Taraweeh 20 Rakat Proof?
⛔Aaj Ke Dour ke Gair Muqallid Ahle Khabees Ne Deen me Asani Dhoondh li Jese ki Taravih 8 Raq’at hai Aur Zakar Zindagi me Ek Bar Farz hai Aur Ek Sath 3 Talak Dene se Sirf Ek Talak Padti hai….
🚫To Aaiye Inko Batate hai Ki Tarawih 20 Raq’at hai Naa ki 8 Raq’at….
↪Proof:- 1
أخبرنا أبو طاهر الفقية، قال: خبرنا أبو عثمان البصري، قال: حدثنا أبو أحمد: محمد بن عبد الوهاب، قال: أخبرنا خالد بن مخلد، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثني يزيد بن خصيفة، عن السائب بن يزيد، قال: كنا نقوم في زمان عمر بن الخطاب بعشرين ركعة والوتر.
Saeed bin yazeed kehte hain ki Hazrat Umar farooq RadiAllaho ta’ala anhu ke zamane me log 20 rakat aur Witr padhte the.
📚[Marifat-us-Sunan wa’l athar -Imam Bayhaqi,Volume 004, Page No. 42,
Hadith Number 5409]
📌Note:
Is Hadees ki sanad bahot Mazbut hai.
Iske sare raawi siqah hai
Imam Baihaqi ne bhi is riwayat ko Dusri sanad se Naqal kiya hai:
وقد أخبرنا أبو عبد الله الحسين بن محمد بن الحسين بن فنجويه الدينوري بالدامغان ثنا أحمد بن محمد بن إسحاق السني أنبأ عبد الله بن محمد بن عبد العزيز البغوي ثنا علي بن الجعد أنبأ بن أبي ذئب عن يزيد بن خصيفة عن السائب بن يزيد قال كانوا يقومون على عهد عمر بن الخطاب رضي الله عنه في شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانوا يقرؤون بالمئين وكانوا يتوكؤن على عصيهم في عهد عثمان بن عفان رضي الله عنه من شده القيام
Saeed bin Yazeed kehte hain ki Hazrat Umar farooq r
RadiAllaho ta’ala anhu ke Zamane me log Ramzan me 20 rakat padhte the.
Fir farmate hain ki wo sau-sau rakat wali ayaten padhte aur log Hazrat Usman bin Affan RadiAllaho Ta’ala anhu ke waqt me apni laathiyon ke sahare khade hote ki unhe khade hone me Dushwari hoti thi…
📚[Bayhaqi Sunan al-Kubra Volume 002,
Page No. 698-9,
Hadith Number 4617]
↪Imam Badr ud din Ayni Rahmatullah Alayji farmate hain;
رواه البيهقي بإسناد صحيح عن السائب بن يزيد الصحابي، قال: كانوا يقومون على عهد عمر ، رضي الله تعالى عنه، بعشرين ركعة، وعلى عهد عثمان وعلي، رضي الله تعالى عنهما، مثله
Imam Baihaqi ne Sahih Sanad ke sath Saeed bin Yazeed se Naqal kiya hai ki log Hazrat Umar Farooq radiAllaho ta’ala anhu ke daur-e-khilafat me 20 Rakat ke liye Qiyam karte the aur aisa hi Hazrat Usman Ghani RadiAllaho ta’ala anhu ke waqt me hota tha.
📚[Umdat ul Qari,
Sharh Sahih ul Bukhari, Volume No. 5, Page No. 264, Published by Dar ul Fikr, Beirut, Lebanon]
Salafiyon ke Ek Mash’hur Scholar Al-Mubarakpuri ne bhi is Hadees ki sanad ko Sahih kaha hai.
Aur unhone Iski Tas’heeh ke liye Imam Nawawi ka fatwa bi naqal kiya hai.
📚[Tuhfa Tul Ahwadhi, Volume No. 3, Page No. 453, Published by Dar ul Fikr, Beirut, Lebanon]
↪Imam Nimawi al Hanafi farmate hain:
رجال هذا الاسناد كلهم ثقات
Is Isnaad ke sare rijaa siqah hain.
📚[Athaar al-Sunnan (2/54)]
↪Proof:-02
و حدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال
كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yahya ne Malik se mujhko khabar di Unhone Yazeed bin Ruman se riwayat kiya ki wo farmate hain
“Log Hazrat Umar Farooq RadiAllaho ta’ala anhu ke zamane me 23 rakat ke liye Qiyam karte the”
📚[Muwatta Imam Malik,
Book : As Salah Chapter :
Ma Ja-a Fi Qayam e Ramzan Volume : 1 Page : 159 Hadith number : 380]
📌Note:
20 rakat Tarawih thi aur 3 Rakat Witr.
↪Imam Tirmizi ka Nazariya:
وأَكْثَرُ أهْلِ العِلمِ على ما رُوِيَ عن عليٍّ وعُمر وغَيْرِهِمَا مِنْ أَصحابِ النبيِّ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَهُوَ قَوْلُ الثَّوْرِيِّ وابنِ المُبَارَكِ والشَّافِعيِّ رحمه الله. وقَالَ الشَّافِعيُّ: وهَكَذَا أدْرَكْتُ بِبَلَدِنَا بِمَكَّةَ، يُصَلُّونَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Ahle-Ilm ki ek Jamat 20 Rakat padhne par Muttafiq hai, jaisa ki ye Hazrat Usman radiAllaho ta’ala anhu Hazrat Ali radiAllaho ta’ala anhu aur RasoolALLAH sallallaho alaihe wasallam ke dusre sahaba se marwi hai.
Sufiyan Sawri,
Abdullah ibn Mubarak aur Imam shafaii ne bhi yehi kaha hai.
Imam Sahafaii farmate hain ki Unhone Makka ke logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai..
📚[Sunnan Jami’i al Tirimdhi, Book of Fasting, Chapter on Qiyaam in Ramadan Volume 3 Page No. 169 Hadith No. 806]
↪Proof :- 3
حَدَّثَنَا حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ ، قَالَ كَانَ أُبَيّ بْنُ كَعْبٍ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ بِالْمَدِينَةِ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ.
Abdul Aziz bin Rafi se marwi hai ki Ubay bin Ka’ab logo Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 Witr.
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005. Page No. 224, Hadith Number 7766]
↪SHEIKH ABDUL-HAQ MUHADDISE DEHALVI ALAIHIRREHMA KA FARMAAN
Pak o Hind mey Sab se pahle Ilm-e-Hadees ki Isha’at aur Tash”heer karne waali Shakhseeyat Sheikh-ul-Muhaddiseen Sheikh Abdul-Haq Muhaddis Dehalvi Alaihirrehma Ka Irshad aur Aqeedah pesh karta hu Padhiye aur apne Maslak Ki Haqqaniyat Yaqeen Rakhiye.
Sheikh Abdul-Haq Dehalvi Alaihirrehma Likhte hai
الذى عليه الامرواشتهر من الصحابة والتابعين ومن بعدهم هو العشرون
↪Wo Hukm Jis par Ijma huwa he Aur Sahaaba-e-Kiram aur Tabi’een Hazraat aur Ulama e Kiram ke Ba’ad mey Mash’hoor Chalaa Aata he wo 20 Rak’at Taraaweeh hey….
📚(Maa Sabata binas-Sunnah” Safha-159 )
↪Proof :- 4
أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي
Abdul rehman Sulami farmate hain ki Hazrat Ali radiAllaho ta’ala anhu ne Quran ke Qari’een ko Bulaya aur Unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya.
Jabki Hazrat Ali radiAllaho ta’ala anhu khud bhi 20 rakat padhte the.
📚[Bayhaqi Sunan al-Kubra Volume 002, Page No. 699, Hadith Number 4620]
↪Proof:- 5
عَنِ الْحَسَنِ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ، فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة
Hazrat Hasan Basri radiAllaho ta’ala anhu farmate hain ki Hazrat Umar farooq radiAllaho ta’ala anhu ne Ubay bin Ka’ab ke piche logon ko Jama kiya aur 20 rakat padhi.
📚[Siyar al A’lam wa al Nubalah Volume 001, Page No. 400-1, Biography of ‘Ubayy Ibn Kab’]
Imam al-Nawawi ne kaha: ‘Iski sanad Sahih hai’. (بإسناد صحيح)
📚[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961]
↪Proof :- 6
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَيْسٍ ، عَنِ أَبِي الْحَسْنَاءِ أَنَّ عَلِيًّا أَمَرَ رَجُلاً يُصَلِّي بِهِمْ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Abu Al-hasna kehte hain ki Hazrat Ali radiAllaho ta’ala anhu ne ek shaks ko ramzan me 20 rakat padhne ka hukm diya.
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 223, Hadith Number 7763]
ﺣﻀﺮﺕ ﯾﺰﯾﺪ ﺑﻦ ﺭﻭﻣﺎﻥ ﻧﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮐﯿﺎ ﮐﮧ
ﺣﻀﺮﺕ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ ﺧﻄﺎﺏ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻨﮧ
ﮐﮯ ﺩﻭﺭ ﻣﯿﮟ ﻟﻮﮒ )ﺑﺸﻤﻮﻝ ﻭﺗﺮ ( 23
ﺭﮐﻌﺖ ﭘﮍﮬﺘﮯ ﺗﮭﮯ۔
Hazrat Yazid Bin Rumaan bayan karty hain k
“Hazrat Umer Bin Khattab Radiallahu Anhu k
door main loog (witar mila kar)
23 raka’at parhty thy.”
Is Hadith ko Imam Malik aur
Imam Bayhaqi nain rawayat
kiya hy.
↪References:
📌From : Muwatta Imam Malik
📚Book : As Salah Fi Ramdan
Chapter : Targheeb fis Salah fir
Ramdhan
Volume : 1
Page : 115
Hadith number : 252
📌From : Bayhaqi
📚Book : Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 496
Hadith number : 4394
📌From : Bayhaqi
📚Book : Shu’ab Al Eman
Volume : 3
Page : 177
Hadith number : 3270….
↪Proof :- 7
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ نَافِعِ بْنِ عُمَرَ ، قَالَ كَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يُصَلِّي بِنَا فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَيَقْرَأُ بِحَمْدِ الْمَلاَئِكَةِ فِي رَكْعَةٍ
Waki se marwi hai unhone Naafe bin Umar radiAllaho ta’ala anhu se riwayat kiya wo farmate hain ki Ibn Abi Mulaika hume Ramzan me 20 rakat padhate the…..
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 223, Hadith Number 7765]
↪Proofs :- 8/9/10 ke sath hum Wahabiyo ke Galat Hadees bayani ka khulasa bhi karenge.
عن ابن عباس رضي الله عنه أن النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي في شهر رمضان في غير جماعة عشرين ركعة والوتر
Ibn Abbas radiAllaho ta’ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ramzan ki har raat me 20 rakat aur 3 witr padhte the….
📚[Sunan Al-Baihaqi, Hadith Number 12102]
عن ابن عباس رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر
Ibn Abbas radiAllaho ta’ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ramzan me 20 rakat aur 3 witr padhte the…..
📚[Musannaf Ibn Abi Shaibah, Volume 002, Hadith Number 7692]
حديث أنه صلى الله عليه وسلم صلى بالناس عشرين ركعة ليلتين فلما كان في الليلة الثالثة اجتمع الناس فلم يخرج إليهم ثم قال من الغد خشيت أن تفرض عليكم
Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho ta’ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ne ramzan ki 2 raaton me 20 rakat logon ke sath padhi lekin wo teesri raat bahar na aaye aur farmaya ki mujhe is baat ka khauf hai ki kahin ye tumpe farz na kar di jaye….
📚[Ibn Hajr, al-Talkhees al-Habeer, Volume 002, Hadith Number 540]
📌Note:
Is Hadees ke baad Ibn Hajar Asqalani kehte hain ki
متفق على صحته من حديث عائشة دون عدد الركعات
Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho ta’ala anha se Is Hadees ki sehat Muttafiq alaih hai Rakato ki tadaad ke baghair.
Naam Nihad Ahlehadees khush ho jate hain ki Imam Ibn Hajar Asqalani ne is hadees ko sahih maan liya lekin rakat ki tadaad ke baghair
.
📌Al-Jawab:
Sabse pehli baat to Ibn hajar Asqalani ka ye qaul khud wahabiyon ke khilaf ja raha hai hamare khilaf nahi,
Kyunki hamare paas ALHAMDULILLAH aur bhi bahot sare dalail 20 rakat par hain lekin wahabiyo ke paas to sirf 2 dalil hain wo bhi zaeeful Isnaad jisse ki wo Tarawih ko 8 rakat kehne ki koshish karte hain……
📌Ab Wahabiyo Tum 8 Padho Ya 20 BUGZ E RASOOL SALLAHU ALAYHI WASALLAM LEKER PADHOGE TO KOI FAYDA NAHI HOGA….
📌BEHTER HAI TUM 8 HI PADHO TUMHARE LIYE WAHI SAHI HAI…..
🔘Ab aaiye proof 8 aur 9 ki taraf chalte hain jaisa ki humne dikhaya Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu ki Hadees se ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam se 20 rakat padhna sabit hai.
🔘Aur dono Hadees me ek Raawi Abu Shayba hain (Jo ki mash’hur Muhaddis Ibn Abi Shayba ke dada hain) unki tausiq par mukhtalif raaye hain, Kuch Muhaddiseen ne unhe zaeef bhi qarar diya hai,
🔘Ab ye Wahabi khush ho jayenge aur kahenge ki Abu Shayba zaeef hai.
🔘Isliye 20 rakat ki dalil mazbut nahi hai. Iske jawab me wo ye chhoti si Hadees pesh karte hain.
Jabir bin Abdullah riwayat karte hain ki ALLAH ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne hume Ramzan me 8 rakat aur Witr padhai.
Usi raat hum masjid me jama hue is ummid se ki Aap bahar ayenge (Namaz ke liye) Hum wahan subah tak ruke rahe.
Tab hum dakhil(Masjid me) hue aur kaha Aye ALLAH ke Rasool! Pichli raat hum Masjid me jama hue the is ummid se ki aap Hume Namaz padhayenge.
Ispar Aaqa Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:
“Mujhe khauf hai ki kahin ye tum par farz na ho jaye”
📚[Ibn Khuzaimah
(2/138 Hadith #1070),
📚(Mu’ajam as-Sagheer (1/190) of Tabaraanee and others]
Ab ye wohi log hain jo har Dusri Hadees ko zaeef kehte hain jo unke mutabiq nahi hoti. Ab zara ye Jabir bin Abdullah ki Hadees ke raawiyon pe jirah dekhte hain,.
Ye hadees sirf “Isa bin Jariyah” se aati hai ,
Inke bare me Kaseer aur Motabar Jirah Tadeel ke masters ne darj zel hukm lagaye hain. .
قال ابن أبـي خيثمة عن ابن معين: ليس بذاك ، لا أعلم أحداً روى عنه غير يعقوب
Yahya bin Moeen farmate hain:
Wo kuch nahi hai,
Usey Ilm nahi hai jabki Yaqub ke siva usne kisi se riwayat nahi liya. Tahdhib ut-Tahdhib
📚(4/518)] .
.
Imam Mizzi ki Tehzibul Kamaal me Imam Abu Dawood ke hukm bhi shamil hain jinhone Isa bin Jariyah ko Munkirul Hadees kaha hai.
وقال أبو عُبـيد الآجُري ، عن أبـي داود: منكر الحديث
↪Translation:
Absu Ubaid al-Ajri riwayat karte hain Imam Abu Dawood se ki Isa bin Jariyah Munkirul Hadees hai.
📚[Tahdhib ul Kamaal, Volume No. 14, Page No. 533]
Imam Nasai ne apni Zuafaaul Matrookeen me kaha…
عيسى ابن جارية: يروي عنه يعقوب القُمِّي، منكر
↪Translation:
Isa bin Jariya riwayat karte hain Yaqub al_Qummi se (wo shia hai) aur wo (Isa bin Jariya) Munkir hai.
📚[Nasai’i in Duafa wal Matrooken (2/215)]
Yahan Sihaah Sitta ke 2 mash’hur Imam Abu Dawood aur Imam Nasai ne use Munkirul Hadees kaha hai.
Yahan aur bhi Muhaddiseen hain jinhone isa bin Jariyah pe Kalaam kiya hai
قلت: وذكره الساجي، والعقيلي في الضعفاء. وقال ابن عدي: أحاديثه غير محفوظة
Imam al-Saaji aur Imam Uqaili ne unhe apni zuafa me rakha hai…….
↪Imam Ibn Adi farmate hain ki uski Hadees mehfuz nahi hain, ”
📚[Tahdhib ut Tahdhib (4/518)]
.
Imam Ibn Hajar Asqalani khud kehte hain ki فيه لين
(ye zoaf ki taraf ishara hai)
📚[Taqrib ut Tahdhib (1/768)]
🔘Aur Salafiyon ke mash’hur Imam Albani aur Hussain Saleem Asad ne bhi is Hadees ko zaeef kaha hai.
Hussain Saleem Asad ne apni Tehqiq-e-Musnad Abu Ya’la me likha hai إسناده ضع
↪Translation:
Iski sanad zaeef hai.
📚[Musnad Abu Ya’la, with Tahqeeq of Hussain Saleem Asad (3/336),
Published by Dar ul Ma’moon, Dimishq]
To Jirah wa Tadeel ke mash’hur-o-motabar Imam jaise ki Yahya bin Moeen aur Imam Nasai aur Imam Abu Dawood ne bhi usko munkirul Hadees kaha hai.
Ek mash’hur salafiyon ke Imam Abdul rehman Mubarakpuri kehte hain ki jis Hadees me koi raawi Munkirul Hadees ho wo riwayat radd kar dene ke layeq hai. .
📚(Ibkarul Matn pg.191).
To Ab Ibn Abbas radiAllaho ta’ala anhu ki hadees agarche zaeef hai lekin Usul-e-Hadees ke mutabiq jo ki Imam Abu Dawood ne farmaya ki Ibn Abbas radiAllaho ta’ala anhu ki hadees maqbul hai.
Is Hadees ko naqal karne ke baad Imam Abu Dawoo farmate hain
اذا تنازع الخبران عن النبي صلى الله عليه وسلم ينظر بما اخذ به اصحابه
Agar Nabi sallallaho alaihe wasallam ki 2 Riwayaton me tazaad aa jaaye to Hum uspar amal karenge jo Sahaba se sabit hai. ”
📚[Sunnan Abu Dawud under Hadith No. 1577]
To Ibn Abbas radiAllaho ta’ala anhu ki Hadees hi maqbul hai kyunki ye Ubay bin Ka’ab, Hazrat Ali, Hazrat Umar farooq aur dusre sahaba se bhi sabit hai.
Ab Wahabiyon ke paas Muatta Imam Malik ki ek aur Hadees hai jisme wo dikhate hain ki Ubay bin Ka’ab ki Hadees me tazaad hai ki wo 20 rakat padhte the.
Muatta Imam Malik me hai
Book 6, Number 6.2.4:
(Muwatta Imam Malik)
Yahya ne hume khabar di Malik se riwayat kiya unhone Muhammad bin Yusuf se riwayat kiya ki Saaib bin Yazeed ne kaha ki Umar fariiq radiAllaho ta’ala anhu ne Ubay bin Ka’ab ko hukm diya ki wo 11 rakat namaz padhaye.
Qari 100-100 rakat wali Sureh padhaye hatta ki hum log lakdiyon ke sahare khade hone lagen.
Aur hum na chhoden yahan tak ki fajr ho jaye.
.
🎴Ye sabse bada proof jo Salafi istemal karte hain wo asal me sirf bhole bhale logon ko dhoka de sakte hain jo Jirah tadeel aur Asmaur rijal se waqif nahi hain, lekin ALHAMDULILLAH Ahlesunnat wa Jamat is field me bhi unhe kuch acche sabaq sikhayegi.
.
Muatta Imam Malik me iski sanad hai
محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أنه قال أمر عمر بن الخطاب
📵Note: :
“Muhammad bin Yusuf An Saib Ibn Yazid”
Musannaf Abdur Razzaq me bhi same Hadees isi Sanad se hai lekin uske alfaz hain
محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أن عمر جمع الناس في رمضان على أبي بن كعب وعلى تميم الداري على إحدى وعشرين ركعة
Muhammad bin Yusuf se riwayat hai unhone saaib bin Yazeed se riwayat kiya ki Umar farooq radiAllaho ta’ala anhu ne ramzan me logon ko Ubay bin Ka’ab ke piche jama kiya aur unhone logon ko 21 rakat padhai.
📚 [Musannaf Abdur Razzaq, Volume No. 4, Page No. 260, Hadith No. 7730]
To Muwatta Imam Malik ki wo hadees bhi taraweeh ki 8 rakat ko sabit nahi karti jabki 20 rakat upar ki hadees se sabit hai.
Ab Salafiyon ke paas ek bhi Hadees Khulafa-e-rashideen ki nahi hai jisme 8 rakat taraweeh ho,
Aur Muwatta Imam Malik me maujud wo wahid hadees muztarib hai,
Aur MUZTARIB hadees kabhi dalil ke liye pesh nahi ki jati. …..
↪Khud Ibn Taymiyya ne bhi kaha:-
ثبت أن أبي بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة في قيام رمضان، ويوتر بثلاث. فرأي كثير من العلماء أن ذلك هو السنة؛ لأنه أقامه بين المهاجرين والأنصار، ولم ينكره منكر
↪Translation:
Ye sabit ho chuka hai ki Ubay bin Ka’ab ne Ramzan me sahaba ko 20 rakat aur 3 witr padhai.
Is tarah ye Kaseer Ulama ka Maslak hai ki ye sunnat hai.
Kyunki Ubay bin Ka’ab Muhajirin ke samne bhi aur Ansar ke samne bhi 20 rakat padhte the.
Aur kisi bhi ek sahabi ne ispar aitraz na kiya. !”
📚[Ibn Taymiyyah: Majmua al Fatawa 1/191]
🎴Waise to ab tak hum is masle par bahot dalail de cuhke hain lekin Majmui taur pe Pichli post me humne 10 Dalail diye the Aur ab Aage InshaALLAH kuch aur aap sabke samne pesh hain,
↪Proof – 11
حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، عَنْ حَجَّاجٍ ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ ، عَنِ الْحَارِثِ أَنَّهُ كَانَ يَؤُمُّ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ بِاللَّيْلِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ وَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ
Haris Riwayat karte hain ki wo Ramzan me 20 rakat padhte the aur 3 rakat witr padhte the aur Ruku se pehle Qunut padhte the…..
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 224, Hadith Number 7767]
↪Proof -12
Aur tarawih ki khud definition:
حَدَّثَنَا غُنْدَرٌ ، عَنْ شُعْبَةَ ، عَنْ خَلَفٍ ، عَنْ رَبِيعٍ وَأَثْنَى عَلَيْهِ خَيْرًا ، عَنْ أَبِي الْبَخْتَرِيِّ أَنَّهُ كَانَ يُصَلِّي خَمْسَ تَرْوِيحَاتٍ فِي رَمَضَانَ وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ
Hazrat Abi Al-Bakhtari se riwayat hai ki wo logon ko Ramzan me 5 Tarvihaat padhate the.
(yani 20 rakat tarawih)
Sath 3 Rakat witr bhi.
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 224, Hadith Number 7768]
.
🎴Note:
2 Salam se 4 rakat padhne ko Ek tarviha kehte hain.
Arbi me pehle Singular form hoti hai fir pair form hoti hai aur iske baad plural form hoti hai.
To ek tarviha agar 4 rakat ka hua to tarviha ki pair form hogi “Tarvihayn” yani 2 Tarvihe, to 2 tarvihe me 8 rakat ho jayegi.
Aur 8 rakat ko Arbi grammer ke mutabiq Taraveeh nahi balki Tarvihayn kaha jayega.
Ab lafz-e-Taraveeh kyunki Tarveeha ki plural form hai to usme kam se kam 3 tarviha to hona hi padega grammer ke mutabiq yani
4×3= 12 Rakat.
To grammer ke mutabiq sabit hua ki 8 rakat ko taraweeh kehna hi gramer ke khilaf hai,
Aur kam se kam 12 rakat ho tab usey taraweeh kaha jayega lekin kyunki 12 rakat taraweeh ki koi dalil hi nahi hai Hadeeson me aur 20 rakat ki dalil hai.
Isliye hum 5 tarvihaat padhte hain yani 4×5=20
Rakat ko plural form me taraweeh kehte hain.
Aur ye grammer ke mutabiq bhi sahi hai……..
↪Proof – 13
حَدَّثَنَا ابْنُ نُمَيْرٍ ، عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ ، عَنْ عَطَاءٍ ، قَالَ أَدْرَكْت النَّاسَ وَهُمْ يُصَلُّونَ ثَلاَثًا وَعِشْرِينَ رَكْعَةً بِالْوِتْرِ
Ata ibnn Abi Rubah ne kaha ki “Maine hamesha logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai witr bhi shamil hai”
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 224, Hadith Number 7770]
↪Proof -14
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ سُفْيَانَ ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ ، عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ قَيْسٍ ، عَنْ شُتَيْرِ بْنِ شَكَلٍ أَنَّهُ كَانَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ
Shaytar ibn Shakl se sabit hai ki wo Ramzan me 20 rakat padhate the aur witr bhi.
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 222, Hadith Number 7762]
↪Proof -15
الفضل بن دكين عن سعيد بن عبيد ان علي بن ربيعة كان يصلي بهم في رمضان خمس ترويحات ويوتر ثلاث
Saeed bin Ubaid riwayat karte hain ki Ali bin Rabiyah unhe 5 tarvihaat padhate the aur 3 witr.
📚[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 224, Hadith Number 7772]
↪Proof-16:
Ibn Qudama Rahmatullah Alayhi 20 Rakah Tarawih par Ijma Sabit karte hue likhte hain:
وَالْمُخْتَارُ عِنْدَ أَبِي عَبْدِ اللَّهِ ، رَحِمَهُ اللَّهُ ، فِيهَا عِشْرُونَ رَكْعَةً . وَبِهَذَا قَالَ الثَّوْرِيُّ ، وَأَبُو حَنِيفَةَ ، وَالشَّافِعِيُّ . وَقَالَ مَالِكٌ : سِتَّةٌ وَثَلَاثُونَ . وَزَعَمَ أَنَّهُ الْأَمْرُ الْقَدِيمُ ، وَتَعَلَّقَ بِفِعْلِ أَهْلِ الْمَدِينَةِ ، فَإِنَّ صَالِحًا مَوْلَى التَّوْأَمَةِ قَالَ : أَدْرَكْتُ النَّاسَ يَقُومُونَ بِإِحْدَى وَأَرْبَعِينَ رَكْعَةً ، يُوتِرُونَ مِنْهَا بِخَمْسٍ . وَلَنَا ، أَنَّ عُمَرَ ،رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ لَمَّا جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ ، وَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً ، وَقَدْ رَوَى الْحَسَنُ أَنَّ عُمَرَ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ ، فَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عِشْرِينَ لَيْلَةً ، وَلَا يَقْنُتُ بِهِمْ إلَّا فِي النِّصْفِ الثَّانِي فَإِذَا كَانَتْ الْعَشْرُ الْأَوَاخِرُ تَخَلَّفَ أُبَيٌّ ، فَصَلَّى فِي بَيْتِهِ ، فَكَانُوا يَقُولُونَ : أَبَقَ أُبَيٌّ رَوَاهُ أَبُو دَاوُد ، وَرَوَاهُ السَّائِبُ بْنُ يَزِيدَ ، وَرُوِيَ عَنْهُ مِنْ طُرُقٍ . وَرَوَى مَالِكٌ ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ رُومَانَ ، قَالَ : كَانَ النَّاسُ يَقُومُونَ فِي زَمَنِ عُمَرَ فِي رَمَضَانَ بِثَلَاثٍ وَعِشْرِينَ رَكْعَةً . وَعَنْ عَلِيٍّ ، أَنَّهُ أَمَرَ رَجُلًا يُصَلِّي بِهِمْ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً . وَهَذَا كَالْإِجْمَاعِ.
فاما ما رواه صالح ، فان صالحا ضعيف ، ثم لا ندرى من الناس الزين أخبر عنهم ؟ فلعله قد أدرك جماعة من الناس يفعلون زلك ، وليس زلك بحجة ، ثم لو ثبت أن أهل المدينة كلهم فعلوه لكان ما فعله عمر ، وأجمع عليه الصحابة فى عصره ، أولى بالاتباع ، قال بعض أهل العلم : إنما فعل هزا أهل المدينة لانهم أرادوا مساواة أهل مكة ، فان أهل مكة يطوفون سبعا بين كل ترويحتين ، فجعل أهل المدينة مكان كل سبع أربع ركعات ، وما كان عليه أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم أولى واحق أن يتبع
Abdullah(Imam Ahmed) ki nazar me iska Subut 20 rakat hai aur yehi Sufiyan Sawri,
Abu Hanifa, aur Shafaii ka kehna hai.
Aur Imam Malik ki nazar me ye 36 rakat hai aur Imam malik Madina Sharif ke logon ke tariqe par amal kiya hai,
Kyunki Saleh ne kaha ki unhone dekha Madina Sharif ke log 41 rakat qiyam karte hain jisme se 5 rakat witr thi.
“HAMARA SUBUT YE HAI KI HAZRAT UMAR FAROOQ RadiALLAHO Anhu NE IBN KA’AB KE PICHE 20 RAKAT TARWEEH QAYEM KARAYI ”
Ye Riwayat Hassan aur Umar RadiALLAHO Anhu ke turq se bhi hai ki log Ubai bin Ka’ab ke piche 20 raate khade hue.
Shuru ke nisf ramzane me wo Qunnot padhte aur akhir ke 10 ramzan me wo tarawih ghar me padhte the.
Ye Abu Dawood aur Saeed bin Yazeed se riwayat hai. Imam Malik ne bhi Yazid bin Ruman se riwayat kiya ki Umar Farooq RadiALLAHO Anhu ke daur-e-khilafat me log witr ke sath 20 rakat padhte the.
Aur ye Hazrat Ali RadiALLAHO Anhu neb hi farmaya ki unhone ek shaks ko hukm diya ki 20 rakat ada kare. “ISLIYE 20 RAKAT TARAWEEH PAR IJMA HAI”
Aur jo Saleh ne kaha tha (41 rakat) to iska jawab ye hai ki Saleh Hadeeson me zaeef hain aur hum nahi jante ki unhe 41 rqakat ki khabar kisne di.
Ye mumkin hai ki Saleh ne kuch logon ko 41 rakat padhte hue dekha ho lekin ye hujjat nahi hai.
Ag
توصیف, [29/11/16, 4:21 pm]
ar hum maan bhi len ki Madina me log 41 rakat padhte the to bhi Hazrat Umar Farooq RadiALLAHO Anhu ke zamane me sare Sahaba ne 20 rakat hi padha hai aur ye abaqi logon se zyada hujjat hai.
Aur jab hum ye Jaante hain ki RasoolALLAH Sallallaho alaihe wasallam ke Sahaba ne 20 rakat hi padha hai to hume isi par amal karna chahiye.
”
📚[Ibn Qudamah al-Mughni Volume 002, Page No. 604]
↪Proof – 17
Gunniyatut Talibeen me hai ki Taraweeh 20 rqakat hai.
Isme har dusri rakat me baithna chahiye aur salam kehna chahiye.
Tasb ye 5 tarvihaat ho jayenge aur isme se har 4 rakat ek tarviha hai.
📚[Al Ghuniya Tut Talibeen Volume 2, Page No. 25]
↪Proof – 18
Imam Bukhari apni Kibatul Kuna me farmate hain:
عن ابي الخصيب قال كان سويد بن غفلة يؤمنا في رمضان عشرين ركعة
Abu Al-Khusaib ne riwayat kiya ki Suwaid bin Ghaflah hamesha 20 rakat ramzan ke mahine me padhte the.
📚[Al-Kuna Volume 002, Hadith Number 234]
4 Maslak ka Ijma isi par hai.
Hanafi Mazhab me :
↪Imam Badruddin Ayni farmate hain:
رواه البيهقي بإسناد صحيح عن السائب بن يزيد الصحابي قال كانوا يقومون على عهد عمر رضي الله تعالى عنه بعشرين ركعة وعلى عهد عثمان وعلي رضي الله تعالى عنهما مثله وفي المغني عن علي أنه أمر رجلا أن يصلي بهم في رمضان بعشرين ركعة قال وهذا كالإجماع
↪Translation:
Imam Baihaqi ne sahih sanad se riwayat kiya ki Saeed bin Yazeed Sahabi hain unhone kah aki Main elogon ko Hazrat Umar radiAllaho Ta’aala Anhu ke zamane me 2° rakat padhte hue dekha hai. Aur Hazrat Usman Ghani radiAllaho Ta’aala Anhu aur Hazrat Ali radiAllaho Ta’aala Anhu ke zamane me bhi. Al-Mughni me ye Hazrat Ali radiAllaho Ta’aala Anhu se riwayat hai ki unhone ek shaks ko hukm diya ki wo Ramzan me logon k 20 rakat padhaye. Aur isi par Ijma hai.
📚[Umdat ul Qari Volume No.7, Page No. 177]
.
Imam ibn Hammam ne kaha ki ye baat motabar dalail se sabit ho chuki hai ki Sahaba aur Taabayeen Hazrat Umar radiAllaho Ta’aala Anhu ke zamane me 20 rakat tarawih padhte the. Ye sahih riwayat Yazeed bin Rumayn se marwi hai ki wo Hazrat Umar radiAllaho Ta’aala Anhu ke zamane me 20 rakat padhte the, Imam Nawawi ne bhi is riwayat ko sahi kaha hia.
📚[Al-Fath al Qadeer, Volume No.1, Page No. 470]
.
↪Allama Mulla Ali Qari Hanfai farmate hain :
أجمع الصحابة على أن التراويح عشرون ركعة
Is baat par Sahaba ka Ijma hai ki taraweeh 20 rakat hoti hai.
📚[Mirqaat Sharah al Mishqaat, Volume No.2, Page No. 202, Published by Maktaba al Mishkaat]
↪Hanbali mazhab:
Imam Ibn Qudama likhte hain:
كان الناس يقومون في زمن عمر في رمضان بثلاث وعشرين ركعة وعن علي, أنه أمر رجلا يصلي بهم في رمضان عشرين ركعة وهذا كالإجماع
Log Ibn Umar radiAllaho Ta’aala Anhu ke zamane me ramzan me 23 rakat ke liye khade hote the aur Hazrat Ali RadiALLAHO Anhu neb hi ek shaks ko hukm diya tha ki wo ramzan me logon ko 20 rakat padhaye aur isi par Ijma qayem hai.
📚[Ibn Quduma al Hanbli in Al-Mughni, Volume No.1, Page No. 802, Under the chapter of Rakaat in Tarawih]
Sheikh Abdul Qadir al Jilani al-Hanbli radiAllaho Ta’aala Anhu likhte hain:
Taraweeh 20 rqakat hai. Isme har dusri rakat me baithna chahiye aur salam kehna chahiye.
Tasb ye 5 tarvihaat ho jayenge aur isme se har 4 rakat ek tarviha hai.
📚[Al Ghuniya Tut Talibeen Volume 2, Page No. 25]
3.The Shafi’i Madhab
Imam Tirmizi likhte hain:
و قال الشافعي وهكذا أدركت ببلدنا بمكة يصلون عشرين ركعة
Imam Shafaii ne kaha ki main eMakkah me logon ko 20 rakat padhte hue paaya.
📚[Sunnan Tirimdhi]
.
↪Imam Ghazzali (Rahimuhullah) ne kaha
التراويح وهي عشرون ركعةوكيفيتها مشهورة وهي سنة مؤكدة
Tarawih 20 rakat hai aur yehi mash’hur hai aur ye Sunnat-e-moakkeda hai.
📚(Al-Ghazzali in Ihya Uloom ud din, Volume No.1, Page No. 139)
↪4. Maliki Madhab
Imam Ibn Rushd Al-Qurtubi ne kaha : Ek qaul Imam Malik ka, aur sath me Imam Abu Hanifa ka aur Imam Shafaii, Imam Ahmad aur Dawood Al-Dahiri ka Sabit karta hai taraveeh ki 20 rakat ko.
Imam Malik ne bhi Yazid bin ruman se riwayat kiya ki Hazrat Umar Farooq RadiALLAHO Anhu ke zamane me log 20 rakat ramzan me padhte the,
📚[Ibn Rushd in Al-Bidayatul Mujtahid, Volume No. 1, Page No. 152]
Lehaza Chaaron mazhab me aur Sahaba ka, Khulafa-e-Rashideen ka bhi isi baat par Ijma hai ki Taraweeh ki 20 rakat hai.
↪EK SHUBAH KA IZAALA
Wahaabi Ek Riwayat Sayyadah Tayyaba Taahira Makhdooma-e-Daarain Maalika-e-Jannat Ummul-Momineen Aisha Siddiqah Radi Allahu Anha se Marwi he jis mey 11 Rak’at ka Zikr he,
Pesh karte hey.
Us Hadees mey Ramazan aur Gair-e-Ramazan ka Lafz Aata he…
Wahaabi Hazraat Hadees puri padhe aur theek se padhe. Aap khud hi Soche k Ramazam mey to Taraweeh huee.
Gair-e-Ramazan mey to Taraweeh nahi padhte.
Ahle-Sunnat Wa Jama’at ka ye Moqaf he.
Hamara Us Riwayat par Imaan he Magar wo Taraweeh ki 11 Rak’at nahi Balke Tahajjud ki 11 Rak’at he.
8 Rak’at Tahajjud aur 3 Witr. Tahajjud To Huzoor Purnoor SallAllahu Alaihe wa Sallam par farz thi. Tabhi Hazrat e Aaisha ne farmaya k Allah ke Nabi Ramazan & gair-e-Ramazan Raat ko 11 Rak’at
(8 Rak’at tahajjud aur 3 Witr) padhte.
Tahajjud Huzoor SallAllahu Alaihe Wa Sallam Ramazan aur Gair-e-Ramazan mey padhte the kyunke ye aap par farz thi aur Ummat ke liye Nafil.
Aur Wahabi ko Hadees mey sirf Ramazan ka Lafz Nazar Aur Gair-e-Ramazan Ka Lafz Nazar nhi aaya aur usi tahajjud ko Taraweeh samajh bethe…
Kisi ne saheeh kaha he…
“WAHABI BOLTA HE PAR SAMAJHTA NAHI”
Tahajjud Huzoor par Farz thi. Jesa k Qur’an paak ke 15we paara,Ruku-99wa mey he :-
ومن اليل فتهجد به نافلة لك
Yaani Aur Raat ke kuch Hissa mey Tahajjud karo ye Khaas tumhare liye Zayaada he.
Taraweeh Huzoor SallAllahu alaihe wa Sallam ke liye nafil he. Aur Hamare liye Sunnat…..
🎴CHALLENGE :-
📌Humne 20 Raqat Taravih ki 18 Se Jyada Sahih Hadees Se Daleel Pesh ki Aur 4 Maslak Ke Imaamo Se Bhi 20 Raqat Taravih Sabit ki…
📌Ab Hum Salafi Gair Muqallid Se Challenge Karte hai ki Wo Sirf 10 Daleel Sahih Hadees se 8 Raqat Taravih Sabit kar de To 5,00,000/- Cash Dene ke liye Taiyyar hai….
📌Aur Agar 20 Raqat Taravih Padhne Wala Biddati hai To Sabse pehle Biddat Ka Fatwa Imaam E Qaba Par Lagao kyunki Masjid-E-Haram Aur Masjid E Nabawi me Barso se 20 Raqat Taravih hoti hai Aur Aaj bhi Qaim hai……