SHAB-E-BARAT KA HALWA
Shab-E-Barat Me Halwa Pakana Farz Wajib Ya Zaruri Nahi Koi Pakaye Ya Na Pakaye-
Bahre Haal Farz-O-Wajib Nahi Haa’n Mustahsan(Pasandida)Jayez Hai Aur Agar Isal-E-Sawab Ke Liye Pakaya Jaye To Kaare Khair Aur Mauzib-E-Sawab Hai-
Lekin Kuch Hazraat Shab-E-Barat Me Halwa Pakane Ko Bid’at Aur Na Jayez-O-Haram Kahte Hain Aur Na Jayez-O-Haram Ka Fatwa Dete Hain Aur Logo Ko Pakane Se Rokte Hain Aur Mana Karte Hain-
Na Malum Kyu Shab-E-Barat Ke Halwa Ko Na Jayez-O-Haram Qarar Dete Hain Iski illat Aur Sabab Ab Tak Malum Na Ho Saka-
Hala’ke Halwa Ke Andar Jitni Cheeze Daali Jati Hain Wo Sab Paak-O-Saaf Aur Halal Hain-
Na Jayez Haram Kahna Ye Bahut Badi Ziyadati Aur Hemaqat Hai Isliye Ke Jis Cheez Ko Shariat-E-Mutahra Ne Haram Na Kiya Ho Ose Dusra Kyu Haram Kare?
Kisi Ko Bhi Ikhtiyar Nahi Ke Shab-E-Barat Ke Halwa Ko Haram Kar De Hala’ke Suji Bhi Paak-O-Halal Shakkar Bhi Paak-O-Halal Mewa Bhi Paak-O-Halal Ghee Bhi Paak-O-Halal Paani Bhi Paak-O-Halal Garz Ke Kull Cheeze Halal Hi Hal Hain-
Aur Mazkura Bala Cheezo’n Ke Majmuwa Ka Naam Halwa Hai To Ye Bhi Halal Hua-
Bawajud Iske Na Malum Kyu Kuch Log Shab-E-Barat Ke Halwa Ko Na Jayez-O-Haram Kahte Hain Aur Na Jayez-O-Haram Ka Fatwa Dete Hain-
Halwa To Margoob(Dil Pasand)Mahboob Gaza Hai-
Bukhari-O-Muslim Ki Hadees Hai Ke
كان رسول اللّٰه ﷺ يحب الحلواء والعسل
Huzoor ﷺ Halwa Aur Sahad Pasand Farmate Thy-
📚(بخارى، كتاب الطلاق، حديث:٥٢٦٨، ص:١١٠٢، دار الكتاب العربى بيروت/ مسلم شريف ٦٠١/١ حديث:٣٦٧٩، دار الكتاب العربى بيروت)
FAIDA:- Maan Lete Hain Ke Zamana-E-Risalat Ahde Sahaba Me Halwa Paka Kar Fatiha Dilane Ka Riwaj Nahi Tha Lekin Mahaz Is Bina Par Halwa Pakana Aur Shab-E-Barat Me Iska Fatiha Dilana Na Jayez Aur Bid’at Nahi-
Ulma-E-Keraam Bayan Bayan Farmate Hain Ke
” كم من شئ كان أحاداثا و هو بدعة حسنة ”
Ke Bahut Saari Cheeze Nao Paidawar Nao Aezad(Haal Hi Me Aezad Hua)Hoti Hain Magar Wo Bid’at Hasna Ki Zumre Me Aati Hain-
📚(فتاوىٰ عالمگیری،٣٢٣/۵ زكريا بک ڈپو دیوبند)
Ham Mauzuda Halwa Ko Bhi Isi Par Qayas Kar Sakte Hain Warna Madaris Khan’kaah Ki Aali Shaan Building Banana Masajid Ke Minare Buland Karna Aeroplane Aur Train Me Safar Karna Sab Na Jayez Tahrenge Kyu’ke Ye Tamam Cheeze Ahd-E-Risalat-O-Ahde Sahaba Me Mauzud Nahi Thy-
Aur Margoob-O-Pasandida Cheez Ka Sadqa Bhi Afzal Hai Irshad Rabbani Hai
لَنۡ تَنَالُوا الۡبِرَّ حَتّٰی تُنۡفِقُوۡا مِمَّا تُحِبُّوۡنَ
Tum Hargiz Bhalai Ko Na Pahuncho’nge Jab Tak Raah-E-Khuda Me Apni Pyari Chiz Na Kharch Karo-
📚(3 : سورة آل عمران 92)
DAWAT-E-FIKR:- Ae Aetraaz Karne Walo Tumhe Kya Hogaya Hai Ke Tum Is Paak Saaf Cheez Ko Nahi Khate Aur Khawa Ma Khawa Ose Na Jayez-O-Haram Kahte Ho-
Dekh Lo Quran Paak Hi Ka Irshad Hai Ke Paak-O-Saaf Aur Halal Cheezo’n Ko Haram-O-Na Jayez Mat Samjho Aur Iska Khana Mat Chhodo-
Quran Muqaddas Ne Saaf Lafzo Me Ye Hukm Sunaya Hai:
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تُحَرِّمُوۡا طَیِّبٰتِ مَاۤ اَحَلَّ اللّٰہُ لَکُمۡ وَ لَا تَعۡتَدُوۡا ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یُحِبُّ الۡمُعۡتَدِیۡنَ
Ae Iman Walo! Haram Na Tehrao Wo Suthri Cheeze Jinhe ALLAH Tala Ne Tumhare Liye Halal Ki Hain Aur Hadd Se Na Badho Beshak Hadd Se Badhne Wale ALLAH Ko Na Pasand Hain-
📚(5 : سورة المائدة 87)
Yaani Jin Cheezo Ko ALLAH Tala Ne Halal Kar Diya Hai Unko Khawa Ma Khawa Apni Taraf Se Na Jayez-O-Haram Qarar Dena Ye Baat ALLAH Tala Ko Pasand Nahi Aur Aese Log Ziyadati Karne Wale Hain Aur ALLAH Tala Ko Na Pasand Hain-
📚(تفسير طبرى ٨/٧، مكتبه ابن تيميه، حلب)
Aetraaz Karne Walo ALLAH Tala Se Daro Aur ALLAH Tala Ki Jayez Kurda Cheezo Ko Apni Taraf Se Na Jayez Mat Karo-
Shab-E-Barat Ka Halwa Paak-O-Saaf Hai Aur Sarkar-E-Do Alam ﷺ Ne Ose Halal Kiya Hai Fir Unko Haram Qarar Dena Goya Wo Kaam Karna Hai Jo Huzoor Aqdas ﷺ Ne Nahi Kiya-
Lehaza Malum Hua Ke Shab-E-Barat Ka Halwa Haram-O-Bid’at Nahi Balke Isko Na Jayez-O-Haram Qarar Dena Ye Bid’at Hai-
Hazrat Maulana Sayyed Gulam Qutbuddeen Barhamchari Sahab Marhoom Ne Shab-E-Barat Ke Halwe Ke Mutallik Kya Khoob Farmaya Hai Ke:
Jo Wo Halwa Bhi Shabrat Ka Na Rawa Hai
جو وہ حلوہ بھی شبرات کا ناروا ہے
Batao To Isme Najis Cheez Kya Hai
بتاؤ تو اس میں نجس چ
یز کیا ہے
Rawa Hai Wo Khud Jis Ka Halwa Bana Hai
روا ہے وہ خود جس کا حلوہ بنا ہے
Haqeeqat Me Mooh Hi Tumhara Bura Hai
حقیقت میں منہ ہی تمہارا برا ہے
Ye Ghee Aur Mewa Ka Umda Newala
یہ گھی اور میوہ کا عمدہ نوالہ
Osi Ko Mile Jo Taqdeer Wala
اسی کو ملے جو تقدیر والا