SHIRK ( شِرک )
Jaise ke aap waqif ho ki MGM yani MEHFIL E GULAM E MUSTAFA un maamlat per sereis tayar karti hai jo kisi bhi sateh per ISLAM ya MASLAK E HAQ Ke liye khatarnak sabit ho rahe ho. AAP hamare andaz se bhi waqif hai. Ki hamara kaam samjhana hamara maqsaad haq ko wazeh karna aur hamara target ikhtalaf ko khatam karna hota hai.
Isi zarorat ke pesh nazar ” SHIRK ” ke masle ki wazahat waqt ki zarorat maalom padhti hai. Kiyo ki is ko na samjhne wale dusro ko ” MUSHRIK ” keh kar apas main fitna w fasad kar ke ummat e muslima ko taqseem kar diye hai aur ek dusre ko qatal tak karne lage hai.
In Sha Allah aap ko daily part wise is subject per daily asan aur aam zaban main hum hamara MAZHAB E HAQ pesh karne ki koshis karenge.
ALLAH TABARAK W TAA’LA se dua’gu hai ki us ke RASOOL NABI KAREEM SALLALLAH ke sadqe w tufail hum ko sahi se is mauzu per haq bolne haq samjhane ki taufeeq ata farmaye.
Aameen sum Aameen.
Shirk ki behes batane se pehle yeh jaan lena bohat zarori hai ki TAUHEED kise kehte hai aur SHIRK kise kehte hai.
Ache se zehen nasheen kar le.
Tauheed kiya hai ?
Tauheed ka Matlab hai ” ALLAH ko zaat w sifaat main wahid ( Ek ) janna sirf aur sirf USI ko ibadat ke laayeq manna “
Ab SHIRK ki taarif Mulahiza farmaye.
Kisi ko sharik tehrane se muraad yeh hai ki MAJOOSIYO ki tarha kisi ko ilaa aur wajib ul wajood samjha jaye.
Ya but parastoo ( Murtiyo ko poojne wale ) ki tarha kisi ko IBADAT ke laayek ibadat samjha jaye ya maana jaye.
( شرح عقاعد نسفی ازامام تفتازانی علیہ الرحمہ )
Is taarif ko yaad kar lijiye. IMAAN ka maamla hai.