooqat k leye Jo Kuch Taqdeer Azali Main Likha Hai Iska Jo Hisa Is Saal Main Ramzan Say Aglay Ramzan Tak Pesh Anay Wala Hota Hai Wo In Farishto k Hawaly Kardia Jata Hai Jo Kainat ki Tadbeer Aur Tanfeed Amoor k leye Amoor Hai Isleye Is raat ka Naam Shab-E-Qadr Rakha Gaya…..
🍂Dusri Waja yeh hai k ‘Qadr’ k ek Maana Azmat o Sharafat k hain Kyu ke Ahle Arab Aksar Auqaat You Ke Detay Hain k Falah Shakhs ki Falah Shaksh k Nazdeek Bari Qadr Hai
Yani yeh Shakhs Is k Nazdeek Bohat Buzurg aur mataba wala hai kyu k yeh raat bhi azmat o sharafat wali raat hai isleye Iska Naam ‘Layla Tul Qadr’ Rakha gya…
🍃Teesri Waja Yeh Hai k ‘Qadr k Mana Zaeeq Yani Tangi k Hain Aur Musafireen isi Daleel Yeh Detay Hain ke Lafz Quran Majeed in mani main bhi istemaal hoa hai is raat is qadr Farishtay Zameen par Utartay hain k Zameen par Kahin Thernay ki Jaga nahi hoti hai Aur Is Tangi ki Waja Say Isko Qadr Kaha Jata Hai
🍂Aur Yeh Teeno Waja Apni Apni Jaga Sahi Munaasbat Rakhti Hai Kyu ke Iski Fazeelat Quran o Hadith Ki Roshni Main Warid Hain….
↪Al Quran:
اِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِِo وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِِo لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍٍo تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْرٍٍo سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِo
⏬Tarjuma:-
🍃Beshak humne Is (Quran) ko Shab-e-Qadr Main utara hai Aur Ap kya Sumjhte hain (ke) Shab-e-Qadr (Fazeelat o Barkat Aur Ajar o Sawab main) Hazaar Mahino Say behtar hai Is (Raat) Main Farishtay Aur Rooh Ameen (Jibreel) Apne Rab k Hukam Say (Khair o Barkat ke) Har Amar k Saath Utarta Hain Yeh (Raat) Tallu-e-Fajar Tak (Sara Sar) Salamti Hai….
📓[Surah Al Qadr, 97:5.1]
🌹Shab-e-Qadar Ko Makfee Rakhne ki Hikmat Kya Hai ?
🍂Agar Laylatul Qadr ko Makfee (hidden) na rakha jata tou amal ka kaam kam hojata Aur ussi Raat ki Ibadat par Uktefa karlia jata.
Zooq-e-ibadat main kami Aana shuru hojati….
🍃Agar Kisi Majboori Kisi Waja Say Agar Raat reh jati tou Phir usko yeh sadma rehta…
🍂Allah ko Bando ka Raat k Auqaat Main Jaagna bay-had mehboob hai,
🍃Laylatul Qadr ka Waqt isliye nahi Farmaya take Banday us ek raat ko talaash karnay main 5 Taaq (odd) Raato main Jaag kar Apne Rab Say Mangay….
📝AL QURAN⤵
★ اِنَّاۤ اَنۡزَلْنٰہُ فِیۡ لَیۡلَۃِ الْقَدْرِ﴿۱﴾ۚۖ
☆ Kanzul Iman Translation:
◆ بے شک ہم نے اسے (ف۲) شب قدر میں اتارا (ف۳)
*be’shaq Hmne isse shab e Qadr me utara*
◆ Undoubtedly, We sent it down in the blessed and valuable night.
*☆ Tafsir e Khazain ul Irfan:( 2 fa )*
یعنی قرآنِ مجید کو لوحِ محفوظ سے آسمانِ دنیا کی طرف یکبارگی ۔
( 3 fa )
شبِ قدر شرف و برکت والی رات ہے اس کو شبِ قدر اس لئے کہتے ہیں کہ اس شب میں سال بھر کے احکام نافذ کئے جاتے ہیں اور ملائکہ کو سال بھر کے وظائف و خدمات پر مامور کیا جاتا ہے ۔ یہ بھی کہا گیا ہے کہ اس رات کی شرافت و قدر کے باعث اس کو شبِ قدر کہتے ہیں ۔ اور یہ بھی منقول ہے کہ چونکہ اس شب میں اعمالِ صالحہ منقول ہوتے ہیں اور بارگاہِ الٰہی میں ان کی قدر کی جاتی ہے اس لئے اس کو شبِ قدر کہتے ہیں ۔ احادیث میں اس شب کی بہت فضیلتیں وارد ہوئی ہیں بخاری و مسلم کی حدیث میں ہے کہ جس نے اس رات میں ایمان و اخلاص کے ساتھ شب بیداری کرکے عبادت کی اللہ تعالٰی اس کے سال بھر کے گناہ بخش دیتا ہے آدمی کو چاہئے کہ اس شب میں کثرت سے استغفار کرے اور رات عبادت میں گذارے سال بھر میں شبِ قدر ایک مرتبہ آتی ہے اور روایاتِ کثیرہ سے ثابت ہے کہ وہ رمضان المبارک کے عشر ۂِ اخیرہ میں ہوتی ہے اور اکثر اس کی بھی طاق راتوں میں سے کسی رات میں ۔ بعض علماء کے نزدیک رمضان المبارک کی ستائیسویں رات شبِ قدر ہوتی ہے یہی حضرت امام اعظم رضی اللہ تعالٰی عنہ سے مروی ہے ۔ اس رات کے فضائلِ عظیمہ اگلی آیتوں میں ارشاد فرمائے جاتے ہیں ۔
( 📖AL-QADR – 97:1 )
AL QURAN⤵
★ وَ مَاۤ اَدْرٰىکَ مَا لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ ؕ﴿۲﴾
☆ Kanzul Iman Translation:
◆ اور تم نے کیا جانا کیا شب قدر
*Or tmne kya jane kya shab e Qadr*
◆ And what did you know, what the blessed night is?
*(📖AL-QADR – 97:2 )*
*Hadees E pak ⤵*
🌠HAZRAT E AYESHA RADI ALLAHU TA’ALA ANHA ne farmaya ki maine HUZUR ALAIHISALATU WASALLAM se pucha ki YA RASOOL ALLAH! agar mujh ko Shab e Qadr malum ho jaye to me usme kya karu?
Huzur ne farmaya ki ye dua padho.
Alla Humm Innak Afu’un Tuhibbul Afw Fafu Anni.
Tarjuma
🌠Yani AYE ALLAH, tu muaf farmane wala hai muaf karna tujhe pasand hai to mujhe muaf farma de….
*📚(Tirmizi Sharif)*
AL QURAN⤵
★ لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ۬ۙ خَیۡرٌ مِّنْ اَلْفِ شَہۡرٍ ؕ﴿ؔ۳﴾
☆ Kanzul Iman Translation:
◆ شب قدر ہزار مہینوں سے بہتر (ف۴)
*shab e qadr hazar mahino se behter*
◆ The blessed and valuable Night is better than a thousand months.
*☆ Tafsir e Khazain ul Irfan:( 4 fa )*
جو شبِ قدر سے خالی ہوں ، اس ایک رات میں نیک عمل کرنا ہزار راتوں کے عمل سے بہتر ہے حدیث شریف میں ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم نے اممِ گذشتہ کے ایک شخص کا ذکر فرمایا جو تمام رات عبادت کرتا تھا اور تمام دن جہاد میں مصروف رہتا تھا ، اس طرح اس نے ہزار مہینے گذارے تھے مسلمانوں کو اس سے تعجّب ہوا تو اللہ تعالٰی نے آپ کو شبِ قدر عطا فرمائی اور یہ آیت نازل کی کہ شبِ قدر ہزار مہینوں سے بہتر ہے ۔ (اخرجہ ابن جریر عن طریق مجاہد) یہ اللہ تعالٰی کا اپنے حبیب پر کرم ہے کہ آپ کے امّتی شبِ قدر کی ایک رات عبادت کریں تو ان کا ثواب پچھلی امّت کے ہزار ماہ عبادت کرنے والوں سے زیادہ ہو ۔
*(📖AL-QADR – 97:3 )*
AL QURAN⤵
★ تَنَزَّلُ الْمَلٰٓئِکَۃُ وَ الرُّوۡحُ فِیۡہَا بِاِذْنِ رَبِّہِمۡ ۚ مِنۡ کُلِّ اَمْرٍ ۙ﴿ۛ۴﴾
☆ Kanzul Iman Translation:
◆ اس میں فرشتے اور جبریل اترتے ہیں (ف۵) اپنے رب کے حکم سے ہر کام کے لئے (ف۶)
*isme fariste or jibrail utarte hai apne rab ke hukm se har kaam ke liye*
◆ Therein descend angels and Jibril (the Spirit) by the command of their Lord for every affair.
*☆ Tafsir e Khazain ul Irfan:( 5 fa )*
زمین کی طرف اور جو بندہ کھڑا یا بیٹھا یادِ الٰہی میں مشغول ہوتا ہے اس کو سلام کرتے ہیں اور اس کے حق میں یہ دعا و استغفار کرتے ہیں ۔
( 6 fa )
جو اللہ تعالٰی نے اس سال کے لئے مقدر فرمایا ۔
*(📖 AL-QADR – 97:4 )*
AL QURAN⤵
★ سَلٰمٌ ۟ۛ ہِیَ حَتّٰی مَطْلَعِ الْفَجْرِ ٪﴿۵﴾
☆ Kanzul Iman Translation:
◆ وہ سلامتی ہے صبح چمکنے تک (ف۷)
◆ That is all peace till the rising of the dawn.
*☆ Tafsir e Khazain ul Irfan:( 7 fa )*
بلاؤں اور آفتوں سے ۔
*(📖AL-QADR – 97:5 )*
Hadith⤵
🍃Hazrat Anas Radiallahu Anhu Bayan Kartay hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :
🍂”Shab-e-Qadr me Jibreel Ameen Farishto k Jhurmat Main Zameen par Utartay Hain, Woh Har Us Shaks k Liye Dua-e-Maghfarat Kartay Hain Jo Kharay Bethay (Kis Haal Main) Allah ko Yaad Karaha ho…..
*📚[Behqi Shab Al Emaan, 3:343, Hadith: 3717]*
_LAYLATUL QADR KE MUTA’LLIQ 6 BAATEIN JO AAPKO MALOOM HONA CHAHIYE_
1. Yeh Woh Raat Hai Jisme ALLAH SUBHAN W TAALA) Ne Poore Qur’an Ko Al Lawh al Mahfuz Se Baytul Izzah Jo Pehle Aasman Par Hai Waha Utara.
2. Is Raat Mein Kiye Jaane Wali Ibaadat, Achche Aamaal, 1000 Mahino* Mein Kiye Gaye Achche Aamaal Ke Barabar Hai.
1000 Maah (Mahine) = 83 Saal aur 4 Maah (Mahine). Hamari Average Zindagi 60 se 70 Saal Ki Hai.
Yaani Is Raat Mein Kiye Gaye Ibaadat Ka Sawaab, 83 Saal aur 4 Maah Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Barabar Hai.
Allaah Hume Poori Zindagi Ibaadat Karne Ka Sawaab Ek Hi Raat Me Ata Kar Raha Hai…
Isliye Ietikaaf Kare, Taraweeh Padhe, Qur’an Padhe, Du’a Kare, Allaah Se Maafi Maange aur Maghfirat Ki Du’a Kare.
3. Laylatul Qadr Ramzan Ke Aakhri Dus Raaton Ki Taak Raato Mein Se Kisi Ek Raat Mein Hoti Hai.
[21st 23rd 25th 27th or on the last night…..i.e. 29th]
Nabi-e-Kareem (sallallaahu alayhi wa sallam) Ne Farmaya:
“Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhoondo”
[📖Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2017]
“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 aur 29 Ki Raaton Mein Talash Karo”
[📖Sunan At-Tirmidhi, Kitaab as Saum, Hadith No. 794]
Note: Aaj Muashare Mein Sab Se Badi Galti Log Yeh Karte Hain Ke, Woh Yeh Samajhte Hai Ke Laylatul Qadr 100% 27 Ko Hoti Hai, Aur Is Wajah Se Woh Sirf Isi Raat Ko Ibaadat Karte Hai….. Yaad Rakhe Nabi-e-Kareem (sallallaahu alayhi wa sallam) Ka Farmaan Hai Ke, “Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”
*Laylatul Qadr In 5 Raaton Mein Se Kisi Bhi Raat Me Ho Sakti Hai…. Lehaza Agar Koi Sirf 27 Ki Raat Ko Hi Ibaadat Karta Hai To Ho Sakta Hai Ke Woh Is Raat Ki Fazilat Se Mehroom Rahe. Aur Baaz Log 27 Ke Baad Aisa Karte Hai Ke 27 Ke Baad Ramzan Hi Khatam Ho Gaya Hai…..*
Woh Yeh Bhool Jaate Hai Ke Laylatul Qadr 29 Ko Bhi Ho Sakti Hai.
4⃣. Muhammad (sallallaahu alayhi wa sallam) Ne Farmaya,
“Jo Koi Laylatul Qadr Mein Imaan Aur Ehtesaab Ke Saath Namaaz Mein Khada Rahe Uske Pichle Saare Gunaah Maaf Kar Diye Jaate Hai.”
*[📖Sahih Al Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2014]*
Note: Nabi-e-Kareem (sallallaahu alayhi wa sallam) Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Raaton Mein Barabar (Equally) Ibaadat Karte The.
5⃣. Laylatul of Qadr Ki Du’a
Ayesha (ra) Ne Muhammad (sallallaahu alayhi wa sallam) Se Poocha, “Agar Muhje Maloom Hojaye Ke Shab-e-Qadr Kaunsi Raat Hai To Kya Du’a Karu? Muhammad (sallallaahu alayhi wa sallam) Ne Farmaya,
“Allahumma innaka afuwan tu hibbul afwa fa’ fu’ anni”
“Ae Allaah, Tu Maaf Karne Wala Hai, Aur Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai, Lehaza Mujhe Maaf Kar De.”
*[📖Jami`at-Tirmidhi, Kitaab ad Dua, Hadith 3513]*
6⃣. Farishte Is Raat Mein Ahle Imaan Ko Salaam Arz Karte Hai.
*[📖Tafseer Ibn Katheer]*
Hadees⤵
🍃Hazrat Abada Samat Radiallahu Anhu Bayan karte hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :
🍂”Woh Ramzan Main Hai So Tum Ussay Akhri Ashray Main Talash karo,
*🍃Laylatul Qadr 21,Ya 23, Ya 25 Ya 27 Taaq raato Main hai Ya Ramzan ki Akhri Raat Hai.*
🍂Jis Shaks Nay Laytul Qadr Main Halat-e-Emaan Aur Talib-e-Sawab k Saath Qiyam Kia, Phir Ussay Saari Raat ki Tofeeq di gai tou Usk Aglay Aur Peechlay Gunnah maf kar diye jatay hain. ”
*📚[Ahmed Bin Hanbal, 5/319, Hadith:22713]*
Hadees Sharif
NABI-E-KAREEM
(SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA:
🍃SHAB-E-QADR KO RAMZAN KE ASHRA KI TAAQ RAATO
(21, 23, 25, 27, 29)
ME TALAASH KARO…..
📚(BUKHARI)
🌹IMAAM SHAAFAI:
🍂”SHAB-E-QADR RAMZAN KE AAKHRI ASHRE ME HAI
AUR USKA DIN MU’AYYAN HAI ISME QAYAMAT TAK TABDILI NA HOGI…..
📚(UMDATUL QAARI)
Hadees Sharif
🍃Shabe Qadr ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato Yani..
*☑21vi Shab..*
*☑23vi Shab..*
*☑25vi Shab..*
*☑27vi Shab..*
*☑29vi Shab..Raato me Talash Karo*
*📚(SAHIH BUKHARI)*
*💐FARISHTO KI MULAKAT:*
🍂Jo koi shabe qadr me ibadat me mashgul hota he farishte usse salaam Wa musafa karte he ….
*📚(SHUABUL IMAN 3)*
*⏬Hadith …*
🍂Hazrat Mawia Bin Abi Sufyan Radiallahu Anhu Se Riwayat hai ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Farmaya :
*🍃”27th ki Shab Shab-e-Qadr Hai…..*
*📚[Abu Dawood, 2/114, Hadith: 1386]*
*🌹Conclusion:-*
🍃Imam Shafie Waghera nay Farmaya Hai ke Jin Mukhtelif Laylta Tul Qadr honay ka Zikr hai woh humesha nahi hai Bal k Yeh hasb-e-haal Sawalo ke Jawabaat thay,
🍂Masalan Woh Khete Hain ke Kya Hum Isko Falah Raat Main Talash karain ?
Ap nay Farmaya:
🍂Haan !
Falah Raat Talash Karo Wallah Alim, Jisnay suna Ussi ka Qail Raha Aur 27th Raat k Shab-e-Qadr honay k Qaileen ke Tadaad Bohat Ziyada
(O’on Al Mabood)
Iska Matlab Yeh Nahi hai ke Baqi Taaq Raato ki Ibadat chordi jae Bal k Unko Barqarar Rakha jae kyu ke Alag Alag Hadith Isharay Mil Rahay Hain Aur Humain Sab Taaq Raato Main Doondhna Chai Hai Kya Pata 21 Main Ho Kya Pata 23, Kya pata 25 Main Kya Pata 27 Main,…….
*🍃Wallah Alimo Wa Rasoolaho Alim*
*↪Hadith …*
🍃Hazrat Abu Hurera Radiallahu Anhu Bayan Karte Hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :
🍂”Jo Shaks Laylatul Qadr Main Halat-e-Emaan Aur Sawab ki Neeyet Say Qiyam Karta Hai Us k Saabka Gunnah Maaf Kardiey Jatay hai. ”
*📚[Bukhari, 2:709, Hadith: 1910]*
*↪Hadith ….*
🍃Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Bayan Kartay Hain ke Allah Ke Rasool Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya :
🍂”Yeh Maa tum Par Aya Hai Is Main Ek Aisi Raat Hai Jo Hazaar Mahino Say Afzal Hai.
🍃Jo Shaks Is Raat Say Mehrrom Ray gaya Goya Woh Saari Khair Say Mehroom raha. Aur Is Raat ki Bhalaai Say Wahi Shaks Mehroom Rey Sakhta Hai Jo Waqiatan Mehroom Ho. ”
*📚[Ibne Majah, 2:309, Hadith: 1644]*
*Hadith ….*
🍃Hazrat Asim Nay Kaha: Mainay Janaab Zar Say poocha:
🍂Woh (Layla Tul Qadr ki) Alamat kya Hai ?
Unho Nay Kaha:
🍃Us Raat ki Subha Ko Suraj Tashb (Taanbay ki bari Plate) ki Tarah Nekalta Hai Aur Uncha honay tak is main Sha’a
(Aur Hadad) Nahi hoti….
*📚[Abu Dawood, 2/109, Hadith: 1378]*
Hadees Sharif
*🌹SHAB-E-QADR KI IBADATE…*
🍃HAZRAT ANAS IBN E MALIK RADI ALLAHU TA’ALA ANHU ne farmaya ki jab ramzan ka mahina shuru hua to NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya ki ye mahina tum me aya hai…
🍂Aur Isme ek raat aisi hai jo hazar mahino se acchi hai to jo shaqs iski barkato se mahroom raha wo tamam bhalaio se mahroom raha aur nahi mahroom rakkha jata iski bhalaio se magar wo jo bilkul be nasib ho.
*📚(Ibn e maja)*
🌹Shab e Qadr Nafl namaz wa fazaeel
🍃HUZUR E AKRAM SARKAR E DO AALAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM irshaad farmate hai ki meri Ummat me se jo mard ya aurat yeh khawahish kare ki meri Qabr noor ki roshni se munawwar ho toh use cahiye ki Maah e Ramzan ki shab e qadr me kasrat ke saath Ibaadat e Ilahi baja laaye taaki inn Mubarak raato ki ibaadat se ALLAH PAAK uske naama e aamal se buraiya mitakar nekiyo ka sawab ata farmaye. Shab e Qadr ki ibaadat 70000 shab ki ibaadato se afzal hai.
*📚(Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze (Aukaatusalaat),Page No.25)*
Do Follow Our Islamic Page On Instagram:
https://instagram.com/creedsofislam?igshid=ZDdkNTZiNTM=