Surah Al baqar Ki Ek Aayat – Aao Qurane Paak Samjhe
Sureh baqar : AL-BAQARA – 2:36
Al Quran ul Kareem –
فَأَزَلَّہُمَا ٱلشَّیْطٰنُ عَنْہَا فَأَخْرَجَہُمَا مِمَّا كَانَا فِیہِ ۖ وَقُلْنَا ٱہْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ ۖ وَلَكُمْ فِى ٱلْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتٰعٌ إِلَىٰ حِینٍۢ
تو شیطان نے جنت سے انہیں لغزش دی اور جہاں رہتے تھے وہاں سے انہیں الگ کردیا اور ہم نے فرمایا نیچے اترو آپس میں ایک تمہارا دوسرے کا دشمن اور تمہیں ایک وقت تک زمین میں ٹہرنا اوربرتنا ہے
So the devil destabilised them in it and removed them from where they were – and We said, ‘Go down, one of you is an enemy to the other; and for a fixed time you shall stay on earth and feed in it.’
Darse hidayat :
Is aayate kareema se hum ko kiya darse hidayat milta hai ?
Insaano main mukhtalif wajuhat ki bina per dushmaniya aur adawate jo chal rahi hai yeh kabhi khatam nahi hogi.
Lakh koshish kar lo ki duniya main logo ke darmiyan aapas main adaawat w dushmani khatam ho jaye !
Magar chunki yeh hukum e khudawandi ki wajhe se hai yeh adawate hargiz kabhi khatam nahi hogi.
Kabhi ek mulk dusre mulk ka dushman hoga.
Kabhi mazdoor aur sarmaya dar ( paise wale ).
Kabhi ameer w garib ki adawat zoor pakdegi.
Kabhi mazhabi dushmani hogi kabhi tehzeeb ki dushmani ubhar kar aayengi.
Kabhi imaan daro aur be imaano ki dushmani rang dikhayengi.
Al garz duniya main insaano ki apas main adawat w dushmani ka baazar hamesha hamesha garam hi rahenga.
Is liye logo ko is se ranjeeda hone ki zarorat hi nahi.
Insaano ki dushmani ko khatam karne ki tadbeer per gaur w fikr kar ke pareshan hone ki zarorat hi nahi.
Is se koi fayda hone wala hi nahi. Jis tarha andhere ki ujale se dushmani. Aag ki paani se dushmani garmi ki sardi se dushmani khatam nahi ho sakti.
Isi tarha insaano ki apas main dushmani khatam ho nahi sakti.
Kiyo ki ALLAH AZWAJAL ne HADRAT E ADAM ALEHE SALAM w MAA HA’WAA ke zameen per uterne se pehle hi yeh waada farma diya ki بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ Yani ek insaan dusre insaan ka dushman hoga.
Yeh adawat w dushmani khalqi ( ALLAH RAB UL IZZAT jis ne yeh kaynat banayi ) aur fitri ( naturaly ) hai
Jo HUKUM E ILAHI aur us ki mushiyat ( marzi ) se hai tu bhala kaun is duniya main us adawat ( dushmani ) ka khatmaa kar sakta hai ?